Thursday, June 9, 2022

Shoaib A.S ki qaum, Namrud, Hazrat Nooh A.S. ki Kashti (ARK):, Qaum-e-Samood, Qaum-e-Loot, Qaum e Hood A.S, Fir’oun ki qaum per Allah ka azaab, Hazrat Nooh A.S, Hood A.S ki qaum per barish ka band hona

 Home Page   Urdu Islamic Article   HR Email Ids   Zikar Azkaar

how to create cv in ms word    School HR ID   Ulema Ikram Bayanat

Listen Quran Majeed    Read Quran Majeed   Social Media    Ramzan

Khulasa Quran Majeed   Latest jobs    Karachi School    Free Islamic Gift 

WHATSAPP GROUP    HR Stuff   Tips & Trick for HR Student, Recruiter, Job Seeker    RSMZ Tutor Academy Karachi 

TikTok Video    Dawat o Tableegh   Napaki,Wazoo,Ghussal   QURAN URDU TRANSLATION

Zikar Azkaar Videos   Zikar Azkaar Album   Zikar MOLANA YUNUS PALANPURI

Message for Girls and Boys    Message for  Aurat Lerki Khawateen   Jobs on Facebook

Dua e Anas   MOLANA YUNUS PALANPURI   Quran Majeed Surah   Islamic Reminder

zindage ka maqsad   Raat kay amal   Hadsat say bachnay ki dua    Dua e Qunoot Nazla

Namaz ka tariqa  Namaz Ka Tariqa  Islamic Message  social media   

zikar Azkaar for daily routine    Madni Masjid Karachi   Dawat o Tableegh     Islamic Books

Namaz ka practical tariqa    Karachi Ijtima Videos    Sharam o Haya   Islamic Messages

Karachi famous places  aqwal e zareen  Recite Quran Majeed Surah  

Saas Bahu kay jhagray   Junaid Jamshed Naat    Juniad Jamshed Bayan

Saeed Anwer bayan   Saeed Anwer bayan    Nausheen Konen Bayan     Recite  Quran Majeed

Listen Quran Majeed    Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed

Khulasa Quran Majeed    What is Islam   Sunnat e Nabvi (SAW)   Sunnat e Nabvi (SAW)

Cancer ka Ilaj   Quran Majeed Message    Namaz kay Masail     Allah ka Azaab    

Allah ka Azaab     Allah ka Azaab    Allah ka Azaab    Namaz Quran & Tableegh

how to create cv in ms word  One dollar shop karachi 1$ shop 

Latest School jobs   Latest Teaching  jobs


Please Like, Share, Comment and Subscribe to this youtube channel

 

https://www.youtube.com/channel/UCsgREf7ilW5RHMogG8vt4NQ/playlists


Please Like, Share, Comment and Subscribe to this youtube channel

Shoaib A.S ki qaum, Namrud,  Hazrat Nooh A.S. ki Kashti (ARK):, Allah ka Azab, Qaum-e-Samood per:Qaum-e-Loot per tabahi aur barbadi, Allah ka Azab Qaum e Hood A.S pe: Fir’oun ki qaum per Allah k different azaab, Hazrat Nooh A.S, Hood A.S ki qaum per barish ka band hona..:

 qasas ul anbiya, Pichli Qaum per azab kiun aya, Pehlay ki Qaumo per kis tarah kay gunah kernay ki waja say azab aya

 

 

 


Shoaib A.S ki qaum pe 3 trah k azab
Choonkay, qaum ka’ai trah k gunahoun k sath zinda thi, isi lihaz se Allah Rabbul Izzat ne un per ka’ai trah k azab jama’a farma dye thay. Aur different musibatoun aur halakatoun ki suratain un per ikhata kardi gaen thi.
Lihaza, Allah Ta’ala ny jahan bhi in k qissay ko biyan farmaya, waheen ki munasibat se un k mukhtalif azab ko biyan farmaya.
• Zameeni Bhoon’chaal (Aandhi):
Surah e Aara’af me hai k kafiroun ne Shoaib A.S ko daraya dhamkaya aur basti se nikal janay ka kaha. Tau Allah Ta’ala ny usi munasibat se wahan farmaya: Un ko aandhi ne aa pakra,
Pus wo apnay gharoun me oundhay moun hogae. Means us qaum ne Shoaib ko daraya hi tha, Allah ny us ko haqeqat me tabah kar dya.
• Chinghaar ka Azab (Cheekh):
Surah e Hood me hai k, jis trah unho ne apny Nabi (Shoaib) ka Mazak uraya, un ko ruswa kia, tau is k lye munasib hua k un ko aisi dant dapat ki jae, jo us k mutabiq ho.
Lehaza, unho ny apni zuban’oun (tongues) se Nabi ka Mazak uraya tau Allah ne apnay Farishtay k zaryay aik cheekh un per lagwai, jis se un k kalejay tak phat gae aur us bad’kalami ka maza mill gya, jo Allah k Nabi k mutaliq karty thay.
Lehaza, pehlay aandhi ne unko sakoon bakhsh dya tha, phir cheekh ne un ko gang (dumb) kar dya.
• Badal ka Azab:
Surah e Shura’a me hai k un ko “Saibaan” yani badal k azab ne aa dabocha. Aur ye un ko maang, talab aur wish ka nateja tha.
Unho ny Hazrat Shoaib ko kaha tha k agar aap sachay hain tau hum per aasman se azab ka aik tukra hi gira dijiye.
Lehaza, Allah ny unki khuahish ko pura farmaya. Farman-e-Ilahi hai; Phir unho ny Shoaib ko jhutlaya tau un ko Saibaan k din k azab ne pakar lya. ,, beshak wo baray din ka azab hai.


Machar'oun (mosquitoes) k through Allah ka azab:
Kaha jata hai k Allah Rabbul Izzat ny Us maghror badshah (Namrud) ki traf farishtay (angel) ko bhi bheja, jisny usko eman ki dawat di, laiken Namrud ne inkar kar dya.
Dosri aur phir teesri baar bhi Dawat e Islam di gae, magar her baar usny inkar kia. Aur kaha k tum apnay lashker (forces) ikhatay karlo, tau phir main bhi apnay lashkar jama karta houn (means dawat e jung di)
Phir Namrud ny Tulu-e-Aftab (sun rise) k wakt apnay be-panah lashkar ko jama kar lya.
Tau Allah Ta'ala ne (apnay lashkaroun/forces me se intehai kamzor jandaar lashkar means) Machar'oun (Mosquitoes) ka aik lashker bhej dya. aur wo lashker Khuda'ai Aftab ki roshni (Sunlight) me dikhta bhi na tha, means invisible lagta tha.
Phir Allah ny un macharoun ko us azeem lashker (Namrud k logoun) per musallat farma dya. Jis ny un k gosht aur khoon ko chaat kar rakh dya, aur bikul khaa lya.
Hatta k saaf chikni haddi bana k rakh dya. (Astaghfirullah..)
Un macharoun me se aik machar (mosquito) Namrud ki naak (nose) me ghus gya aur (Allah ny us k zaryay se namrud ko wo azab chakhaya k) wo machar 400 years tak andar hi raha. aur Namrud us puri muddat (time period) me apnay sir ko machar se pitwata raha (her wakt us k sir pe marna parta tha) ,, Hatta k Rabbul Izzat ny us k zaryay se usko neest o nabod farma dya....
Allah O Akber.....



Azab e ILAHI ki Aamad aur Safar e Nooh ka aghaz:
Allah Ta'ala ne azab k nazil honay se pehlay hi Hazrat Nooh A.S ko farma dya tha k jab azab ajae tau tum kashti me her cheez ka aik aik jora (pair) means her "haiwan" se aik jora sath kar laina. aur tamam qisam k khanay peenay bhi sath kar lena ta k unki qisam O nasal baqi rahay. aur apnay ghar waloun ko bhi rakhna, siwaye kafiroun k, beshak wo ap k ghar ka fard hi kioun na ho. aur phir Takeed ki k Allah se kafiroun zalimoun k mutaliq guftugu bhi na karna, unpe azab utar k rahega, woh jo chahay kar lain.
Yahan tak k Azab agya.....!!
Tanoor ubal para!
(Tanoor se murad "Roye Zameen" hi hai, means zameen ki her sides se pani chashmay ki trah ubal para).
Rawayat k mutabiq Tanoor se murad "Subah ka Roshan" hona bhi hai,, tau matlab hojaega k "Ae Nooh! jab subah roshan hojaye tu tum kashti me sawari ki tayyari shru kar daina" (Wallah'alam)
Rawayat hai k jo janwar (animals) khaye jatay houn (means Halal) un k 7, 7 joray (pairs), aur jinka gosht nahi khaya jata, unka aik aik pair ARK me sawar karaya gya.
According to some people, kashti me sab se pehlay birds sawar kye gae, aur haiwanat (animals) me sab se last me gadha (donkey) dakhil hua aur Iblees (mardood) gadhay ki dum se latak kar andar dakhil hogya.
Kafiroun k sath sath Nooh A.S ka beta "Yaam" (kana'an) aur Nooh ki bewi ko bhi kashti me sawar na karaya gya. Behsak Hazrat Nooh A.S aur Hazrat Loot A.S ki bewia'an Khabees aurtoun me se hain.
Kashti me Nooh A.S k sath kitnay sawar hue????
Ismay Ikhtilaaf (conflicts) hain, Rawayaat k mutabiq woh 80 log thay ya 72 thay.
aur qaul k mutabiq 10 log thay.
Hazrat Nooh k 3 betay (Haam, Saam, Yafas) apni bewioun k sath aur 4th betay Yaam ki bewi bhi sath thi. (ek rawayat k mutabiq ARK pe total 80 families the)(Wallah'alam)







Hazrat Nooh A.S. ki Kashti (ARK):
Hazrat Nooh A.S Hukam e Khudawandi k mutabiq Kashti bananay me masroof hogae. Jab bhi kafir log pass se guzartay , Nooh ka mazak uratay k yahan tau pani hai nahi, Yeh Nooh kashti chalayega kahan?? (because wo azab k utarnay ko na-mumkin samjhtay thay)
Rawayat k mutabiq Allah Ta'ala ne Nooh ko hukam dya k Fala'n tree uga'ao jis se wo kashti banai jaegi (kaha jata hai k wo tree ''Sagwan' ka tha ya "Sanober" ka)
Tau Nooh A.S ne wo darkht ugaya aur 100 years tak intezar kia, phir usko kaat k cheela, hamwar(smooth) kia (aur ismay bhi 100 years ya 40 years ka time lag gya) (Walla'h Alam)
Hazrat Nooh ko hukam mila k kashti (ARK) k androni aur beroni (internal n external) parts pe Taar-coal (Damar) achi trah mala jae (coating) aur is k samnay ka hissa (front side) bulandi ko utha hua ho (raised), ta k pani ko cheer sakay.
ARK ki lambai aur chorai (length n width) k baray me ikhtelaf (Conflicts) hain, but according to many people, uski length 600 yards and width 300 yards thi (ya 1200 yds x 600 yds)
But ounchai (height) k baray me sab farmatay hain k wo 30 yards thi. aur usme 3 manzil (floors) thay. Har manzil 10 yards ki.
Division of floors:
* Lowest floor (nichli manzil): For Animals and Wild animals
* Middle floor (darmiyani manzil): For Humans
* Top floor (ounchi manzil): For Birds (charind parind)
ARK ka darwaza width (Chorai) me tha aur us k ouper pura ek dhakan (Cap) tha, jis sy wo band kardi jati thi. (goya ajkal k time k mutabiq wo azeem "Abdoz" (Submarine) thi. Jab hi Allah ny Nooh AS ko hukam farmaya tha nechay har jagha "Tarcoal" mal daina (coat) ta k pani andar na aye). Subahan'Allah..









Allah ka Azab, Qaum-e-Samood per:
Qaum e Samood per Allah Ta'ala ki traf se azab ki aamad k lye warning k 3 din shru hue...
Jumerat (Thursday).. ye muhlat ka first day tha, us din Qaum e Samood k chehray (faces) zard (yellow) hogae (jis trah Saleh A.S ne unko daraya tha. Phir jab sham hue tu log kehnay lagay k wah,mulat ka aik din guzar gya. aur kafiroun ne chehray badalnay ki nishani se eman lanay k bajae mazak krna shru kardya.
Jumma (Friday).. ye muhlat ka 2nd day tha, us din sab k chehray surkh (red) hogae. Sham ko phir kafir khush hue k aj muhlat ka dosra din bhi guzar gya.
Hafta (Saturday).. Saturday ki subah un sab k chehray Siyah (black) par gae. aur sham ko woh log khushiyan mananay lag gae k muhlat k 3 din complete hogae.
Phir jab Itwar (sunday) ka din start hua tau woh log muhtat o chookanna (alert) ho k beth gae. khauf-zada thay aur wait karny lagay k daikho ab un per konsa azab o burai aati hai, kuch pata na tha k kia honay wala hai.
Jab Itwar ka soraj nikla tau Aasman se ail "Chinghaar" (means bht sakht cheekh) /scream ki awaz aye, jis se ye log nechay tak dehal gae. aur roohain (spirits) khauf se nikalnay lageen. Jan'een sisak sisak k khatam honay lageen. awazain band hogaen.. Astaghfirullah...
Phir wo log apnay gharoun me oundhay moun giray hue milay. Mehaz jismoun k dhair, jin me ksi rooh ka zarra na raha tha, na koi harkat baki rahi thi.
Kaha jata hai k un me se koi baki na raha tha, siwae aik larki k , jo langri thi, Uska name "Kalbah" tha aur wo sakht kafir thi aur Hazrat Saleh A.S ki sakht dushman.
jab us ny qaum pe azab daikha tu (khauf se) uski legs thek hogaen, aur wo bht hi zyada taiz raftar (high speed) se bhag kar aik Arab qabeelay me ja phunchi aur apni qaum pe azab ka haal bataya, phir pani manga.
Pani pee kar woh bhi usi wakt marr gae.
Qaum e Samood ka aik aur admi bach gya tha, jo k us wakt "Harm-Allah" (Makkah me) tha, wo "Abu Raghal" tha. us per Haram me honay ki wajha se azab na utra.
Magar jaisy hi wo wahan se nikla, us pe bhi bilkul waisa hi mamla (azab) paish aya, jaisa k uski qaum k sath paish aya tha.
Astaghfirullah....







Qaum-e-Loot per tabahi aur barbadi
Phir jab suraj tullu hua (Sun rise) , tau Qaum e Loot ko azab ne pakar lya.
Allah Ta'ala ka farmaan hai :
" Phir jab Hamara hukam agya tau Hum ne basti ko teh-o-bala (ruin) kardya.. aur un per 'kankar" k pe-dar-pe pathar barsa'ae, jo teray Rab ki traf se "nishan-zadah" thay. aur wo (basti) zalim'oun se zyada dour nahi.." (Hood 82, 83)
Hazrat Loot A.S ki basti 7 cities pe mushtamil (consist) thi. aik qaul k mutabiq 400 insan thay, ya 4000 thay, aur sath me haiwanat (animals) wagera bhi thay.
Tau Jibra'ael A.S ne un tamam cheezoun samet, zameen ko us k aaspass k samet, apnay Parr k aik konay k sath ukherra aur ouper kia (scratched and up). hatta k Aasman k bilkul kareeb phuncha dya. yahan tak k Ahl-e Aasman ny un basti waloun k murghoun (cocks) ki awazain, aur kuttoun ka bhonkna (dogs bark) tak suna.
Tau Jibra'ael ne wahan tak lay ja kar basti ko bilkul ulat dya tau is trah us k bala'ai/top hissay ko neechay kar dya. (up side down)
Sab se pehlay neechay un k sardar aur baray shurfa'a giray, aur phir pathroun ki barish hue. aur pathar kankar k thay means sakht aur mazboot (jaisay bajri ka pathar hota hai).
Her pathar per us shaks ka naam likha hua tha k jis per wo lagay ga. aur uska dimagh nikal daiga.
Aur us basti ko pathroun se dhak dya gya. her pathar per us k sathi ka naam bhi likha hua tha (means gay partner),,, jo Hazir'een thay (present) un ko bhi lagay, aur jo basti se dour thay, safar pe thay, waheen un ko azab ne ghair lya.. (Astaghfirullah)
Allah Ta'ala ne us jagah ko aik intaha'e badbu-dar (stinky) samandar bana dya hai, jis k pani aur aaspass ki zameen se koi nafa'a (gain) nahi uthaya ja skta. k wo bilkul kharab aur ounchi neechi hai, bekaar hai.
ye basti ibrat o nasihat bana di gae hai ta k log "maharam e Allah" se bachain aur Qaum e Loot k mushahbiha (resemblance) honay se dar'ain (scare).
Beshak, jis ne bhi jis qaum ki shakal ikhtiyaar ki, wo un hi me se hoga..
agar "kulli" taur pe na ho (fully/completely), tau "Juzvi" taur per hi sahi (partially), magar hoga zarur.
jaisay ksi ne kaha hai k:
Translation: "agar tum dar-haqeqat qaum Loot nahi ho, laiken phir bhi qaum e Loot tum se dour tau nahi hai, yani un ki resemblance ho sakti hai..."
Pus, Aa'qil aur samjhdar, apnay Rab se darnay wala woh hai jo apnay Rab k hukam ko manay aur Rasool ki ta'alimaat per amal karay, aur darta rahay k kahin us per bhi azab na aan paray.. Astaghfirullah...
"Aur ye (Saza) zalim'oun se (ab bhi) dour nahi..." (Surah e Hood)









Qaum-e-loot per Allah ka azab
Hazrat Loot A.S ne apnay ghar k darwazay ko band kar rakha tha (aur mehmaan means Farishtay andar betha rakhay thay), aur khud darwazay per kharay ho kar qaum ko hata rahay thay. aur wo log dhakkay per dhakkay maar rahay thay. Aap unko sath sath nasihat farmatay aur mana kartay aur roktay, laiken bad-kirdaar aur behodah logoun ko kuch sharam o lihaz na aya. .. Tau Hazrat Loot A.S ne us waqt bari be'chargi k sath ye kaha k "kash k mere lye tumharay muqablay me koi taqat hoti ya main kisi mazboot qilay (castle) ka sahara pakarta(Hood 80), tau tum se achi trah apnay mehmanoun ki hifazat kar laita, aur tum ko samjha daita.
Tau phir Farishtoun ne haqeqat se pardah uthaya aur kaha:
"Ae Loot, hum terey Parwardigaar k bhejay hue farishtay hain, .. ye hargiz tujh tak na phunch sakaingay.." (Hood 81)
Phir Jibra'ael A.S un per (qaum per) nikal paray, aur apnay "Parr" (wing) k sath un k chehroun (faces) per aik waar kia tau wo log andhay hogae,. hatta k kaha gya hai k un k faces se ankhoun ka naam o nishan bilkul hi mitt gya. Phir wo log cheekhtay chillatay, deewaroun ko tatol'tay tatol'tay wapis doray bhagay.. Laiken hat-dharmi ki inteha k phir bhi jatay hue Allah k paighamber Loot A.S ko dhamkiyan daitay ja rahay hain k kal anay do, phir daikh laingay...
Isi ko Allah Ta'ala ne farmaya: " Aur unho ny Loot ko us k mehmanoun k baray me behkaya tau Hum ne unki ankhain (eyes) ko mita dya, aur subah hotay hi un ko Da'aimi (constant) azab ne ghair lya..." (Al-Qamar 37, 38)
Farishtoun ne Loot A.S ko basti chorr kar janay k lye kaha k ratoun raat apnay ahl o ayaal ko laiker nikal jaen aur peechay murr kar koi na daikhay. Means jab azab ki awaz aye tau koi uski taraf mutawajjah (attentive) na ho...Aur Loot ki bewi sath nahi jaegi, us ko bhi wohi azab phunchay ga, jo dosroun ko phuncha.
Tau Hazrat Loot A.S apnay Ahl, jo sirf 2 beti'youn pe mushtamil tha, laiker nikal gae.









Allah ka Azab Qaum e Hood A.S pe:
Bait Ull'Allah me qaum e Hood k dua mangnay per Allah Ta'ala ne un per 3 colors k badal bheja, Safaid (white), Siyah (black) , Surkh (red).. aur ghaibi nida aye k apni qaum k lye koi ek choose krlo, tau A'ad k sardar ny Siyah (Black) badal ko pasand karlya k woh khoob barish barsany wala hota hai, (magar halakat o tabahi ko pasand karlya tha)
Tau Allah Pak ny black badloun ko qaum e A'ad ki traf haank dya. wahan logoun ny khushiyaan manana shru kardi k ye badal hum pe barsat karaingay . (but ek aurat 'Mehad" ny sahi baat ko smjh lya aur pehchan gai k ye badal tu azab uthaye hue hain aur in k agay kuch log hain jo inko hanka rahy hain, phir wo behosh ho k gir pari)
Allah Rabul Izzat ny un per ye Aandhi 7 rat aur 8 din (7 nights n 8 days) tak continue rakhi. aur wo bhi musalsal (c0ntinue) rahi. aur usny Qaum e A'ad k ksi fard ko na chora (except Hood AS k, momineen ko laikr dosri basti me chaly gae thay aur unko zarra barabr bhi azab na phuncha magar wo log khauf se sehmay hue thay k unki khalain (skins) tak naram (soft) par gaen thi.. (Astagh'firullah)
A'ad pe ye aandhi zameen o asman k darmiyan tabahi macha rahi thi aur pathroun (rocks) se un k dimagh nikal rahi thi..
Quran Kareem me unki lash'oun (dead bodies) ko khajoor k khookhlay tanoun (hollow stems) k sath resemble kia gya hai, aisy tinkay jinkay sir nahi hotay.
Islye qaum me jo bhi aandhi ki lapait me ata, aandhi usko utha kr pehly fiza (air) me buland krti ,phir oundhay moun patakh daiti, jis sy daed bodies baghair sir k reh jati. (headless) .... Astaghfirullah...
Quran Pak me hai k jis manhoos din me un per ye azab barsna shru hua, wo budh (wednesday) tha.. Deehat waloun ko (villagers) ko shehar waloun (city) per mara gya k sab halaak hogae.
According to author, aandhi unki almarioun (cupboards) tak k andar tak phunchi aur darwazoun(doors) k jharookoun se andar ja k tabahi ki.. baghair hisab k aandhi aye.
Woh aandhi jis k zaryay (ki wjha se) qaum e A'ad halak hue, Allah ne un per angothi (Ring) jitni jagha k barabar kholi thi, pus wo hawa pehlay villages me gae aur wahan k logoun , animals, aur maaloun (wealth) ko uthaya aur asman o zameen k darmiyan lai gae..
Allah hum sab ko Azab se mehfooz rakhain... Ameen..








Fir’oun ki qaum per Allah k different azaab
Jab Jadoogar emaan lay aye, aur Fir’oun , dushman-e-Khuda namurad hua, phir bhi emaan lanay se hat-dharam raha,bulkay kufr per data raha tau tab ja kar Allah ne ye azaabaat aik k baad aik nazil farmaye.
Pehlay Qehat Sali (drought), phir toofan (flood) , phir tiddiyan, phir jou’en (lices), phir Maindak (frog),phir khoon (blood)…
Her azaab k anay per kafir Musa A.S k pass jatay k apny Allah se keh kr humay is azaab se nijaat dilaen. Musa dua farmatay aur azaab dour kar dya jata. Kafir phir se apni dhitai aur kufr per ajatay. Tab Allah ki traf se dosra azaab ajata.
• Qehat Sali (Drought): pehla azaab qehat Sali tha. Jis me na kabhi sar-sabzi thi a phal / fruits. Aur na than’oun se doodh(milk) nikalta tha.
• Toofan (flood): Drought k baad Toofan/ flood ka azab aya. Is ne zameen ko apni sakht lapait me lay lya. Kafir log na kheti barhi (cultivatin) kar skty thay aur na hi kuch aur kaam. Hatta k faqoun ki nobat agae thi. Tab Musa A.S k agay ghutnay taikay (kneel down) k azab se chutkara dilaao.
• Tiddiyan: Tiddiyoun ne aker fruits aur crops ko khaa lya. Yahan tak k trees ko bhi khaa gaen. Aur phir darwazoun ki maikhoun aur keeloun (nails) tak ko chaat gaen. Is per phir sab ne pareshan ho kar pehlay wala mukar khaila.
• Jou’on ka azaab (Lices): Hazrat Musa ko hukm mila k apni lathi /stick laikar rait k teelay (Sand rock) per phuncho aur usko lathi se maaro. Tau Musa Rait k azeem teelay per gae aur usko stick se mara tau wo jou’un/lices se phat para. Aur wo wahan se nikal kar gharoun, khanay peenay ki cheezoun me jagah jagah ghuss gaen. Jou’en kafiroun k bister’oun tak me ghuss gaen thi aur unko kat’ti theen aur unki neendain aur sakoon haram kar dya.
• Maindak’oun /frogs ka azaab: Phir Allah ny un per maindak’oun /frogs ka azaab nazil farmaya. Frogs se ghar, bartan (utensils), khanay peenay ki cheezain sab kuch bhar gya. Hatta k koi kapra ya khana kholta tau us me maindak /frogs bharay pata.
• Khoon/blood ka azaab: Jab Frogs ka azaab jhail liya tau Allah ne kafir’oun per khoon ka azaab bheja. Tau Fir’oun k logoun k sab bartan khoon se bharr gae. Ab na wo kisi kounwen/well se pani pee sktay thay, na ksi nehar / lake se. aur na hi ksi bartan se pani nikaal sakty thay. Agar bhartay bhi, tau foran pani taza khoon se badal jata.
Riwayat ye bhi hai k khoon se murad “Nakseer ka khoon” hai. Means ‘blood from nose”.
(Allah Hum sab ko Apnay azaab se mehfooz rakhay)..
Magar agay Allah ne Fir’ounioun k lye dardnaak anjaam soch rakha tha. Darya-e-Neil ki toofani mojoun ki bhaint charana tha…








Hazrat Nooh A.S. (Dawat e Islam aur Qaum ko bad'dua)
Hazrat Nooh A.S Hazrat Idrees A.S ki aulad me se hain.
Nooh A.S ki birth Hazrat Adam ki wafat k 126 years baad hue thi, aur acc. to other rawayat Adam O Nooh k darmiyan 10 zamanay guzray thay.
Hazrat Nooh A.S ko Allah Rabbul Izzat ne us wakt Rasool bana k bheja, jab Butoun (idols) aur Setanoun (Devils) ki ibadat ki janay lagi thi. (aur Nooh se pehlay k teeno Hazraat Adam o Sheesh o Idrees Prophets thay)
Hazrat Nooh k baad k tamam Anbiyah O Rusul sab unhi ki aulad se hain.
Is trah Hazrat Ibrahim bhi Nooh ki aulad se hain. aur un k baad k Anbiyah bhi Hazrat Ibrahim ki aulad hain aur un k wastay se Hazrat Nooh ki aulad se hain.
Nooh ki qaum k qissay ko Quran Pak me bht se jagha pe biyan kia gya hai, like Surah e Airaf, Younus, Hood, Anbiyah, Mominoon, Shura'a, Ankaboot, Safaat, Qamar, aur puri Surah e Nooh.
Hazrat Nooh A.S. ne apni qaum ko different different tareekay se samjhaya, din raat ek kar k Allah ki Wahdaniyat ki taleem di, magar afsos qaum ki bad-bakhti k ksi trah sedhi raah pe na aye. Bulkay aksar log tu Nooh k dushman hogae, unki zaat pe kechar uchala, unpe aib lagaye aur Idols worship me zyada se zyada lag gae.
Nooh A.S. jab apni qaum ki traf se bilkul hi mayoos hogae aur daikh lya k inmay bhalai'e ka koi zarra tak nahi tau phir Nooh ne alam e mayoosi me Allah k ghazab ko in pe dawat di aur bebasi k alam me Allah se faryaad ki k,
"Parwardigaar, zameen pe Kafiroun ko basta na rehnay dijiye, agar aap inko chorainagy tau wo teray bandoun ko gumrah karaingay".
Nooh A.S ki bad'dua k result me Allah ki traf se musibatain unki qaum pe toot pari.
aur us wakt allah ny Nooh ko hukam dya k aik Kashti (Ark) banalo, aur wo aisi azeem aur bari ho k na us se pehlay kabhi bani aur na banay gi.
Allah Ta'ala ne Nooh A.S ko pehlay se farmadya k jab Allah ka azab ajae aur kuffarko apni lapait me lay lai tau phir un pe se hataya nahi jaega, Lehaza aap phir kahin narmi me aaker azab se un k lye panah maangain, tau aisa nahi hona chahye. Azab agya tu phir wapis nahi hataya jaega.









Machar'oun (mosquitoes) k through Allah ka azab:
Kaha jata hai k Allah Rabbul Izzat ny Us maghror badshah (Namrud) ki traf farishtay (angel) ko bhi bheja, jisny usko eman ki dawat di, laiken Namrud ne inkar kar dya.
Dosri aur phir teesri baar bhi Dawat e Islam di gae, magar her baar usny inkar kia. Aur kaha k tum apnay lashker (forces) ikhatay karlo, tau phir main bhi apnay lashkar jama karta houn (means dawat e jung di)
Phir Namrud ny Tulu-e-Aftab (sun rise) k wakt apnay be-panah lashkar ko jama kar lya.
Tau Allah Ta'ala ne (apnay lashkaroun/forces me se intehai kamzor jandaar lashkar means) Machar'oun (Mosquitoes) ka aik lashker bhej dya. aur wo lashker Khuda'ai Aftab ki roshni (Sunlight) me dikhta bhi na tha, means invisible lagta tha.
Phir Allah ny un macharoun ko us azeem lashker (Namrud k logoun) per musallat farma dya. Jis ny un k gosht aur khoon ko chaat kar rakh dya, aur bikul khaa lya.
Hatta k saaf chikni haddi bana k rakh dya. (Astaghfirullah..)
Un macharoun me se aik machar (mosquito) Namrud ki naak (nose) me ghus gya aur (Allah ny us k zaryay se namrud ko wo azab chakhaya k) wo machar 400 years tak andar hi raha. aur Namrud us puri muddat (time period) me apnay sir ko machar se pitwata raha (her wakt us k sir pe marna parta tha) ,, Hatta k Rabbul Izzat ny us k zaryay se usko neest o nabod farma dya....
Allah O Akber.....







Hazrat Musa A.S ki apni qaum k sath Hijrat (migration)
Jab Fir’oun ki qaum k log apni jahalat per datay rahy aur ksi bhi trah Allah ko mannay ko tayyar na hue bulkay kufr aur hat dharma me pakkay hogae tau goya wo darkht ki aisi jar (root) ban chukay thay k jis k ukharnay ka waqt aan phuncha tha. Aur aisa khabees phal tha k jis k katnay ka waqt qareeb agaya tha.
Na-umeed ho kar Musa ne Allah se Fir’oun k lye bad'dua ki, jis trah Hazrat Nooh ne apni qaum k lye bad’dua ki thi.
Hazrat Haroon ne apnay bhai ki dua per Ameen Ameen kaha.
Hazrat Musa ne farmaya:
“ Ae Allah, aur in k diloun ko sakht kar dijiye. (kioun k) ye jab tak azab na daikh laingay, eman na layengay..”
Allah Ta’ala ne farmaya:
“ Beshak tum dono ki dua qabool ki gae, so sabit qadam rehna aur jahil’oun k rastay per na chalna..”
Phir Bani Isra’ael k log basti bana kar ek jagah per rehnay lagay. Allah ne Musa A.S ko wahi ki k tamam musalmanoun ko lay kar ratoun rat nikal paro. Phir tumhara peecha kiya jaega.
Bani Isra’ael aik raat achanak foran mulk ‘Sham’ ka irada kar k nikal bethay. Fir’oun ko un k janay ka pata chala tau wo sakht pareshan aur ghazabnaak hua. Aur jaldi jaldi apnay lashkar’oun (troops) aur qaum k logoun ko jama kia aur Musa aur unki qaum k peechay chal para. Ta k un ko neest-o-nabod kar skay.
Fir’oun k lashkar (troops) muslims k muqablay me bht beshumar thay. Aik qaul k mutabiq us k lashkar me 1 lakh tau sakht jangju aur baray baray bahadur (brave) thay, aur total number of people 16 lakh se bhi zyada tha. (Wallah’Alam)… aur in k muqablay me Bani Isra’aeli bht kamm thay.
Al-gharz, Fir’oun apnay azeem lashkar k sath Bani Isra’ael ko ja phuncha. Aur wo subah sadiq (fajr) ka waqt tha.
Bani Isra’ael ne khauf-zada ho kar Musa A.S se arz kia,”Hum tau pakray gae..”
Kioun k un k aik traf tau Fir’oun ka azeem lashkar tha, aur dosri traf samandar rasta rokay khara tha. Aur left aur right buland o bala pahaar thay…






Hood A.S ki qaum per barish ka band hona..:
Hood A.S ny apni qaum k samnay wahdaniyat aur bara'aibayan ki,,means her trah ki koshish kar k us hat-dharam, zaleel aur kafir qaum ko butoun ki puja se rok kar Islam ko ikhtiyar kar lainay ko kaha. Magar woh gharoor me mubtala qaum apni zidd pe ari rahi..
Tau Hazrat Hood ne tang aker qaum se kaha k bus ab barabar hai. Tumhary kartu'toun se main tum ko dara'oun ya na dara'oun, ab tu Allah k azab ka hi intezaar karo jo tum ko pakarnay wala hai. Wo azab jo tum se hataya nahi jaega aur wo ruswai jo dour na hogi....
Allah Ta'ala ne farmaya: "Anqareeb Wo (qaum e A'ad) peshaman ho jaengay."
Phir un ko Cheekh ne aa pakra.... (Bad Scream)
(ba'tor e azab) Haq k sath, phir Hum ne unko Kora (garbage) bana dala...
Jab Qaum e Hood ne her baat se inkar kar dya tau Baran e Rehmat (Barish/rain) ko in per 3 years tak k lye rok dya gya.
Aur wo bari mushaqat me mubtala hogae, aur us zamanay me kafir logoun ko bhi agar koi musibat aan parti tau wo bhi Allah se rehai ki dua krty thay aur Bait Ullah me ja k aah-o-zari karty, aur ye Ras o Riwaj un k yahan mash'hor tha.
Tau khair A'ad ki qaum ne bhi is tareekay k mutabiq almost 70 logoun ka wafad (delegation) Bait Ullah ki traf bheja ta k wahan ja kar apni qaum k lye barish talab karain. Tau ye wafad Makkah ki aam abadi me phunch gya aur thehar gya (stayed). 1 montha tak waheen ruka raha.. (waha sharab noshi, her trah ki aish o ayyashi chalti) yahan tak k Makkah k sardar ki 2 raqqasa (prostitute) unko berhana (naked) raqs (dance) dikhla ti. Istrah 1 month guzar gya..
Phir Sardar e Makkah k ehsas dilanay pe khayal aya k hum tu yahan barish mangnay aye thay, phir apni qaum k lye dua ki. Barish mangi. magar jahil'oun ko maloom na tha k woh kia maang rahy hain...
Azaaab,, Azaaab,, Azaaab....





Shoaib A.S ki qaum pe 3 trah k azab
Choonkay, qaum ka’ai trah k gunahoun k sath zinda thi, isi lihaz se Allah Rabbul Izzat ne un per ka’ai trah k azab jama’a farma dye thay. Aur different musibatoun aur halakatoun ki suratain un per ikhata kardi gaen thi.
Lihaza, Allah Ta’ala ny jahan bhi in k qissay ko biyan farmaya, waheen ki munasibat se un k mukhtalif azab ko biyan farmaya.
• Zameeni Bhoon’chaal (Aandhi):
Surah e Aara’af me hai k kafiroun ne Shoaib A.S ko daraya dhamkaya aur basti se nikal janay ka kaha. Tau Allah Ta’ala ny usi munasibat se wahan farmaya: Un ko aandhi ne aa pakra,
Pus wo apnay gharoun me oundhay moun hogae. Means us qaum ne Shoaib ko daraya hi tha, Allah ny us ko haqeqat me tabah kar dya.
• Chinghaar ka Azab (Cheekh):
Surah e Hood me hai k, jis trah unho ne apny Nabi (Shoaib) ka Mazak uraya, un ko ruswa kia, tau is k lye munasib hua k un ko aisi dant dapat ki jae, jo us k mutabiq ho.
Lehaza, unho ny apni zuban’oun (tongues) se Nabi ka Mazak uraya tau Allah ne apnay Farishtay k zaryay aik cheekh un per lagwai, jis se un k kalejay tak phat gae aur us bad’kalami ka maza mill gya, jo Allah k Nabi k mutaliq karty thay.
Lehaza, pehlay aandhi ne unko sakoon bakhsh dya tha, phir cheekh ne un ko gang (dumb) kar dya.
• Badal ka Azab:
Surah e Shura’a me hai k un ko “Saibaan” yani badal k azab ne aa dabocha. Aur ye un ko maang, talab aur wish ka nateja tha.
Unho ny Hazrat Shoaib ko kaha tha k agar aap sachay hain tau hum per aasman se azab ka aik tukra hi gira dijiye.
Lehaza, Allah ny unki khuahish ko pura farmaya. Farman-e-Ilahi hai; Phir unho ny Shoaib ko jhutlaya tau un ko Saibaan k din k azab ne pakar lya. ,, beshak wo baray din ka azab hai.



Qaum-e-loot per Allah ka azab
Hazrat Loot A.S ne apnay ghar k darwazay ko band kar rakha tha (aur mehmaan means Farishtay andar betha rakhay thay), aur khud darwazay per kharay ho kar qaum ko hata rahay thay. aur wo log dhakkay per dhakkay maar rahay thay. Aap unko sath sath nasihat farmatay aur mana kartay aur roktay, laiken bad-kirdaar aur behodah logoun ko kuch sharam o lihaz na aya. .. Tau Hazrat Loot A.S ne us waqt bari be'chargi k sath ye kaha k "kash k mere lye tumharay muqablay me koi taqat hoti ya main kisi mazboot qilay (castle) ka sahara pakarta(Hood 80), tau tum se achi trah apnay mehmanoun ki hifazat kar laita, aur tum ko samjha daita.
Tau phir Farishtoun ne haqeqat se pardah uthaya aur kaha:
"Ae Loot, hum terey Parwardigaar k bhejay hue farishtay hain, .. ye hargiz tujh tak na phunch sakaingay.." (Hood 81)
Phir Jibra'ael A.S un per (qaum per) nikal paray, aur apnay "Parr" (wing) k sath un k chehroun (faces) per aik waar kia tau wo log andhay hogae,. hatta k kaha gya hai k un k faces se ankhoun ka naam o nishan bilkul hi mitt gya. Phir wo log cheekhtay chillatay, deewaroun ko tatol'tay tatol'tay wapis doray bhagay.. Laiken hat-dharmi ki inteha k phir bhi jatay hue Allah k paighamber Loot A.S ko dhamkiyan daitay ja rahay hain k kal anay do, phir daikh laingay...
Isi ko Allah Ta'ala ne farmaya: " Aur unho ny Loot ko us k mehmanoun k baray me behkaya tau Hum ne unki ankhain (eyes) ko mita dya, aur subah hotay hi un ko Da'aimi (constant) azab ne ghair lya..." (Al-Qamar 37, 38)
Farishtoun ne Loot A.S ko basti chorr kar janay k lye kaha k ratoun raat apnay ahl o ayaal ko laiker nikal jaen aur peechay murr kar koi na daikhay. Means jab azab ki awaz aye tau koi uski taraf mutawajjah (attentive) na ho...Aur Loot ki bewi sath nahi jaegi, us ko bhi wohi azab phunchay ga, jo dosroun ko phuncha.
Tau Hazrat Loot A.S apnay Ahl, jo sirf 2 beti'youn pe mushtamil tha, laiker nikal gae..
 

 

 Loot (Alaihay Salam) ki Qoum ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam)

Qoum ke liye Loot (Alaihay Salam) ko Nabi banakar bheja gayaa isiliye iss Qoum ko Qaum-e-Loot kahaa jaata hai.

Is Qoum me us waqt Aisi buraayee paayee jaati thi jo unse pahele duniya ki kisi bhi Qoum me nahi paayee gayee. uss Qoum ke Mard (Aadmi) apni Nafsiyaati (Jismaani ) khawaahish ko puri karne ke liye Mardo (Aadmi yo) ke paas jaate they (Homo-Sexuality). Aur ye be-hayaayee aur buraayee itni aam ho gayee thi ke wo apne iss bure kaam ko bura nahi samjhte they, balki uss par fakhar kiya karte they.

Ab Farishto ne Zameen ko jadh se ukhaadkar palat diya aur kayee kilometer (taqreeban 40 kilometer) tak gehre Zameen me dhasaa diya, phir unpar paththar aur tezaab ki baarish ki iss tarhaa un Gunaahgaaro ka Namo-Nishaan mita diya gaya aur koi bhi na bach saka.

 

 

Hazrat Nooh (A.S) ki Qaum Par AZAB

kind of azab that Allah(SWT) imposed upon qaum-e-Nooh(AS) because of their shirk.

Kashti pe hazrat Nooh ne hathi ki sar pe hath phera tha jis ki waja se uski naak mein 2 soorakh huay aur istarah us ne kashti k andar ki tamam ghalazat (filth) ko apni soond se bahar phaink dya.

Hazrat Nooh ne hanzir (PIG) ko mardood kaha toh, sheytaan uski madad se kashti per agaya. aur us ne atay hee Hanzir k mathay pe hath phera jiski waja se uski naak se 2 chohay paisa huay aur un choohon ne kashti k andar soorakh karna shru kardia. Yehi waja hai k hanzir ka gosht musalmanon per haram kardia gaya hai kiun k yeh Allah ka sabse napasandeda janwar hai, aur is k gosht ko khanay se insan begherat hojata hai aur uski sharm o haya khatam hojati hai.

Jab kashti mein choohay soorakh karne lagay toh hazrat jibraeel AS se hazrat Nooh ko kaha k sher ki paishani per hath phairain aur is tarha uski naak se 2 billian paisa hueyeen jinho ne choohon ko kha lia, tabhi se choohay aur billi dushman hein.

Hazrat Nooh ne kabootar ko bheja k ja kar dekhe k paani kitna tham gaya hai dunya mein, woh gaya aur kuch geeli aur kuch sooki matti apne paon per laga laya jis waja se pata chal gaya k abhi b dunya per pani buhat hai. isi k badlay Hazrat Nooh ne dua ki k kabootar ko hamesha pyar ki nigah se dekha jaye.

Isi k bad Hazrat Jibraeel hazir huay aur unhon se tamam pani ko 7 hisson mein taqseem kardia jis waja se aj dunya mein 7 samandar hein.

Allah SWT ne hazart Nooh AS ko hukum dia k tamam seeds ko zameen mai bo dain, unhon ne aisa hee kia magar angoor k seeds na milay. Unhein shetaan ne chura lia, jis per Hazrat Nooh ne baazpurs ki toh shetaan mardood ne angoor k seeds dai diye aur hazrat Nooh se kaha k mai bhee is ko bonay mein apki madad karoonga. Zameen mein lomri (fox), sher (lion) aur hanzir (pig) ko halaak kar k us ka khoon dala. Us k baad Hzrat Nooh ne iqrar kia aur aik hissa pani khud dala aur 3 hissay pani us mein shetaan mardood ne dalay. Yehi waja hai k angoor k andar jo mithaas hai woh hazrat Nooh k pani dalne ki waja se hai aur us se jo sharab banti hai woh shetaan mardood k pani dalne ki waja se hai, Yehi waja hai k sharab peenay wale insan ka mizaaj pehle lomri (fox), phir sher (lion)aur phir hanzir (pig) ki tarha hojata hai, tabhi woh na kuch dekha sakta hai aur na hee kuch samajh sakta hai.

Hazra Nooh ne shetaan mardood se poocha k woh kaun se 4 kam hein jin k karne se aulad-e-aadam dozakh mein jayegi toh shetaan bola woh 4 kaam hein: "hasd - hirs -takabur- bukh'l

(hasad yani kisi se jalna nahi chahye ,

bukhl yani kanjoosi :apni zarooryat pe kharch karna chayay kanjoosi nahi karni chahyay aur khuda ki di hui dolat mein se zakat deni chahyay. Aik hadis e pak mein ata ke jo loog buhl kartay hai yahi dolat qayamat ke din un ke gale ka tooq(yani phanda) ban jayegi;,

takabur yani ghroor insan ko baray bool nahi bolne chahyay kisi kism ki barai nahi honi chahyay insan mein kuonke khuda ko ajzi o sadgi pasand hai aur parhaizgaar loog hi us ke mehboob hai,aur

hirs yani lalach nahi karni chahyay.

Agr kisi mein bi koi ikhlaqi burai (jhoot ,hasdo hirs o takaboro buhl ...)hu tu woh subh fajr ke baad 7 baar sorrah alkafiroon parhay tu har qism ki ikhlaqi burai khatam hujati hai . khuda hum sab ko in sab ikhlaqi burayoon se bachne ki tofiq ata farmayay aur hum pe rehm farmayay(amin)..

Phir iske baad hazrat nooh ne iski sharah isse poocho tu iblis ne jawab dya ke "meine 70 000 saal khuda wande tallah ki ibadat ki hai aur iska hukm manta rha hu(rawayat mein hai ke iblis sabse zyada ibadat ghuzar tha aur sabse zyada ibadat bi ussi ne ki hai lakin aik sajda na karne ki waja se rad kar dya gyaa tu soochyay hum ne kitne sajde choore hain ? hum ne kitne hukm nahi manay ?)...aur jab adam ko allah ne bnaya tu sab farishtoon ko hukm hua ke isse sajda karoo sab ne kiya aur meine hasad kiyaa (ke adam mati ke banay hai aur mein aag ka mein adam ko sajda kuon karonga)isiliyay khuda ki lanat huwi aur dosri baat yeh ke phir ALLAH ne mujse poocha aur ke tune adam ko sajda kuon nahi kiya tu mein magroor hugya ke mein adam se behtar hu isiliyay allah ne apni dargah se mardod kaarar karke nikal dya aur teesri waja yeh ke hirs(lalach )hui adam ko gehyoo khane ki jisse allah ne mana farmaya tha aur meine unhein gehyon khane pe uksaya aur isiliyay woh behshat se nikale ghay aur is duniya ki qaid mein girftar hughay"aik hadis hai ya kisi ka qool muje sure nahi usmein ata ke "momin ke liyay duniya dozakh hai aur kafir ke liyay janat"..aur isi hirs ne adam ko is dozakh mein phenkwaya tha...aur choota buhl hai ke khuda ne buhliyoon pe janat ko haram kardya hai woh hargiz janat mein na jayenge ...iblis yeh waqiya hazrat nooh(alyih islam) ko suna ke chala gya tu baad mein khuda ka hukm hua ke eh nooh tu is kashti ki lakri se aik masjid bana tab whan unho ne usi jodi pahari pe masjid bnai aur us basti ka naam "samaneen "rakha yani iska matlab yeh hai ke tamam adam momin o momina usi basti mein hazrat nooh ke sath rehte the..aur iske chand rooz baad hi hazrat nooh wafat pa gaye.

Aapki wafat ke baad unki aulaad saam,khaam aur yasif baqi rhi yani yeh pori duniya in teenoon ki nasl mein se hai ..ehle arabo ajam saam ki aulaad mein se hai.

This post is based upon "Qasa-ul-Anbia". Any discrepancy may be notified.

 

 

 

Fir’oun ki qaum per Allah k different azaab 

jab Jadoogar emaan lay aye, aur Fir’oun , dushman-e-Khudanamurad hua, phir bhi emaan lanay se hat-dharam raha,bulkay kufr per data raha tau tab ja kar Allah ne ye azaabaat aik k baad aik nazil farmaye.
Pehlay Qehat Sali (drought), phir toofan (flood) , phir tiddiyan, phir jou’en (lices), phir Maindak (frog),phir khoon (blood)…
Her azaab k anay per kafir Musa A.S k pass jatay k apny Allah se keh kr humay is azaab se nijaat dilaen. Musa dua farmatay aur azaab dour kar dya jata. Kafir phir se apni dhitai aur kufr per ajatay. Tab Allah ki traf se dosra azaab ajata.

• Qehat Sali (Drought): pehla azaab qehat Sali tha. Jis me na kabhi sar-sabzi thi a phal / fruits. Aur na than’oun se doodh(milk) nikalta tha.
• Toofan (flood): Drought k baad Toofan/ flood ka azab aya. Is ne zameen ko apni sakht lapait me lay lya. Kafir log na kheti barhi (cultivatin) kar skty thay aur na hi kuch aur kaam. Hatta k faqoun ki nobat agae thi. Tab Musa A.S k agay ghutnay taikay (kneel down) k azab se chutkara dilaao.
• Tiddiyan: Tiddiyoun ne aker fruits aur crops ko khaa lya. Yahan tak k trees ko bhi khaa gaen. Aur phir darwazoun ki maikhoun aur keeloun (nails) tak ko chaat gaen. Is per phir sab ne pareshan ho kar pehlay wala mukar khaila.

• Jou’on ka azaab (Lices): Hazrat Musa ko hukm mila k apni lathi /stick laikar rait k teelay (Sand rock) per phuncho aur usko lathi se maaro. Tau Musa Rait k azeem teelay per gae aur usko stick se mara tau wo jou’un/lices se phat para. Aur wo wahan se nikal kar gharoun, khanay peenay ki cheezoun me jagah jagah ghuss gaen. Jou’en kafiroun k bister’oun tak me ghuss gaen thi aur unko kat’ti theen aur unki neendain aur sakoon haram kar dya.
• Maindak’oun /frogs ka azaab: Phir Allah ny un per maindak’oun /frogs ka azaab nazil farmaya. Frogs se ghar, bartan (utensils), khanay peenay ki cheezain sab kuch bhar gya. Hatta k koi kapra ya khana kholta tau us me maindak /frogs bharay pata.
• Khoon/blood ka azaab: Jab Frogs ka azaab jhail liya tau Allah ne kafir’oun per khoon ka azaab bheja. Tau Fir’oun k logoun k sab bartan khoon se bharr gae. Ab na wo kisi kounwen/well se pani pee sktay thay, na ksi nehar / lake se. aur na hi ksi bartan se pani nikaal sakty thay. Agar bhartay bhi, tau foran pani taza khoon se badal jata.
Riwayat ye bhi hai k khoon se murad “Nakseer ka khoon” hai. Means ‘blood from nose”.
(Allah Hum sab ko Apnay azaab se mehfooz rakhay)..
Magar agay Allah ne Fir’ounioun k lye dardnaak anjaam soch rakha tha. Darya-e-Neil ki toofani mojoun ki bhaint charana tha… 

 

 

 

 

قوم عاد"

قوم عاد ایک ایسی قوم تھی جو بڑے طاقتور تھے 40 ہاتھ جتنا قد 800 سے 900 سال کی عمر نہ بوڑھے ھوتے نہ بیمار ھوتے نہ دانت ٹوٹت نہ نظر کمزور ھوتی جوان تندرست و توانا رہتے بس انھیں صرف موت آتی تھی اور کچھ نہیں ھوتا تھا صرف موت آتی تھی.

ان کی طرف اللہ تعالی نے حضرت ھود علیہ السلام کو بھیجا انھوں نے ایک اللہ کی دعوت دی اللہ کی پکڑ سے ڈرایا مگر وہ بولے، اے ھود ! ہمارے خداوں نے تیری عقل خراب کر دی ھے. جا جا اپنے نفل پڑھ ہمیں نہ ڈرا ہمیں نہ ٹوک تیرے کہنے پر کیا ہم اپنے باپ دادا کا چال چلن چھوڑ دیں گےعقل خراب ھوگئی تیری جا جا اپنا کام کر آیا بڑا نیک چلن کا حاجی نمازی تیرے کہنے پر چلیں تو ہم تو بھوکے مر جائیں انھوں نے شرک ظلم اور گناھوں کے طوفان سے اللہ کو للکارا تکبر اور غرور میں بد مست بولے.

فَأَمَّا عَادٌ فَاسْتَكْبَرُ‌وا فِي الْأَرْ‌ضِ بِغَيْرِ‌ الْحَقِّ وَقَالُوا مَنْ أَشَدُّ مِنَّا قُوَّةً ۖ أَوَلَمْ يَرَ‌وْا أَنَّ اللَّـهَ الَّذِي خَلَقَهُمْ هُوَ أَشَدُّ مِنْهُمْ قُوَّةً ۖ وَكَانُوا بِآيَاتِنَا يَجْحَدُونَ ﴿١٥﴾

اب قوم عاد نے تو بےوجہ زمین میں سرکشی شروع کردی اور کہنے لگے ہم سے زور آور کون ہے؟ (۱) کیا انہیں یہ نظر نہ آیا کہ جس نے اسے پیدا کیا وہ ان سے (بہت ہی) زیادہ زور آور ہے، (۲) وہ (آخر تک) ہماری آیتوں کا (۳) انکار ہی کرتے رہے۔

کوئی ھے ہم سے ذیادہ طاقتور تو لاو ناں ؟ ہمیں کس سے ڈراتے ھو؟

اللہ نے قحط بھیجا بھوک لگی سارا غلہ کھاگئے مال مویشی کھا گئے حرام پر اگئے چوھے بلی کتے کھاگئے سانپ کھاگئے درخت گرا کر اسکے پتے کھا گئے بھوک نہ مٹی نہ بارش ھوئی نہ قطرہ گرا نہ غلہ اگا. پھر تنگ آکر اپنا ایک وفد بیت اللہ بھیجا ان کا دستور تھا جب مصیبت آتی تو اوپر والے کو پکار اٹھتے جب دور ھوجاتی تو اپنے بتوں کو پوجنے لگتے.

بیت اللہ وفد گیا اور کہا کہ ہمارے لئے اللہ سے دعا کرو کہ بارش برسائے اللہ نے3 بادل پیش کئے،

کالا

سفید

سرخ

اللہ نے فرمایا ان میں سے ایک کا انتخاب کرو انھوں نے آپس میں مشورہ کیا کہ سرخ میں تو ھوا ھوتی ھے سفید خالی ھوتا ھے کالے میں پانی ھوتا ھے کالا مانگو اللہ تعالی نے کہا واپس پہنچو بادل بھیجتا ھوں وہ خوشی خوشی واپس آئے سب لوگ ایک میدان میں جمع ھوئے بادل آیا وہ ناچنے لگے کہ اب بارش ھوگی قحط مٹے گا کھانے کو ملے گا کیا پتا تھا، وہ بارش نہیں اللہ کا عذاب ھے، جو تم ھود سے کہتے تھے کہ لے آ !. جس سے ہم کو ڈراتا ھے اس بادل مین ایسی تند و تیز ھوا تھی کہ جس نے ان کو اٹھا مارا ان کے گھر اڑا دئیے.

٦٠ ہاتھ کے قد اور لوگ تنکوں کی طرح اڑ رہے تھے، ھوا ان کے سروں کو ٹکراتی تھی اتنی زور سے ٹکراتی کہ ان کے بھیجے نکل نکل کر منہ پر لٹک گئے بعض لوگ بھاگ کر غار میں گھس گئے کہ یہاں تو ھوا نہیں آ سکتی مگر میرے رب کا حکم ھو کر رہتا ھے. ھوا غار میں بگولے کی طرح داخل ھوتی اور انکو باہر اٹھا کر پھینک دیتی.

اللہ نے فرمایا،

فھل تری من باقیہ

کیا کوئی باقی بچا؟؟

 

 

Qoam e Aad aur Samood per konsa azab nazil hua ? | Qasas ul Anbia
Hazrat Loot AS ki Qaum Par Allah Ka Azab - Punishment Upon Nation of Lot - Qasas Ul Anbya
Hazrat Loot as Ki Qaum Per Azab Kyo Aya | Prophet Lut | Qome Loot | Mehrban Ali | Quran Qisa | Waqia
Hazrat Dawood Ki Ummat Bandar Kyo Bani | David | Dawud | Qasas ul Anbiya | Waqia | Quran Mehrban Ali
Hazrat Nooh AS ki qoam per azab kiu aya ?
Hazrat Lut A.S Ki Qoum Per 3 Azaab l Qasasc Ul Anbiya l Allah Ka Azaab l
Qoam Aad aur Samood per konsa azab nazil hua ? Qasas ul Anbiya | Hazrat Saleh AS
Qoum e Thamud Per Azaab Kaisay Aaya l How Did The Torment Come Upon The People Of Tahmad L
Qoam e Aad ka Takabur | Qasas ul Anbia
Hazrat Lut A.S Ka Qissa l Qasas Ul Anbiya l
Qoum Samud Per Allah Ka Azaab Kio Howa l Documentary Of Qoum Samood l Qasas ul Anbiya l Qurani Waqia
Hazrat Shaib AS ki Qoam per konsa Azab aya ? | Qasas ul Anbia
Qoam e Aad kitni taqtwar thee ? | Qasas ul Anbia
firon ki qaum par konsa azab aya | Qasas ul Anbia
Qoam e Samood Per konsa Azab aya ? | Qasas ul Anbia
Hazrat Ibraheem AS kay pass farishtoo ki aamad Qoam e Lut per Azab aur aap AS ko khushkhabri
Qoam e Firon per konsay Azab ayee ? | Qasas ul Anbia
Hud AS ka buttoo say Aillan aur Allah ka azab | Qasas ul Anbia
Hazrat Hood AS ki Qoam per Allah ka azab | Qasas ul Anbia
Qoum e Samood nay kia bad shagooni ki ? | Hazrat Saleh AS | Qasas ul Anbia
Qoam e Aad ki taqat unn kay lia wabal e jan kiu ban gai ? | Qasas ul Anbia
Qoam e Aad ka takabur | Qasas ul Anbia 

Loot (Alaihay Salam) ki Qoum ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam)

No comments:

Post a Comment