top 10 school in karachi, islamic school, karachi school, O/A level School #viral #subscribe
safai nisf
iman hay , hum sab yay boltay to hay or perhtay bhe hay likin sochtay nahee hay
kay , safai nisf iman kaisay ho sakte hay ,jab banda pak saaf rehta hay to woh
automatically sab kam aram say kerlayta hay , jaisay namaz perhna , Quran majeed
perhna , masjid jana , achee mehfil may jana wagera , or agar banday ka badan
ya libas na pak ho to na to woh namaz perhnay jaye ga , na he quran majeed
perhay ga , na masjid may jaye ga , na he achee mehfil may jaye ga or na hee
kisi achee jaga jaye ga . isi liyay kaha jata hay kay insan ko pak saaf rehna
chaiyay , yay to zahiri paki hay kay badan ka pak saaf hona or kapray ka pak
saaf hona, aik paki hote hay batin KI paki , yani insane ki rooh pak honi
chaiyay , yani insan ka dil , dimag us ki soch or us ka poora wajood pak ho ,
kay woh koi gandi bat na sochay , ganday kam na karay , ganday cheez us ki dimag
may na ho , fahashi uryani wali cheezay na kerta ho , napaki walay kam na kerta
ho , na mehram ko dekh ker us kay dil may ganday or napak jazbat paida na hotay
ho .
namaz
perhnay kay liyay jism , kapray or jaga ka pak hona zaroorie hay , agar hamaray
kapray , jism or jaga pak saaf nahee hoge to hamari namaz Alalh ki bargah may
qabool nahee hogee , kitnay he log hay jin ho nay apni poorie zindage guzardi ,
burhapay ki dehleez may agaye hay na to un ko napaki , paki ka pata hay , na
wazoo ka tariqa ata hay , na Gussal kerna ata hay na Gussal kay baray may pata
hay kay kab wajib ho jata hay , na hi namaz perhnay ka tariqa ata hay , bas
zindagee guzardee likin kuch nahee seekha .
Her musalman
mard khawateen per zaroorie hay kay us ko in tamam bato kay baray may pata hona
chaiyay kay Gussal kaisay kerna hay , Wazoo kaisay kerna hay , Pak saaf kaisay
rehna hay , Namaz kaisay perhni hay , Roza rakhna hay to kis tarah rakhna hay
rozay kay dermiyan her burai say bachna hay yay nahee kay roza rakh liya likin
her bura kam bhe sath sathh ker rahay hay , namaz perhni hay to aram ram say
perhni hay , yay nahee kay 2 minute may Namaz perh ker uth gaye , her cheez ka
aik tariqa hota us ko seekhna chaiyay .
Taharat Paki
bohat zada zaroorie hay , Allaha nay insan ko aisa banaya hay kay woh khata
peeta hay to us ko hajat (Toilet) ki zaroorat bhe perhte hay , us hajat (
Peeshab Phakana ) kay liyay usay toilet bhe jana perhta hay , jab toilet jaye
to pehlay apna ulta pair say dakhil ho , toilet may janay ki dua perhay , or jab
toilet say bahar ana ho to seedha paaon pehlay bahar rakhay or toilet say bahar
anay ki dua perhaiyay , Peeshab kay qatray kay baray may ata hay kay aik qatra
bhe ap kay kapray per gir giya to ap napak ho jatay hay , Qabar kay under is
waja say azab bhe milta hay , jo shaks is cheez ka khayal nahee kerta qabar may
usay sakht azab milta hay , yahan tak kaha gaya hay kay bhalay say tumhare farz
namaz ja rahee ho usay chordo likin jab tak tumhay mukamal yaqeen na ho jaye
kay tum achee tarah farig ho chukay ho , achee tarah yaqeen na ho jao kay ab
peeshab ka aik qatra bhee nahee giray ga us waqt tak na utho , bhalay say
tumhari farz namaz hi kiun na nikal jaye , kiun agar jaldi may uth ker tum nay
namaz bhe perh lee or peeshab ka qatra gir gaya to woh namaz qabool nahee hogee
, is say behter yahee hay kay pehlay aram say farig ho jao , mukamal yaqeen
ajaye kay ab koi drop nahee giray ga .
bohat say
logo ko peeshab kay qatray girnay ki beemari hote hay , peeshab kay qatray
girnay ki 2 main waja say hay aik to yay kay hum jo aj kal khana ya Gizza
(Food) khatay hay woh pure nahee hay , us may milawat hay , us may pata nahe
kiya kiya mila huwa hota hay , hygienic nahee hota , jis ki waja say garmi
piada ho jatee hay insan kay under us ki waja say yay peeshab kay qatray girnay
ki beemari ho jatee hay , kiun kay pehlay zamanay may Gizza (Food) jo hota tha
woh khalis (Pure , Hygienic) hota tha to un logo ko is tarah ka problem nahee
hota tha , Likin aj kal koi cheez bhe
khalis nahee hay or doosra is ki main waja "Hand Practice/Masturbation"
jo kay aj kal her nojawan or un kay sath doosrie age kay logo may aam hay jo
kay "Haram" hay us waja say
yay problem young generation may khas tor per hotee hay , jis ki waja say
peeshab kay qatray kay problem start ho jata hay , agar koi is haram kam kernay
may laga huwa hay ya us ko adat perhi huwee hay to woh foren Allah say maafi
mang ker yay kam kerna chorday, kiun kay is kay bohat zada nuqsanat hay , jis
kay andaza bad may ja ker pata chalta hay .
Acha ab jin
ko peeshab kay qatray ka problem hay woh kiya karay , kiya woh is halat may
namaz perh saktay hay , Quran perhsaktay hay , Roza rakh saktay hay ya doosray
kam jin ka hukum Allah nay diya hay woh kersaktay hay ya nahee , Pehli bat to
yay hay kay pehlay woh agar koi bura kam ker rahay hay jis waja say yay problem
barh raha hay woh kerna chordain(Hand Practice/Masturbation) doosra woh is
maslay kay hal kay liyay proper Ilaj kerwaye Doctor / Hakeem jis say chaye or
is maslay ka hal karay or jab tak yay masla hal nahee hota hay to un kay liyay
hukum hay kay her namaz perhnay say 20 minute pehlay Toilet ker kay wapis ajaye
or namaz say pehlay jis jaga per peeshab kay qatray giray hay us hisay ko
dholay to woh kapra pak ho jaye ga or her namaz say pehlay naya wazoo ker kay
namaz perhay .
Jab bhe
toilet jaye hajat (Peeshab , Phakana) kernay kay liyay to Qibla Rukh ho ker na bathay , na to ap ka moon Qiblay ki taraf
ho or na he ap ki Qamar (back/ Peet) qiblay ki taraf ho , is ka aik proper tariqa hay woh ap kisi
islamic book ya ulma ya apnay masjid kay imam sahab say pooch saktay hay, woh
ap ko sahee say bataingay , khair jab farig ho jaye peeshab Phakana ker kay to
zor say aik do dafa Khansiyay takay jo qatray abhee tak giray nahe hay woh
khasnay ki waja say gir jaye , doosra aik do dafa lambay lambay Sans lijyay
bethay bethay hi , means jab ap bethay huway hongay usi waqt ap ko Khasna bhe
hay aik do dafa zor say or Lambay Lambay sans bhe laynay hay takay peeshab kay qatray gir jaye or
napaki honay kay chance kam say kam reh jaye , Doosra yay kay Tissue paper ka
use keriyay , Tissue paper say saaf kijyay peeshab jahan say nikalta hay us
jaga ko , or kam yay kersaktay hay kay Tissue ka kuch hissa ap wahan per laga
ker bhe rakh saktay hay jab ap farig ho ker nikal rahay ho takay agar peeshab
kay qatray giray to woh bhe tissue paper may he jasb ho jaye or ap kay kapray
may na giray or bad may jaker us tissue paper ko nikal ker phek dijyay .
is kay ilawa
yay hay kay bohat saray log jo hay woh peeshab kaheen bhe kerdaytay hay , is
kam ko anjam daynay kay liyay zaroorie hay kay aik proper jaga ho , jo 4 taraf
say band ho or jahan per koi bhe ap ko dekh na sakta ho , or Toilet may dakhil
ho nay say pehlay andar janay ki Dua perhaiyay kiun kay in jagah per shaitan or
khabees chezay hote hay , jab ap dua perhlaytay hay to un shaytan or khabees
cheezay jo ap ko dekh saktee hay us kay ankhain band ho jatee hay or phir woh
ap ko galat kam ki taraf mutawaja nahee kersakay gee . bohat saray log jab gher
say bahar hotay hay to woh public place per yay kam kertay hay , to un ko
chaiyay kay woh us kay liyay bhe aik aisi proper jaga dhoonday jahan per un ko
koi dekh na sakta ho or kabhee bhee pakki jaga per na kijyay , kiun us say
cheentay urtay hay or us say kapray napak ho jatay hay , or hamesha dehlan (jo
jaga oper say neechay ki taraf ja rahee ho) wahan per yay kam kijyay or jaga
sakht na ho , balkay kachi ho takay woh us may jasb ho jaye or cheentay na uray
, kabhee bhe kisi surakh , gutter ya hole may na kijyay kiun kay wahan per
doosri makhlook keeray makoray hotay hay , un ko takleef hoti hay .
Ghussal ka
tariqa bohat saray logo ko nahee pata hota hay , Hum apnay ap ko musalman to
kehtay hay baray fakhar say likin na hamay wazoo sahe kerna ata hay or na he
Ghussal sahee tariqay say kerna ata hay or na he Namaz sahe perhni ati hi or
agar koi un ko sahee tariqa bataye to gussa ata hay sab ko . Ghussal ka sahee
tariqa yay hay kay ap ki jism may jahan nijasat , gandage lage huwe hay us ko
achee tarah saaf kerlay , apnay jism ko achee tarah say pak saaf kerlay , achee
tarah dholay , jis jaga pani sahee tarah nahee jata hay Naaf may or Bagal may
us ko bhe sahee tariqay say dholijyay ,
phir Gararay kernay hay , is tarah kay halaq tak pani jaye , us kay bad 3 dafa nak may pani is tarah dalna
hay kay nak ki naram haddi tak pani chalay jaye , apani ultay hath ki choti
ungli geeli ker kay nak ko achee tariqay say under tak saaf karay yahan tak kay
naram hadi tak pani pohanch jaye , us kay bad 3 dafa pani apnay oper is tarah
bahana hay kay jism aik aik chota sa hissa bhe khushk na reh jaye , bal ki jaro
tak pani jana zaroorie hay , or jab ap Ghussal kelaytay hay to wazoo ki
zaroorat nahee perhtee , agar wazoo kerlay to ache bat hay , acha to yahee hota hay kay ghussal , napaki ,
wazoo in sab ko kisi Aalim e deen say ya masjid kay imam sahib ya Islamic book
centre say koi islami kitab khareedlain or wahan say perh ker us per amal
kerain , aik musalman honay kay natay yay sab cheezay seekhna bohat zaroorie
hay .
Zair Naaf or
Zair bagal jo bal hotay hay us ki safai kerna bohat zada zaroorie hay , un balo
ko zada berhnay na diya karay balkay us ko waqt kay sath sath kat tay raha
kijyay , 40 din zada say zada had hay 40 Din kay under yay bal ko saaf kerdayna
chaiyay , mean agar aj ap nay zair bagal or zair naaf bal katay hay to agalay
40 din kay under us ki doobara safai kerna zaroorie hay , acha to yahee hay kay
haftay bad he us ki safai kerlayna chaiyay , 40 din kay bad say jo lamha un
balo kay sath ap guzaraingay us ka bohat sakht gunah hay .