Monday, September 28, 2015

Insan ki Kamyabi, Allah ka Zikar, Quran Majeed ki tilawat, Namaz, Zindagi ka maqsad, Durood Shareef, Islamic Website, Famous Islamic pages on Facebook

Namaz Ka Amli Tarika | Practical Namaz | Namaz Ka Tarika By Mufti Rasheed Ahmed khursheed



Mard Admi Lerka Aur Lerki Orat Aurat Par Ghusal kab Farz hota hay Ghusal Ka Tariqa Mufti Tariq Maso


Click on the following For Islamic Video, Islamic Wazaif and Zikar Azkaar for daily routine life of muslim (All time best post of this blog "Sharing is caring")


http://proudpakistaniblogging.blogspot.com/2018/05/all-time-best-post-of-sharing-is-caring.html

"Tamam Alam kay insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say or seekhnay say ata hay, isi mehnat kay liyay tableeg ka kam hota hay jo Hazrat Adam (A.S) say suroo huwa, Hazrat Adam (A.S) say lay ker  Hazrat Muhammad (S.A.W) tak taqreeban 1 Lac 24 Hazar Paigamber aye , jo her Dor may logo ka taluq Allah say jornay may lagay rahay , deen Islam ko pehlanay ki koshish kertay rahay or Deen Islam ko pehlanay kay liyay sakht say sakht taqleefo ka bhe samna kiya likin Islam ko pehlanay kay liyay kisi bhe mushkil or takleef say na gahbraye , Hazrat Muhammad (S.A.W) Allah kay akhri Nabi or Rasool hay  , Khatam - e - Nabuwat ki barkat say ab islam ko pehlanay ki zimadari tamam musalmano per hay , kiun kay hum ko pata hay kay hum akhri ummat hay ab kio Nabi ya Rasool nahee aye ga , Ab yay hum musalmano ki zimadari hay kay pehlay hum khud deen seekhay or us per amal keray or deen islam ko seekhnay kay liyay apna waqt Allah ki rah may lagaye or phir is deen e islam ko pehlanay kay liyay poorie duniya may jaye or islam ka bol bala farmaye.

Kapra layna ho kapray bechnay walay kay pass jana perhta hay. Sabzi layna ho to sabzi bechnay walay kay pass jana perhta hay , Agar mobile khareedna ho to mobile bechnay walay kay pass jana perhta hay bilkul isi tarah agar ap ko Deen e Islam seekhna to ap ko Allah walay kay pass jana perhay ga.

“ Allah say hota hay or Allah ki siwa kisi or say nahee hota “.Tamam Alam kay insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say or seekhnay say ata hay , behayai fahashi or burai say pak zindage guzarnay kay liyay Allah kay deen ko seekhiyay , Allah ki taraf rujoo keray , burai say bachaiyay or Quran Or Sunnat kay mutabiq zindage guzarnay ki koshish kijyay. Allah hamay hidayat day (Ameen). Duniya kay tamam insano ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say ata hay , isi mehnat kay liyay tableeg ka kam hota hay jo Hazrat Adam (A.S) say suroo huwa, Hazrat Adam (A.S) say lay ker  Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) tak taqreeban 1 Lac 24 Hazar Paigamber aye , jo her Dor may logo ka taluq Allah say jornay may lagay rahay , deen Islam ko pehlanay ki koshish kertay rahay or Deen Islam ko pehlanay kay liyay sakht say sakht taqleefo ka bhe samna kiya likin Islam ko pehlanay kay liyay kisi bhe mushkil or takleef say nahee ghabraye , Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) Allah kay akhri Nabi or Rasool hay  , Khatam - e - Nabuwat ki barkat say ab islam ko pehlanay ki zimadari tamam musalmano ki hay , kiun kay hum ko pata hay kay hum akhri ummat hay ab kio Nabi ya Rasool nahee aye ga , Ab yay hum musalmano ki zimadari hay kay pehlay hum khud deen seekhay or us per amal keray or deen islam ko seekhnay kay liyay apna waqt Allah ki rah may lagaye or phir is deen e islam ko pehlanay kay liyay poorie duniya may jaye or islam ka bol bala farmaye.

Jis insan nay koi acha kam or naik amal kiya or us ko agay pehlaya , to jab tak woh naik amal duniya may hota rahay ga to us ka sawab us insan ko milta rahay ga jis nay yay naik kam kisi ko sikhaya hoga yahan tak us kay intiqal kay bad bhee, isi tarah agar kisi insan nay koi bura kam kiya or us burai kay  kam ko agay pehlaya to jab tak woh bura kam is duniya may hota rahay ga, us buray kam ka gunah us insan ko bhee milta rahay ga yahan tak us kay intiqal kay.

Namaz deen ka sutoon hay , Namaz Momin ki Mairaj hay , Namaz Jannat ki Kunji hay , Namaz ALLAH nay hum sab Musalman Mard , Orat , Borhay , Jawan , Balig sab per farz ki  hay , Namaz Deen e Islam ka Aik bohat hi zaroorie rukun hay , ALLAH nay hum Musalmano per din may 5 waqt ki Namaz Farz ki hay , Islam may Namaz ki bohat Aihmiyat hay , Namaz ka ada na kerna , us may suste kerna bohat bara gunah hay , Namaz insan ko buraee say rokte hay , Achay kam ki taraf Ragib kerte hay , Mard ko Namaz Bajamat ada Masjid may ja ker kerni chaiyay ,ha Nafil or Sunnat ap gher may perh saktay hay ,  Orat Namaz gher he may perhaingee , QURAN MAJEED may bar bar Namaz perhnay or Zakat ada kernay ka hukum aya hay , Jo Namaz nahee perhta woh ALLAH kay hukum ki khilaf warze kerta hay , ALLAH kay hukum ko nahee manta hay , jis ALLAH nay usay paida kiya hay , us ka hukum na man na kahan ki Aqalmande hay , is liyay Bajamat or waqt per Namaz ada kerni chaiyay or bilawaja Namaz na perhnay may suste nahee kerni chaiyay or Namaz ko Qaza bhee nahee kerna chaiyay , agar kisi ki Namaz qaza ho bhee  jaye to us say chaiyay kay Qaza Namaz jald az jald  perhay , Fajar or Isha ki Namaz khas tor per perhne chaiyay , kiun kay yay Namaz sab per bharee hotee hay or sab say choot jate hay , Din ka aghaz Fajar ki Namaz perh ker kerna chaiyay or Din ka ikhtitam Isha ki Namaz perh ker kerna chaiyay , Tahajud ki Namaz ki bohat fazeelat hay , or her Namaz kay bad khas tor per Dua mangnee chaiyay , kiun kay Dua kay bagair Namaz complete nahee hote hay ,  agar kisi insan ko kisi cheez ki zaroorat ho to usay 2 Rakat Nafil (Namaz e Hajat) pernhee chaiyay or us kay bad ALLAH say Dua mangnee chaiyay ALLAH us ki Dua ko zaroor qabool farmata hay .  , Fajar ki Namaz kay foren bad sojanay say Rizq may tangi hoti hay , Suraj nikalnay kay bad Sona Afzal hay , Soraj nikalnay kay 10 - 15 minute bad Ishraq ka waqt hota hay , koshish kijyay kay 4 rakat yani 2 Rakat Nafil Namaz e Isharaq or us kay bad phir 2 Rakat Nafil Namaz e Ishraq perhkar sojain is kay baray fazail hay , Jab masjid may Namaz perhnay jaye to thora jaldi chalay jaye or 2 rakat Nafil Namaz Tahiyatul wudhu or 2 Rakat Nafil Nafaz Tahiyatul Masjid perhlay in dono Namaz ki bohat zada fazeelat hay , isi tarah Magrib ki Namaz kay bad 2 2 kerkay 6 Rakat Namaz-E-Awabeen perhnay ki koshish kijyay yani 2 Rakat Nafil Namaz e Awabeen perhta hoon wastay Allah kay moo mera Khana e Kaba ki taraf yani 2 , 2 kerkay 6 Rakat Nafil Namaz perhni hay ,is kay ilawa Fajar or Asar kay bad khas tor per Allah ka zikar kijyay , Namaz ki pabanadi kijyay or saaf sutray rehnay ki koshish kijyay  , safai nisf iman hay ap saaf hongay to ap ki koi namaz nahee chootay gee , apnay ap ko or apnay dimag or taqat ko positive kam kay liyay use kijyay or is ko galat kam may use ker kay apni deen or akhirat ko barbad na kijyay , haram kam na kijyay , Haram kam kernay say bachiyay , Haram kamanay say bachiyay , Haram khanay say bachiyay , Fahasi or uryani say bachiyay , apnay dil o dimag ko ganday or pur ganda khayal say pak saaf rakhiyay or islam nay jis kam say roka hay us say ruk jaiyay , jis cheez ko haram karar diyay hay us ko na karain .Quran majeed ki tilawat zaroor kijyay , jin per zakat farz hay mustahik logo ko zakat daynay ka aihtamam kijyay , Her Namaz kay bad Allah say dua zaroor mangiyay , apnay liyay , apnay maa baap , behan bhai , tamam musalmano or khusoosan Pakistan or karachi kay halat ki behtri kay liyay Dua mangiyay ,behayi kay kam say bachnay or naik amal kernay ki koshish kijyay , Allah hum sab ko hidayat day , Buray kam say bachnay or naik amal kernay ki toufeeq ata farmaye (Ameen). Din Ka Aghaz Fajar Ki Namaz Perh Ker Kerna Chaiyay Or Din Ka Ikhtitam Isha Ki Namaz Perh Ker Kerna Chaiyay , Tahajud Ki Namaz Ki Bohat Fazeelat Hay , Or Her Namaz Kay Bad Khas Tor Per Dua Mangnee Chaiyay , Dua Kay Aghaz May Pehlay Allah Ka Zikar Subhanallah E Wabihamdihi , Subhanalahhil Azeem , Subhanallah , Alhamdolillah , Allaah O Akbar , Us Kay Bad Hazrat Muhammad (Sallallahooalahi-Wasallam)  Per Durood Behjan Chaiyay Or Us Kay Bad Dua Mangni Chaiyay Or Dua Kay Ikhtitam Per Bhe Durood Shareef Perhna Chaiyay , Kiun Kay Dua Kay Bagair Namaz Complete Nahee Hote Hay , 

Zikar Azkaar Ki Bohat Fazeelat Hay , Insan Ko Apna Waqt Zaya Nahee Kerna Chaiyay,  Jab Bhee Farig Ho Allah Ka Zikar Kertay Rehna Chaiyay , Zikar Allah Karay Chaiyay Ap Wazoo Ki Halat May Ho Ya Nahee , Chaltay Phirtay , Uthtay Beth Tay , Safar May , Her Waqt Allah Ka Zikar Kijyay , Jo Qurani Dua , Quran Ki Surah Yad Hay Perhtay Rahay , Allah Ka Zikar Or Allah Nay Jo Naimtain De Hay Us Ka Her Waqt Shukar Ada Kertay Rahay ,
, Quran Majeed ki her roz tilawat kijyay, Quran majeed ko perhaiyay or us ko samajhnay ki bhe koshish kijyay kay Allah nay Quran may insan ko kin cheezo ko kernay ka hukum diya or kin cheezo say Allah nay ruk janay ka hukum diya, Zindagee kaisay guzarni hay or zindagee ka maqsad kiya hay yay sab kuch ap ko maloom hoha jab ap Quran ko samajh ker perhaingay, Subah uth ker Surah Rehman ki or Surah Yaseen ki tilawat kijyay , raat ko Surah Mulk or Surah Waqiya ki tilawat kijyay, Zikar Azkaar ki bohat fazeelat hay , Insan ko apna waqt zaya nahee kerna chaiyay jab bhee farig ho ALLAH ka zikar kertay rehna chaiyay , subah 100 dafa Durood Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra kalma perhna chaiyay or isi tarah raat ko bhee yay 3 tasbeeh perhnee chaiyay , isi tarah her waqt Pehla Kalima perhna chaiyay , Astagfar perhna chaiyay or is kay sath sath SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR , Ayatal Qurse perhnee chaiyay , 4 Qul (SURAH IKHLAS , SURAH KAFIROON , SURAH NAAS , SURAH FALAK) perhnI chaiyay , Surah Fatiha perhnee chaiyay , matlab yay kay jo kuch bhe ap ko yad hay ap perhain, ALLAH kay Zikar may masroof rehna chaiyay , time zaya nahee kerna chaiyay . Amal ka Daromadar Niyat per hay , hamay jo bhe kam kerna chaiyay woh ALLAH ki Raza kay liyay kerna chaiyay , kisi ko dikhanay kay liyay nahee , kay may Namaz perhoonga to sab log mujhay Naik samjhay gay , May Zakat doonga to log mujhay bohat Naik or sakhee samjhay gay , matlab yay kay koi bhe kam jo karay woh sirf ALLAH ki raza kay liyay karay kay ALLAH hum say khush ho jaye bas , yay nahee kay duniya ko khush kernay kay liyay or duniya may apna nam roshan kernay kay liyay agar aisa koi karay ga ya is niyat say jo bhe kam kiya jaye ga to us ka ajar kuch bhe nahee milay ga balkay sirf or sir nuqsan hoga , apni Niyat ko saaf rakhay , jo kam bhe karay sirf or sirf ALLAH ki Raza kay liyay or ALLAH ko khush kernay kay liyay karay . Rat ko sotay waqt , sotay waqt ki Dua perhni chaiyay , Surah e Fatiha , Surah Ikhlas , Surah e Kosar , Ayatul Kursi or Surah Baqra ka akhri Rukoo perhna chaiyay. Surah Fatiha , Surah Kafiroon , Surah Naas , Surah Falaq and Surah Ikhlas ki tilawat kijyay , Her Farz Namaz kay bad Ayatal Kursi perhiyay , her waqt Astagfar or Durood Shareef perhnay ka aihtamam kijyaay.Surah Yaseen , Surah Mulk or Surah Rehman ki tilawat kijyay .

Recite daily: Surah Yaseen, Surah Rehman, surah Mulk, Surah Fatiha , Surah Kafiroon , Surah Naas , Surah Falaq, Surah Ikhlas, Surah Quresh , Surah Feel, Surah Asar, Surah Kosar. Read Ayatal Kursi after every Farz Namaz,do Astagfar as much as possible, Recite Durood Shareef as much as possible. Recite

Read Durood Shareef as much as possible ,If any one recites Durood Shareef from any place, any part of the world from any distance, it actually reaches the Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallim) immediately. Allah has appointed several Angels who are given exclusive duty to collect all Durood Shareef and present the same before the Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallim) immediately

Aayat-ul-kursi benefits: recite while leaving house, 70,000 angles will protect you from all side. Recite while entering home, poverty would not enter your home. Recite after wudhu, it raises your status 70 times. Recite before sleeping 1 angel will protect you whole night.




 Click on the following link to see All time best post of Sharing is Caring Blog

http://proudpakistaniblogging.blogspot.com/2018/05/all-time-best-post-of-sharing-is-caring.html




Visit the following websites to listen Islamic Bayans of Leading Ulma e Ikram.





http://www.alh.com.pk/

http://www.zaitoon.tv

http://www.truetasawwuf.org/

http://www.khanqah.org/

http://muftitariqmasood.com

http://darululoomkarachi.edu.pk/ur/

http://www.islamic-waves.com/

http://www.tanzeem.org/


http://www.darsequran.com/

1 comment:

  1. If you hear the call to prayer, then respond to the one who is calling you to Allah

    Remember me in ur PRAYES.
    Abdur Raoof Raoofi Naats

    ReplyDelete