Saturday, August 15, 2015

Tableegh e Islam , Tableeghi Jamaat , Zindagee ka Maqsad Deen ki mehnat, Deen e Islam hamari zindage may kaisay aye ga , Deen e Islam ki Dawat dayna

 Home Page Home Page 1 Home Page 2  Urdu Islamic Article HR Email Ids   

how to create cv in ms word  One Dollar Shop Karachi, Shopping Mall in Karachi 

Latest School jobs   Latest Teaching  jobs  Ramazan Masail Roza Zakat Album

Art & Craft, ASMR Videos      Karachi famous Bazar     Karachi Shopping Places

Karachi famous Parks, Karachi famous Places       Northern areas of Pakistan

Karachi Top Islamic  School           Online Earning Free Course

zindagee kaisay guzarain    zindagee ka maqsad           Quran ki Tilawat Kijyay

Naiki ki dawat dayna   Dua e Anas    The purpose of life / zindage ka maqsad videos

Zikar Azkaar how to create cv in ms word    School HR ID   Ulema Ikram Bayanat

Listen Quran Majeed    Read Quran Majeed   Social Media    Ramzan

Khulasa Quran Majeed   Latest jobs    Karachi School    Free Islamic Gift 

WHATSAPP GROUP    HR Stuff   Tips & Trick for HR Student, Recruiter, Job Seeker    RSMZ Tutor Academy Karachi 

TikTok Video    Dawat o Tableegh   Napaki,Wazoo,Ghussal   QURAN URDU TRANSLATION

Zikar Azkaar Videos   Zikar Azkaar Album   Zikar MOLANA YUNUS PALANPURI

Message for Girls and Boys    Message for  Aurat Lerki Khawateen   Jobs on Facebook

Dua e Anas   MOLANA YUNUS PALANPURI   Quran Majeed Surah   Islamic Reminder

zindage ka maqsad   Raat kay amal   Hadsat say bachnay ki dua    Dua e Qunoot Nazla

Namaz ka tariqa  Namaz Ka Tariqa  Islamic Message  social media   

zikar Azkaar for daily routine    Madni Masjid Karachi   Dawat o Tableegh     Islamic Books

Namaz ka practical tariqa    Karachi Ijtima Videos    Sharam o Haya   Islamic Messages

Karachi famous places  aqwal e zareen  Recite Quran Majeed Surah  

Saas Bahu kay jhagray   Junaid Jamshed Naat    Juniad Jamshed Bayan

Saeed Anwer bayan   Saeed Anwer bayan    Nausheen Konen Bayan     Recite  Quran Majeed

Listen Quran Majeed    Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed

Khulasa Quran Majeed    What is Islam   Sunnat e Nabvi (SAW)   Sunnat e Nabvi (SAW)

Cancer ka Ilaj   Quran Majeed Message    Namaz kay Masail     Allah ka Azaab    

Allah ka Azaab     Allah ka Azaab    Allah ka Azaab    Namaz Quran & Tableegh

Karachi Ladies Shopping , Bazaar, Shop youtube channel    Famous Islamic Youtube Channel

Karachi Gaming Channel Youtube Channel      All post link of this website/Blog 





aqwal e zareen in urdu, Sunheray moti, islamic message of the day, message of the day



https://www.youtube.com/watch?v=CSI29ukP1fw

aqwal e zareen in urdu, Sunheray moti, islamic message of the day, message of the day




top 10 school in karachi, islamic school, karachi school, O/A level School #viral #subscribe




Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh

Aik kamyab insan jis ka maqsad sirf or sirf duniya hasil kerna ho, Duniya ka kamyab tareen insan ban na us ki zindagee ka maqsad ho, dolat kamana jis ki zindagee ka maqsad ho, duniya ka ameer tareen insan , jis ki zindagee ka maqsad Duniya kamana ho , jis ka maqsad zada say zada Paisa kamana ho , bank balance jama kerna ho , jis nay bunglow , car or duniya ki her asaish o aram ki cheezay hasil kerli ho , hamesha jeet us ka muqadar bane ho agar us insan ka jab qayamat kay din hisab kitab kiya jaye or woh us may nakam hokar jahanum may dal diya jaye or aik wo insan jis nay duniya may zindagee bhar Allah or us kay rasool Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam)  kay bataye huway rastay per chala ho , or Allah ka paigham doosro tak pohanchana us ka zindagee ka maqsad raha ho , jis kay nazdeek duniya ki kamyabi say zada akhirat ki kamyabi aihmiyat ki hamil ho , jis ki zindagee ka maqsad hergiz Allah ki nafarmani ker kay aish o aram ki zindagee guzarna na ho , jis nay jo kam bhe kiya ho woh Allah ki raza kay liyay kiya ho , jis nay jo kam bhe kiya ho woh Allah or Rasool Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam)  kay bataye huway tareeqay kay mutabiq kiya ho or jab qayamat kay din us kay amal ka hisab kitab ho to woh us may kamyab hokar jannat may dala jaye ga to ap kay nazdeek kon sa insan sab say kamyab tareen or khush Qismat huwa , aik bar sachay dil say is bat ko sochay ka zaroor or apni zindagee per aik dafa zaroor nazar daliyay ga ka yap ki zindagee ka maqsad kiya hay or ap kay nazdeek duniya ki kamyabi aihmiyat rakhti hay ya akhirat ki jo na khatam honay wali zindagee hay us ki kamyabi ap kay nazdeek zada aihmiyat hay.

“ Allah say hota hay or Allah ki siwa kisi or say nahee hota “.Tamam Alam kay insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say or seekhnay say ata hay , behayai fahashi or burai say pak zindage guzarnay kay liyay Allah kay deen ko seekhiyay , Allah ki taraf rujoo keray , burai say bachaiyay or Quran Or Sunnat kay mutabiq zindage guzarnay ki koshish kijyay. Allah hamay hidayat day (Ameen). Duniya kay tamam insano ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say ata hay , isi mehnat kay liyay tableeg ka kam hota hay jo Hazrat Adam (A.S) say suroo huwa, Hazrat Adam (A.S) say lay ker  Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) tak taqreeban 1 Lac 24 Hazar Paigamber aye , jo her Dor may logo ka taluq Allah say jornay may lagay rahay , deen Islam ko pehlanay ki koshish kertay rahay or Deen Islam ko pehlanay kay liyay sakht say sakht taqleefo ka bhe samna kiya likin Islam ko pehlanay kay liyay kisi bhe mushkil or takleef say nahee ghabraye , Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) Allah kay akhri Nabi or Rasool hay  , Khatam - e - Nabuwat ki barkat say ab islam ko pehlanay ki zimadari tamam musalmano ki hay , kiun kay hum ko pata hay kay hum akhri ummat hay ab kio Nabi ya Rasool nahee aye ga , Ab yay hum musalmano ki zimadari hay kay pehlay hum khud deen seekhay or us per amal keray or deen islam ko seekhnay kay liyay apna waqt Allah ki rah may lagaye or phir is deen e islam ko pehlanay kay liyay poorie duniya may jaye or islam ka bol bala farmaye.

TABLEEGHI JAMMAAT ka maqsad kiya hay , Deen ki dawat akhir kiun dayne chaiyay , HAZRAT ADAM (A.S) say layker HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) tak taqreeban 1 Lakh 24 Hazar paigamber is duniya may aye , her dor may ALLAH nay apnay paigamber bhejay jo her dor may ALLAH ki barai bayan kertay , insan ko seedhay rastay per chalnay , shirk na kernay or ALLAH ko apna KHUDA man nay ki talqeen kertay , jis nay apnay waqt kay Nabi ki bat mani woh kamyab huway or jin ho nay apnay waqt kay Nabi ki bat nahee mani woh na kam huway, ALLAH nay tamam paigambaro ko deen ki dawat day nay kay liyay is duniya may bheja , HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam)A LLAH kay akhree  Nabee or Rasool hay , HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) kay bad  ab koi NABI nahee aye ga , is bat per tamam Musalmano ka qamil yaqeen hona chaiyay , Kiun kay ab koi NABI nahee aya ga to deen kis tarah pehlay ga , logo ko ALLAH ki taraf or naiki kay rastay ki taraf kon bulaye ga , Ab is kam ki zimadari hamari hay kay insano ko deen ki taraf bulaye yanee ALLAH kay bataye huway rastay ki taraf bulaye  , Hum sab kay liyay zaroori hay kay deen seekhay or doosray insano ko deen ki taraf bulaye, un hay yay bataye kay ALLAH hum sab kay Malik hay , ALLAH ki ibadat kerna hum sab per farz  hay or ALLAH kay siwa kisi ko bhe apna  khuda man na shirk hay, ALLAH tamam gunah maaf kersakta hay likin jo insan shirk kerta hay ,ALLAH us ko kabhee maaf nahee karay ga , Agar koi shaks  ALLAH kay siwa kisi ko apna khuda manay ga ya kisi or khuda ki ibadat karay ga to woh musalman nahee hoga. ALLAH hi sirf ibadat kay laiq hay, HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) ALLAH kay akhree NABI hay , AP (Sallallahu Alayhi Wasallam) kay bad koi Nabi is duniya may nahee aye ga , HAZRA ADANM (A.S) say jo insan ko  ALLAH kay deen ki taraf bulanay ka jo silsila suroo huwa tha woh rehtee duniya tak qaim rahay ga , HAZRAT ADAM (A.S) say layker HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) tak taqreeban 1 Lakh 24 HAZAR PAIGAMBER aye or un sab ka mqsad insano ko deen ki dawat dayna tha, ALLAH ki ibadat kero , ALLAH or us kay RASOOL kay bataye huway rastay per chalo , , ALLAH ki ibadat kero, isi may tumhari Duniya or Akhirat ki bhalai hay, naik kam kero or doosro ko naiki ki taraf bulao ,QURAN MAJEED perho ,  QURAN MAJEED ko samjho , QURAN MAJEED may jo hukum diya hay us per amal kero , QURAN MAJEED khud bhee seekho or doosro ko bhe sikhao , QURAN MAJEED may jo ALLAH nay hukum diya hay us per khud bhe amal kero or doosro ko bhe us per amal karnay ki talqeen kero.

Agar ap is bat per gor karay kay ab koi NABI nahee aye ga to deen e Islam kis tarah pehlay ga, kis tarah insano ko pata chalay ga ka deen e Islam hi Haq hay , ALLAH aik hay , us kay ilawa koi ibadat kay laiq nahee hay , ab yay hum sab Musalmano ki zimadari hay , Hum say ki zimadari hay kay Deen pehlay hum khud seekhay , deen per 100% chalany walay ho jaye or doosray insano tak ALLAH kay paigam ko pohanchaiye.

Dawat Islam ya Deen ki taraf bulanay ka amal sirf ALLAH ki barai bayan kerna kay ALLAH Aik hay or woh is Duniya ka Malik hay or bohat he Raheem o Kareem hay , HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) ALLAH kay Akhree Nabi or Rasool hay or AP (Sallallahu Alayhi Wasallam) kay bad koi Nabi is Duniya may nahee aye ga , ab yay hum sab Musalmano ki zimadari hay kay Insan ko Deen e Haq Islam ki taraf bulaye or un ko Deen per chalnay or ALLAH or us kay Rasool kay bataye huway rastay per chalnay ki dawat day or un ko deen per chalnay kay liyay  Razi karay takay hamare bhee or sab ki zindage achee guzray or Deen or Duniya may kamyabi milay .Hum sab Allah kay hukum kay mohtaj hay , is Duniya may jo kuch bhe hota hay woh Allah kay hukum say hota hay , Allah kay hukum kay bagair to aik pata bhe hil nahee sakta . hum kuch bhe kerna chaye agar us may Allah ka hukum agar nahee hoga to woh nahee hosakay ga , hum apni zindagee may nazar dalay , hum zindagee may bohat kuch kerna chatay hay likin nahee ker patay, kiun nahee kerpatay hay kiun kay Allah ka hukum abhee nahee huwa tha , or jab Allah ka hukum ho ajata hay to woh kam aisay hojata hay kay pata he nahee chalta hay , Jis tarah computer laynay kay liyay computer walay ka pass jana perhta hay , mobile laynay kay liyay mobile walay kay pass , laptop laynay kay liyay laptop walay kay pass , internet connection laynay kay liyay internet walay ka pass bilkul isi tarah Allah ko razi kernay kay liyay Allah walo kay pass hum ko jana he perhay ga , hamari zindage ka maqsad hay Allah ko razi kerna , Quran O Sunnat kay mutabiq zindagee guzarna , agar hamay Quran O Sunnat kay mutabiq zindagee guzar ker mernay kay bad na khatam honay wali zindagee may kamyabi hasil kerni hay to hamay Deen e Islam seekhna he perhay ga , Quran O Sunnat kay mutabiq zindagee guzarne he hoge , apni man mani ki zindage na guzarnay kay liyay hamay Allah walo kay sath bethna he perhay ga , Tamam insano ki Duniya or Akhirat ki kamyabi Deen e Islam may he hay or Deen e Islam zindagee may mehnat say he ata hay , Her Thursday (Jumerat) ko Madni Masjid Ayesha manzil Karachi may tamam Allah walay aik jaga per jama hotay hay , Karachi kiya pooray Pakistan say Tableeghi Jamatain ate hay , wahan per insano ko Allah or us kay Nabi (S.A.W) kay bataye huway rastay per chalnay kay liyay Razi kiya jata hay , or wahan say phir Tamam Jamat beeronay mulk (out of country) yanis duniya kay different countries or Androonay mulk yani Pakistani kay under mukhtalif Shehar (city) , Gaoon Dihat (village , Districts) may jatay hay or Deen e Islam ko tamam insano tak pohanchanay ki koshish kertay hay or koshish kertay hay kay insan  Allah kay bataye huway rastay per chal ker apni Duniya or Akhirat may kamyab hojaye , Deen e Islam ko seekhnay kay liyay hamay waqt lagana perhay ga jab jaker hum Deen e Islam per chalnay walay hongay , Is kay ilawa taqreeban tamam Masajid may Tableeghi Jamat kay nam say Deen ko pehlanay ka kam ho raha hay , kisi Masjid may yay kam bohat baray Level per ho raha hay or kaheen thoray kam Level per likin horaha hay , Tamam Masajid may aik din makhsoos hota hay jis may Allah ki barai ki jate hay or logo go deen e Islam per chalnay kay liyay dawat de jate hay takay woh Deen O Duniya dono may kamyab Hojaye . Garz yay kay hum sab Shab e Jumma yani Thursday walay din Madni Masjid Ayesha manzil kay qareeb hay wahan janay walay ho jaye or hamari Masajid jahan hum her roz Namaz perhnay jatay hay wahan ki Tableegh e Jamat kay sath waqt laganay walay ho jaye.

jis tarah aik student ko class may pass honay kay liyay exam dayna perhta hay or us exam ki tayari kay liyay woh bohat zada mehnat kerta hay , isi tarah Deen ko seekhnay kay liyay bhe mehnat kerni perhti hay , jis tarah aik student agar mehnat nahee karay ga to exam may fail hojaye ga or woh doosri class may nahee ja sakay ga theek isi tarah hamay Deen e Islam ki taleemat hasil kernay kay liyay mehnat kerni perhay gi , Yay zindage to arzi hay or is zindagee ka kuch nahee pata kay kab khatam hojaye , zada say zada 60 , 70 sal insan jeeta hay bohat zada hogaya to 90 , 100 sal , werna mot ka to pata he nahee hay, jab mot ate hay to woh yay nahee daikhtee kay mernay wala bacha hay ya bara , Nojawan hay ya Budha , Shadi Shuda hay ya nahee , Biwi or Bachay wala hay ya nahee , jab ani hote hay ahe jate hay , yay Duniya ki zindage to bohat choti hay jis may insan poori tariqay say gum hochuka hay , Deen e Islam per hum nay chalna chordiya , bas nam kay he to Musalman hay hum , Qayamat kay bad hisab kitab kay bad suroo honay wali zindagee na khatam honay wali hay , jis ki hamay fikar he nahee hay, agar hum Qayamat kay din Nakam hogaye to Dosakh hamara thikana hoge jo kay bohat buri jaga hay , Insan Duniya may kho gaya hay , Qayamat kay din na Maa Betay kay kam aye gee , na Beta Baap kay kam aye ga , us din sab ko apni apni perhi huwee hogee , sab ko apni fikar hogee kay woh Jannat may jaye ga ya Dosakh may, koi kisi ko apni aik bhe Naiki nahee dayga  or us din insan aik aik Naiki kay liyay tarsay ga, jo Insan nay is Duniya may kamaya hoga bas woh hoga or us ka Hisab hoga , Insan ko apni Akhirat ki zindagee jo na khatam honay wali zindagee hay us ki fikar kerni chaiyay or yay zindagee Aik Imtihan hay jis tarah Duniya kay exam kay liyay hum bohat zada mehnat kertay hay isi tariqay say Akhirat kay exam jo hum Duniya may daynay aye hay agar hum nay Duniya may is kay liyay mehnat kernaingay, Naik Kam Keraingay , ALLAH or us kay RASOOL kay bataye huway rastay per chalingay , QURAN or SUNNAT kay mytabiq zindagee guzarningay , Naik kam keraingay , behayai kay kam say bachingay , Halal kamaingay or Halal hi khaingay to inshaAllah hamara anjam acha hoga,, Haram kamanay or Haram khanay say bachna hoga , Behayai kay kam say bachna hoga , Hum sab Musalman hay, likin Zindage kaisay Guzarni hay woh Deen ki Taleem hasil ker kay he pata chalay ga , Jab taka ap ALLAH walo kay sath  nahee bethay gay , Jab tak ap Masjid mayjJo Taleem hote hay us may nahee bethay gay , Ulma Ikram kay Bayanat nahee sunay gay , Quran perhay gay nahee , Quran seekhay gay nahee , Quran samjhay gay nahee to Deen per kis tarah chalay gay , Matlab yay kay Jab tak ALLAH walo kay sath nahee bethay gay or Deen ko samajhnay ki koshish nahee karay gay Deen Samajh nahee aye ga , Aj kal sab ki zindagiyo may bechayni hay , Preshani hay , Masalay Masail hay,  Preshaniya hay ,Beemariyan hay , Zindage may sukoon nahee hay , Zindage may aik Bechaini si hay , Yay sab kiun hay ? Yay sab isi waja say hay kay hum Sab Deen say Door hay , Musalman her jaga kufar kay hato pit raha hay , Yay sab kiun hay ? Yay sab isi waja say hay kay hum Deen say bohat door hotay chalay ja rahay hay , Hum sirf Nam kay Musalman hay ,  Likin Musalman walay amaal hum kertay nahee hay, Her bura kam jis say ALLAH nay mana kiya hay woh hum sab kertay hay Or apni Duniya or Akhirat dono ko barbad ker rahay hay , ALLAH hum sab ko Hidayat day or ALLAH Hamay seedhay rastay per chalnay ki taufeeq ata farmaye or ALLAH hum sab ko Sirat e Mustaqeem Kay rastay per chalnay ki taufeeq ata farmaye or woh Kam Kernay ki toufeeq day jis say ALLAH razi hojaye woh kam na kernay ki tauqfeeq day jis say ALLAH naraz ho Jatay Hay .

Pehla Kalima Hay "Lailaha Illallah , Mohammadur Rasulullah" , Kisi Bhee Insan Ka Musalman Honay Kay Liay Is Kalmay Ko Perhna Or Is Per Iman Rakhna Bohat Zarorie Hay Is Kay Bagair Woh Muslaman Ho He Nahee Hosakta , Allah Aik Hay , Allah Nay Is Duniya Ko Paida Kiya , Sab Kam Allah Kay Hukum Say Hotay Hay Or Allah Kay Hukum Kay Khilaf Aik Bhe Kam Nahee Hosakta Hay , Or Allah Aik Hay Or Us Ka Koi Shareek Nahee Hay , Woh Ahad Hay , Akaila Hay , Or Mohammad (Sallallahooalahi-Wasallam) Allah Kay Akhree Nabi Hay Or Ab Qayamat Tak Koi Nabi Is Duniya May Nahee Aye Ga . Hazrat Mohammad (Sallallahooalahi-Wasallam) Jo Bhee Deen Kay Liyay Kam Kiya Woh Sab Allah Kay Hukum Say Kiya Hay , Or Allah Nay Hazrat Mohammad (Sallallahooalahi-Wasallam) Per Quran Majeed Nazil Kiya Hay , Jo Quran Majeed Per Amal Karay Ga , Or Jo Allah Per Iman Layega Or Jo Is Bat Per Yaqeen Rakhay Ga Kay Allah Aik Hay Or Hazrat Mohammad (Sallallahooalahi-Wasallam) Allah Kay Akhree Nabi Or Rasool Hay Woh Muslaman Hoga .

Namaz deen ka sutoon hay , Namaz Momin ki Mairaj hay , Namaz Jannat ki Kunji hay , Namaz ALLAH nay hum sab Musalman Mard , Orat , Borhay , Jawan , Balig sab per farz ki  hay , Namaz Deen e Islam ka Aik bohat hi zaroorie rukun hay , ALLAH nay hum Musalmano per din may 5 waqt ki Namaz Farz ki hay , Islam may Namaz ki bohat Aihmiyat hay , Namaz ka ada na kerna , us may suste kerna bohat bara gunah hay , Namaz insan ko buraee say rokte hay , Achay kam ki taraf Ragib kerte hay , Mard ko Namaz Bajamat ada Masjid may ja ker kerni chaiyay ,ha Nafil or Sunnat ap gher may perh saktay hay ,  Orat Namaz gher he may perhaingee , QURAN MAJEED may bar bar Namaz perhnay or Zakat ada kernay ka hukum aya hay , Jo Namaz nahee perhta woh ALLAH kay hukum ki khilaf warze kerta hay , ALLAH kay hukum ko nahee manta hay , jis ALLAH nay usay paida kiya hay , us ka hukum na man na kahan ki Aqalmande hay , is liyay Bajamat or waqt per Namaz ada kerni chaiyay or bilawaja Namaz na perhnay may suste nahee kerni chaiyay or Namaz ko Qaza bhee nahee kerna chaiyay , agar kisi ki Namaz qaza ho bhee  jaye to us say chaiyay kay Qaza Namaz jald az jald  perhay , Fajar or Isha ki Namaz khas tor per perhne chaiyay , kiun kay yay Namaz sab per bharee hotee hay or sab say choot jate hay , Din ka aghaz Fajar ki Namaz perh ker kerna chaiyay or Din ka ikhtitam Isha ki Namaz perh ker kerna chaiyay , Tahajud ki Namaz ki bohat fazeelat hay , or her Namaz kay bad khas tor per Dua mangnee chaiyay , kiun kay Dua kay bagair Namaz complete nahee hote hay ,  agar kisi insan ko kisi cheez ki zaroorat ho to usay 2 Rakat Nafil (Namaz e Hajat) pernhee chaiyay or us kay bad ALLAH say Dua mangnee chaiyay ALLAH us ki Dua ko zaroor qabool farmata hay .  , Fajar ki Namaz kay foren bad sojanay say Rizq may tangi hoti hay , Suraj nikalnay kay bad Sona Afzal hay , Soraj nikalnay kay 10 - 15 minute bad Ishraq ka waqt hota hay , koshish kijyay kay 4 rakat yani 2 Rakat Nafil Namaz e Isharaq or us kay bad phir 2 Rakat Nafil Namaz e Ishraq perhkar sojain is kay baray fazail hay , Jab masjid may Namaz perhnay jaye to thora jaldi chalay jaye or 2 rakat Nafil Namaz Tahiyatul wudhu or 2 Rakat Nafil Nafaz Tahiyatul Masjid perhlay in dono Namaz ki bohat zada fazeelat hay , isi tarah Magrib ki Namaz kay bad 2 2 kerkay 6 Rakat Namaz-E-Awabeen perhnay ki koshish kijyay yani 2 Rakat Nafil Namaz e Awabeen perhta hoon wastay Allah kay moo mera Khana e Kaba ki taraf yani 2 , 2 kerkay 6 Rakat Nafil Namaz perhni hay ,is kay ilawa Fajar or Asar kay bad khas tor per Allah ka zikar kijyay , Namaz ki pabanadi kijyay or saaf sutray rehnay ki koshish kijyay  , safai nisf iman hay ap saaf hongay to ap ki koi namaz nahee chootay gee , apnay ap ko or apnay dimag or taqat ko positive kam kay liyay use kijyay or is ko galat kam may use ker kay apni deen or akhirat ko barbad na kijyay , haram kam na kijyay , Haram kam kernay say bachiyay , Haram kamanay say bachiyay , Haram khanay say bachiyay , Fahasi or uryani say bachiyay , apnay dil o dimag ko ganday or pur ganda khayal say pak saaf rakhiyay or islam nay jis kam say roka hay us say ruk jaiyay , jis cheez ko haram karar diyay hay us ko na karain .Quran majeed ki tilawat zaroor kijyay , jin per zakat farz hay mustahik logo ko zakat daynay ka aihtamam kijyay , Her Namaz kay bad Allah say dua zaroor mangiyay , apnay liyay , apnay maa baap , behan bhai , tamam musalmano or khusoosan Pakistan or karachi kay halat ki behtri kay liyay Dua mangiyay ,behayi kay kam say bachnay or naik amal kernay ki koshish kijyay , Allah hum sab ko hidayat day , Buray kam say bachnay or naik amal kernay ki toufeeq ata farmaye (Ameen). Din Ka Aghaz Fajar Ki Namaz Perh Ker Kerna Chaiyay Or Din Ka Ikhtitam Isha Ki Namaz Perh Ker Kerna Chaiyay , Tahajud Ki Namaz Ki Bohat Fazeelat Hay , Or Her Namaz Kay Bad Khas Tor Per Dua Mangnee Chaiyay , Dua Kay Aghaz May Pehlay Allah Ka Zikar Subhanallah E Wabihamdihi , Subhanalahhil Azeem , Subhanallah , Alhamdolillah , Allaah O Akbar , Us Kay Bad Hazrat Muhammad (Sallallahooalahi-Wasallam)  Per Durood Behjan Chaiyay Or Us Kay Bad Dua Mangni Chaiyay Or Dua Kay Ikhtitam Per Bhe Durood Shareef Perhna Chaiyay , Kiun Kay Dua Kay Bagair Namaz Complete Nahee Hote Hay , 

Zikar Azkaar Ki Bohat Fazeelat Hay , Insan Ko Apna Waqt Zaya Nahee Kerna Chaiyay,  Jab Bhee Farig Ho Allah Ka Zikar Kertay Rehna Chaiyay , Zikar Allah Karay Chaiyay Ap Wazoo Ki Halat May Ho Ya Nahee , Chaltay Phirtay , Uthtay Beth Tay , Safar May , Her Waqt Allah Ka Zikar Kijyay , Jo Qurani Dua , Quran Ki Surah Yad Hay Perhtay Rahay , Allah Ka Zikar Or Allah Nay Jo Naimtain De Hay Us Ka Her Waqt Shukar Ada Kertay Rahay ,
, Quran Majeed ki her roz tilawat kijyay, Quran majeed ko perhaiyay or us ko samajhnay ki bhe koshish kijyay kay Allah nay Quran may insan ko kin cheezo ko kernay ka hukum diya or kin cheezo say Allah nay ruk janay ka hukum diya, Zindagee kaisay guzarni hay or zindagee ka maqsad kiya hay yay sab kuch ap ko maloom hoha jab ap Quran ko samajh ker perhaingay, Subah uth ker Surah Rehman ki or Surah Yaseen ki tilawat kijyay , raat ko Surah Mulk or Surah Waqiya ki tilawat kijyay, Zikar Azkaar ki bohat fazeelat hay , Insan ko apna waqt zaya nahee kerna chaiyay jab bhee farig ho ALLAH ka zikar kertay rehna chaiyay , subah 100 dafa Durood Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra kalma perhna chaiyay or isi tarah raat ko bhee yay 3 tasbeeh perhnee chaiyay , isi tarah her waqt Pehla Kalima perhna chaiyay , Astagfar perhna chaiyay or is kay sath sath SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR , Ayatal Qurse perhnee chaiyay , 4 Qul (SURAH IKHLAS , SURAH KAFIROON , SURAH NAAS , SURAH FALAK) perhnI chaiyay , Surah Fatiha perhnee chaiyay , matlab yay kay jo kuch bhe ap ko yad hay ap perhain, ALLAH kay Zikar may masroof rehna chaiyay , time zaya nahee kerna chaiyay . Amal ka Daromadar Niyat per hay , hamay jo bhe kam kerna chaiyay woh ALLAH ki Raza kay liyay kerna chaiyay , kisi ko dikhanay kay liyay nahee , kay may Namaz perhoonga to sab log mujhay Naik samjhay gay , May Zakat doonga to log mujhay bohat Naik or sakhee samjhay gay , matlab yay kay koi bhe kam jo karay woh sirf ALLAH ki raza kay liyay karay kay ALLAH hum say khush ho jaye bas , yay nahee kay duniya ko khush kernay kay liyay or duniya may apna nam roshan kernay kay liyay agar aisa koi karay ga ya is niyat say jo bhe kam kiya jaye ga to us ka ajar kuch bhe nahee milay ga balkay sirf or sir nuqsan hoga , apni Niyat ko saaf rakhay , jo kam bhe karay sirf or sirf ALLAH ki Raza kay liyay or ALLAH ko khush kernay kay liyay karay . Rat ko sotay waqt , sotay waqt ki Dua perhni chaiyay , Surah e Fatiha , Surah Ikhlas , Surah e Kosar , Ayatul Kursi or Surah Baqra ka akhri Rukoo perhna chaiyay. Surah Fatiha , Surah Kafiroon , Surah Naas , Surah Falaq and Surah Ikhlas ki tilawat kijyay , Her Farz Namaz kay bad Ayatal Kursi perhiyay , her waqt Astagfar or Durood Shareef perhnay ka aihtamam kijyaay.Surah Yaseen , Surah Mulk or Surah Rehman ki tilawat kijyay .

Jab bhe gher may dakhil ho ghar may koi ho ya nahee ho hamesha buland awaz may Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh keh ker ghar may dakhil ho , us kay bad Surah Ikhlas Aik Dafa perhaiyay or Durood Shareef perhaiyay is say ap kay ghar may Rizq ki barkat hogee , sirf ap kay he ghar may he nahee balkay ap kay neighbour  (Parosi) tak kay ghar may barkat hogee. Her achay kam ka aghaz  Bismillah Hir Rahman Nir Raheem say kijyay , khana khanay say pehlay Bismillah Hir Rahman Nir Raheem perhaiyay , khanay ka bad Alhamdolillah perhaiyay or Allah ka shukar ada kijyay , us kay bad Surah Ikhlas perhaiyay , Pani peena ho Bismillah Hir Rahman Nir Raheem perh ker piyay , beth ker piyay , Pani ko dekh ker piyay , 3 Sans may piyay , Pani peenay kay bad Alhamdolillah perhaiyay , ghar say bahar nikaltay waqt Bismillah Hir Rahman Nir Raheem , garz yay kay her acha kam suroo kernay say pehlay Bismillah Hir Rahman Nir Raheem perhlijyay Inshallah bohat faida hoga , Alhamdolillah ka istamal zada say zada kijyay , Allah nay hamay kitni naimat say nawaza hay , her naimat ko istimal kernay kay bad Alhamdolillah perh ker Allah ka shukar ada kijyay. Her waqt Allah ka shukar ada kijyay , Allah ka jitna bhe shukar ada kiya jaye kam hay kay Allah nay hamay tamam naimat say nawaza hay , Allah he hay jo hamay Rizq say her roz nawazta hay , Allah ka shukar hay kay Allah nay hamay daikhnay kay liyay Ankh di hay , Sun nay kay Liyay Kan diyay hay , Kam kernay kay liyay hath diyay hay , Bolnay kay liyay zaban di hay , chalnay kay liyay Pair diyay hay , Allah nay hamay Rizq diya hay , Allah he na hamay Rozgar diya hay , kitnay he insan hay jo bol nahee saktay , kuch hay jo sun nahee saktay , kuch hay jo chal nahee saktay , Hospital chalay jaye ap ko tarah tarah kay mareez milay gay , Allah ka shukar ada kijyay kay Allah nay hamay sehat or tandurusti wali zindagee ata farmayee , apnay say oper walo ko daikh ker preshan na ho , shikwa na karay kay Allah nay un ko kitni cheezo say nawaza hay , hamesha apnay neechay walay logo ko daikhay or Allah ka shukar ada karay , kisi say hasad na karay , kisi ko Allah nay agar zada naimato say nawaza hay to un say hasad na karay , un kay liyay bura na sochay balkay Allah say Dua karay Allah un ko or naimato say nawazay.

Tableeg Ki Bat Sun Ker Hamaray Zehan May Yay Bat Ate Hay Kay , Hum To Musalman Hay To Yay Tableeg Walay Hamaray Pass Kiun Ajatay Or Hamay Kiya Samjhanay Ki Koshish Ker Rahay Hotay Hay , In Ko Chaiyay Kay Woh Non Muslim Kay Pass Jaye Or Un Ko Islam Ki Dawat Day , Ap Ki Soch Sahee Hay , Likin Kabhee Ap Nay Apni Zindage Per Nazar Doarai Hay Kay Ap Kiya Ker Rahay Hay , Ap Apni Zindage Kis Tarah Guzar Rahay Hay , Islam Kay Adab Ka Ap Ko Pata Hay , Quran Or Hadees May Kiya Likha Huwa Hay , Kis Tarah Zindage Guzarne Hay , Kis Cheez Say Bachana Hay , Kiya Halal Hay Kiya Haram Hay , Zindage Ka Asal Maqsad Kiya Hay , Allah Nay Hamay Kiun Bheja Hay Is Duniya May , Kiya Hum Sirf Is Duniya May Paisa Kamanay , Khana Khananay , Ganay Sun Nay , Or Apni Man Mani Say Zindage Guzarnay Kay Liyay Aye Hay , Nahee Aisa Her Giz Nahee Hay, isi maqsad say tabllegh ka kam horaha hay kay insan ko zindagee ka maqsad samajh ajaye or woh naiki kay kam kertay huway or burai say bachtay huway duniya or akhirat dono may kamyab hojaye.

Allah rehman hay , Allah raheem hay , Allah kay siwa ki koi ibadat kay laiq nahee hay ,  Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam)  ALLAH Kay akhri  NABI OR RASOOL Hay.  Jab yay Duniya nahee thee us waqt bhee ALLAH tha , aj yay Duniya hay jab bhee ALLAH hay or kal jab yay duniya fana hojayee gee to jab bhe Allah he hoga, ALLAH Nay is kainat ko banaya , Allah nay sath Asman banaye jo bagair saharay kay hamay nazar atay hay , Allah nay Sooraj ,chand , sitaray banayae , Sooraj her roz Allah kay muqarar kerda waqt per nikalta hay , poori duniya ko roshan kerta hay or phir guroob hojata hay , Chand sitaray apnay waqt per hamay asman per nazar atay hay or phir gayab hojatay hay, ALLAH nay poori duniya banadi , Allah na is duniya may aisi aisi cheezay banai hay kay insan aqal us ko daikh ker dang reh jatee , ALLAH nay baray baray Pahar banadiyay , Allah nay insan ko banaya , Farishto ko banaya , Janwar ko banaya , Jin or shayateen ko banaya, Allah nay insan ko Ashraful Makhlooqat ka derja diya , Allah nay samander banaye or samandar kay under aisi aisi samandari makhlooq banai kay insani aqal un ko daikh ker heran o preshan  rehjataee hay , Allah nay is duniya may aisay aisay janwar banaye kay insan daikh ker heran o preshan rehjata hay , kuch janwar Allah nay halal banaye , jin ko Zibah ker kay insan apnay khanay kay liyay istimal kerta , kuch janwar zehreelay hay , kuch janwar masoom hay jo insan ko nuqsan nahee pohanchtay or kuch janwar Muslamano kay liyay haram karaq diyay gaye , ALLAH he nay sab ko paida kiya hay , Allah he sab ko mot dayga or Allah he qayamat kay din tamam insan ko doobara zinda karega, Is Duniya may jo kuch bhee hota hay woh sirf or sirf Allah kay hukum say hota hay , Allah kay hukum kay bagair aik patta bhe hil nahee sakta , insan aik sans bhe Allah kay hukum kay bagair nahee lay sakta, Allah jisay chahay izzat day or Allah jisay chaye zilat day , ALLAH Jisay chaye Gani ameer kerday or Allah jisay chaye gareeb kerday , Ameer , Dolat mand honay ka matlab her giz yay nahee hay kay Allah us say bohat khush hay or kisi kay gareeb honay ka matlab her giz yay nahee kay Allah us say naraz hay , ALLAH mukhtalif tariqay say insan ko azmata hay , Allah hi sab ko rizq dayta hay , Allah hi sab ko rozgar dayta hay , hamay aisa lag raha hota hay kay kisi dost ya kisi rishtidar ya kisi nay hamari nokri lagwadee hay , hamay lag raha hota hay kay koi hamay khana khila raha hota hay likin rizq daynay wali zat or rozgar daynay wali zat sirf or sirf Allah he ki hay , her hal may Allah ka shukar ada kerna chaiyay , kisi bhe mushkil kay waqt sirf or sirf Allah ko pukarana  chaiyay , rizq ka mamla ho , Rozgar ka mamla ho sifarish per yaqeen na rakhiyay , Allah per poora poora bharosa rakhiyay , Allah say apnay gunah ki maafi mangiyay , Allah say mangiyay , Allah he riozgar or rizq kay derwazay apni rehmat say kholay ga , Is Duniya may jo kuch bhe hota hay woh sirf or sirf Allah kay hukum say hota hay , hamari zindage ka bhee aik maqsad hay , Allah nay bina kisi maqsad say hamay is duniya may nahee bheja hay , hamari zindagee kay maqsad Allah or us kay Rasool Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam)  kay bataye huway tariqay kay mutabiq zindagee guzarna hay , kiya cheez halal hay kiya cheez haram hay is ka ilm insan ko hona chaiyay, hamay apni zindage Quran or sunnat kay mutabiq guzarni hay , Allah or us kay Rasool (S.A.W) kay bataye huway rastay per chalna hay jisay deen e islam kehtay hay ,deen islam ko seekhna hay us per amal kerna or us kay paigham ko poori insaniyat tak pohchana hay , Allah nay insan ko ashraful makhlooqat banaya hay , achay or buray ki tameez sikhai hay , kiya sahee hay kiya galat hay is ka shaoor diya , kis rastay per chal ker insan kamyab hosakta hay , kis tarah kay amal ker kay insan Allah ko razi ker kay jannat may jasakta hay or kis tarah insan buray rastay per chal ker , Allah ki nafarmani ker kay , Allah ko naraz ker kay Dosakh may dala jasakta hay , jo insan Allah ki nafarmani kerta hay us ko Qabar may bhee azab milta hay , Qabar ya to jannat kay bago (Jannat kay garden) may say ya doskh kay gharro may say hay, Allah nay taqreeban 1 Lakh 24 Hazar Paigambar is duniya may bhejay , jo her dor may insano ko Allah kay bataye huway rastay per chalnay ki talqeen kertay thay , un ko Allah kay bataye huway tariqay per chalnay ka kehtay , un ka samjhatay kay Allah kay siwa koi ibadat kay laiq nahee hay , un ko seedhay rastay per chalnay ki talqeen kertay or burai say roktay or samjhatay kay kis tarah woh Allah ki ibadat kerkay duniya or Akhirat may kamyab hosaktay or jis nay us waqt kay Nabi  kay bataye huway rastay ko ikhtiyar kiya Duniya gawah hay kay woh Duniya may bhe kamyab huway or insahaAllah akhirat may bhee un kay liyay Allah nay ajar e Azeem rakha hay or jis nay waqt kay nabee ko nahee mana woh duniya may bhe zaleel huway or akhirat may un kay liyay dard nak Azab hay , Firon , Namrood or is kay ilawa kitnay hi jabir zalim or ameer o kabeer badshah thay , in logo nay apnay waqt kay nabi ki bat ko na mana Allah per iman layker nahee aye to ap nay daikha woh kaisay zaleel ho ker maray or aj is duniya may koi bhe maa baap apnay betay ka nam firon , Namrood nahee rakhtay. ALLAH ki mazre kay bagair koi cheez apni jaga say hil nahee sakte , insan jo sans layta hay sirf ALLAH kay hukum say he layta hay, ALLAH jis din jis ki sans roknay ka hokum day daytay hay us din insan ka intiqal hojata hay , ALLAH jisay chaye zinda kertay hay jisay chaye mot daytay hay , Sooraj , Chand , Sitaray apnay waqt per atay hay or apnay waqt per guroob hojatay hay , koi to hay jo in sab cheezo ka chala raha hay , 7 asman hay her asman doosray asman say itna he bara hay kay us say pehlay wala asman us kay muqbalbay may aik ball kay baraber hay , asman ko kisi kay saharay ki zaroorat nahee hay , hum chotee say choee cheez bananay ki koshish kerlay woh kisi bhe support kay bagair kharee nahee hosaktee , likin 7 asman bagair kisi support kay kharay huway hay , Allah he rizq daynay walay hay , Allah he rozgar daynay walay hay , Allah he sab ko rizq dayta hay, Allah kitna Raheem o Kareem hay Duniya may jitni bhe makhlooq hay Insan , charind Parind , Janwar , Samandar ki makhlooq garz jitni bhe jandar makhlooq hay , jitney bhe Jandar hay Allah sab ko rizq dayta hay or her roz dayta hay or us kay khazanay may kami nahee ate hay , ALLAH jisay na neend ate hay , na oongh ate hay , ALLAH ka na koi beta hay , na beti hay , na biwi hay , or na he baap hay , woh Akaila hay  , saray jahano ka Malik hay is duniya may jitni bhe makhlooq hay , jitni bhe cheezay hay sab ALLAH ki banai huwee hay or ALLAH hi kay hukum say kam kerte hay , ALLAH kay hukum kay khilaf koi kam nahee kerte hay , suraj apnay waqt per nikalta hay or apnay waqt per he guroob hota hay , chand sitaray apnay waqt per nikaltay hay or apnay hi waqt per chalay jatay hay , wohh ALLAH he hay jo din ko rat may or rat ko din may tabdeel kerta hay ,Barish ka hona , Samander ka bhena , Badal ka ana , Badal ka garajna , Derkhto ka unga , kisi bhe anaj ka ugna , kisi Insan ka Piada hona ya Marna , sab kuch ALLAH kay hukum say hota hay or sab cheezay ALLAH kay hukum ki mohtaj hay , sab kuch ALLAH kay hukum say hota hay , Derakht say koi patta ALLAH ki mazree kay bagair hil nahee sakta or na hee gir sakta hay , ALLAH tamam makhlooq ko chote say chote makhlooq ko , jo insan nay ab tak deryaft bhee nahee ki hay un sab ka palnay wala hay , ALLAH Samander kay under Samandre janwer ko bhe Rizq dayta  hay or chotay say chotay janwar chewnti (Ant) ko bhee kahana khilata hay , sab kuch ALLAH ki mazre say horaha hay , ab to Angrez (Non Muslims) Scientist or doosray Non Muslim jo research kertay hay woh sab ALLAH ki kitab QURAN MAJEED say help laytay hay or waqt kay sath sath QURAN MAJEED may jo kuch bhe likha hay , jin jin bato ka zikar kiya hay kay duniya may hongee , un sab ko tasleem kiya hay , un ho nay research ki or jab un ko pata chala kay QURAN MAJEED may jo likha hay woh sab such hay to un may say bohat say Non Muslim scientist to Musalman he hogaye, un ho nay Islam qabool kerliya , maqsad yay hay kay her woh cheez jo ALLAH or us kay rasool nay batayee or QURAN MAJEED or Hadees e NABWI may likhi hay sab such hay , us may kuch bhee galat ya jhoot nahee hay or ab yay saree cheezay waqt kay sath sath sahee sabit horahee hay ,  in sab bato say yahee pata chalta hay kay is duniya ko chalanay wala koi Aik hi hay , jis kay hukum per sab kuch hota hay or woh koi or nahee hay , hamaray ALLAH hay.ALLAH aik hay , us ka koi shareek nahee hay, Yay poori Duniya , Poori Kainat ALLAH nay banaye hay , duniya may jo kuch mojood hay woh sab kuch ALLAH he kay hukum say bana hay , ALLAH aik hay , ALLAH ka na to koi baap hay or na he ALLAH ki koi olad hay , ALLAH ka na to koi beta hay na he koi beti , ALLAH sirf aik Wahid hay , Jab yay duniya nahee thee us waqt bhe  ALLAH he tha , Aj jab yay duniya hay us waqt bhe ALLAH he hay , or jab yay duniya nahee rahay gee us waqt bhe ALLAH he hoga , Yay Asman , Zameen , Soraj , Chand , Sitaray , Samander , Derya , Chasmay , garz Duniya ki her cheez ALLAH hi ki banai huwee hay, ALLAH kay hukum kay bagair aik patta bhe hil nahee sakta , ALLAH he sab ko Rizq dayta hay , ALLAH he nay sab ko Paida kiya hay , ALLAH he kay hUkum say sab ko mot ati hay or ALLAH he kay hukum say hum sab ko doobara Qayamat kay din zinda kiya jaye ga , ALLAH kisi ka mohtaj nahee hay , ALLAH ko hum insano ki or hamari ibadat ki bhe zaroorat nahee hay , Sirf ALLAH he ki badshai hay , Who jo chata hay kertay hay , her cheez ALLAH kay hukum ki mohtaj hay , ALLAH jisay chaye usay baksh day or ALLAH jisay chaye usay saza day , ALLAH REHMAN hay , ALLAH RAHEEM hay , ALLAH kay siwa koi ibadat kay laiq nahee hay , HAZRAT MUHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) ALLAH kay akhri NABI or RASOOL hay or jo is bat per yaqeen rakhta hay or ALLAH kay siwa kisi ko nahee poojta , Kisi ko apna Khuda tasleem nahee kerta wohee haq kay kay rastay per hay or Musalman hay .

Zindagi Ka Sab Say Bara Maqsad Kiya Hona Chaiyay , Allah  Ko Razi Kerna , Allah Or Us Kay Rasool Kay Bataye Huway Rastay Per Chalna, Quran O Sunnat Kay Mutabiq Zindagee Guzarna, Jannat May Janay  Or Dosakh Say Nijat Hasil Kernay Ki Koshish  , Yay Insan Ki Zindagi Ka Maqsad Hona Chaiyay , Ab Apni Zindagi Per Nazar Daliyay Kiya Hamaray Amal Aisay Hay Kay Hum Allah Ko Razi Ker Sakay , Allah Ko Razi Kerliya To Automatically Jannat Ap Ki Muntazir Hogee Or Dosakh Say Nijat Mil Jaye Ge .

Allah Say Her Waqt Hidayat Ki Dua Mangiyay Kay Aye Allah Mujhay Hidayat Day , Mujhay Naik Rastay Per Chaladay Or Mujhay Burai Kay Kam Say Rok Lay , Agar Ap Hidayat Mangay Gay Allah Say To Allah Ap Ko Hidayat Zaroor Daingay.  Allah Walay Kay Pass Jana Kiun Zaroorie Hay Kiun Kay Jab Tak Hamay Pata He Nahee Chalay Ga Kay Zindage Ka Maqsad Kiya Hay , Zindage Kis Tarah Guzarne Hay To Kis Tarah Ap Sahee Rastay Per Chalo Gay , Namaz Ki Pabandi Bohat Zaroorie Hay Is Say Insan Gunah Say Bachta Hay , Namaz Ba Jamat Ada Kernay Ki Her Mumkin Koshish Kijyay , Huqooq Allal Or Huqooq Ul Ibad (Allah Kay Banday Kay Haq) Ko Poora Kijyay , Quran Majeed Ki Tilawat Kijyay , Dua Kijyay Apnay Laiyay , Apnay Maa Baap , Behn Bhai Kay Liya , Apnay Liyay Or Sab Kay Liyay Hidayat Ki Dua Mangaiyay , Dua Say Insan Ki Taqdeer Tak Badal Jatee Hay , Allah Per Bharosa Rakhiyay , Allah Ki Rassi Ko Mazbootie Say Tham Ker Rakhiyay , Naik Kam Karay , Burai Say Bachay In Shal Lah Khatma Iman Per Hoga ! Allah Nay Kaha Hay Kay Achee Bat Doosro Tak Pehlao , Agar Insan Duniya May Kisi Ko Kuch Achi Chhez Bataday Jis Per Amal Kernay Say Allah Khush Ho To Usay Sawab Milay Ga, Or Jis Nay Yay Naiki Ka Kam Kisi Ko Sikhaya Ho Us Shaks Ka Intiqal Hojaye To Ja Tak Us Kay Bataye Huway Naiki Kay Kam Duniya May Hotay Rahay Gay Us Ka Sawab Us Shaks Ko Mernay Ka Bad Bhe Milta Rahay Ga, Isi Tarah Agar Aik Insan Aisa Kam Ker Kay Merta Hay Jis Ki Waja Say Doosray Log Bhee Buray Kam May Paray Reh  Hay To Us Shaks Ko Jo Galat Kam Ker Raha Hay Or Jis Nay Yay Galat Kam Sikhaya Hay Dono  Ko Gunah Milay Ga,  Jis Nay Gunah Ka Kam Kisi Ko Sikhaya Or Mer Gaya To Jab Tak Duniya May Us Kay Sikhaye Huway Buray Kam Per Amal Hota Rahay Ga Tab Tak Us Shaks Ki Mot Kay Bad Us Kay Gunah May Izafa Hota Rahay Ga, So Burai Ko Rokiyay Or Us Say Bachay Or Naiki Ko Apnaiyay Or Us Ko Pehlaiyay . Quran Majeed Ki Tilawt Ko Apni Roz Ki Adat Banalijyay , Fajar Or Isha Ki Namaz Khas Tor Per Bajamay Waqt Per Ada Kijyay !

Akhri may Allah say Dua hay kay agar koi galti , ziyadti ya kami hogayee ho to Allah mujhay maaf farmaye or Allah mujhay hidayat day farmaye (Ameen)

Please keep forwarding this email.

Note:-

Ap agar kuch time nikal ker is email ko perhaingay to InshaAllah bohat faida hoga , aj kal kay busy dor may hamray pass time nahee hota hay , agar hum time ki kami ki waja say agar koi email perh nahee sakhtay hay to hamay chaiyay kay woh email hum Word ya Note pad per ya us image ko save kerlay , is say yay faida hoga jab ap free hongay to woh ap perh sakay gay. Kuch email jab hum office may kholtay hay to who open nahee hotee hay restrictions ki waja say , khas tor per woh emails jis may images ho so aisi emails ko apni personel id per forward kerliya karay or jab ghar jaker ap us ko open karaingay to who sahee say open ho jaye ge , koi ache cheez perhay ya images ki sorat may daikhay to us ko apnay sytem may save kerlay takay bad may aram say ap us ko perh sakay or ache email agay forward ki jaskti hay likin behayai , Gandi or Fehash email agay forward kerkay dooro ko or apnay ap ko Gunahgar na kijyay.


 Click on the following link to see All time best post of Sharing is Caring Blog

http://proudpakistaniblogging.blogspot.com/2018/05/all-time-best-post-of-sharing-is-caring.html
Importance of Tableegh, Why Tableegh bayan by Maulana Tariq Ja What is Tableeghi Jamaat (Dawat) bayan by Saeed Anwar What is Tabligh (Tableeghi Jamaat kiya hay) bayan Maulana Tar. Karachi Ijtima - Bayan - 2019 - Molana Khurshid Sahab - Dawat o Tableegh - Yasir Soharwardi Channel https://www.youtube.com/watch?v=TtPSNK1HS9o Apnay Deen ki Dawat. Maulana Saad Kandhalvi Sb (???? ??? ?? ????) https://www.youtube.com/watch?v=7QOBhHo2BLo Dawat o TabLigh Aik Ahem Fariza MoLana Azad JameeL https://www.youtube.com/watch?v=0htJVsU7fK8 "Tabligh Jannat Le Jane Ka Zariya" Maulana Tariq Jameel Latest Bayan 3 November 2018 https://www.youtube.com/watch?v=dxQLJ-mr1k4 Tabligh Kyu Zaruri Hai??? | Molana Tariq Jameel Full Bayan https://www.youtube.com/watch?v=QOuVSx35JcE 6 Sifat Dawat o Tabligh Aur Tauba | MaulanaTariq Jameel https://www.youtube.com/watch?v=NeVSY88lUus Dawat o tabligh kay Fawaid-- Full bayan By Maulana Tariq jamee `Maulana Tariq Jameel bayan on Tabligh Mai Waqt Lagana & Tablee.. Tablighi Jamaat bayan by Maulana Tariq Jameel Sahab Dawat o tabligh kay Fawaid-- Full bayan By Maulana Tariq jamee What is Tablighi Jamaat bayan by Moulana Tariq Jameel sahab



Wholesale Toys Market in Karachi, Best Toys Shop in Karachi, Toys for Kids, Lalukhet Market





100 Rupees shop in Karachi, household items & Kitchen Gadgets, Whole Sale Shop, RJ Shopping Mall

https://www.youtube.com/watch?v=awgkvpXkwyY



Youtube Channel Name: Explore Karachi with Rahima 
Please subscribe this youtube channel
Follow me on Facebook, Instagram, and Tiktok 
Facebook, Instagram, and Tiktok => Explore Karachi with Rahima

For more interesting videos subscribe Explore Karachi with Rahima youtube Channel, 300+ Videos are already uploaded on this channel

1) Karachi famous Parks, amusement Parks, Sindbad,Askari Park, Kashmir Park, Taleemi Bagh, PAF Museum
2) Karachi Bazar, Bachat Bazar, Itwar Bazar, Budh bazar, Lunda Bazar, Landa Bazar, Sunday Market, Sunday Bachat Bazar, Aladdin Sunday bachat Bazar
3) One Dollar Shop Karachi, Shopping Mall in Karachi, Karachi famous shops, Saving World, Frakin Store, Discount World, Branded and Used Items
4) Ladies Branded Suit, Garments Shop, Ladies Suit, Ladies Shoes, Ladies Abaya, Stitched & Unstitched Suit
5) Cow Mandi, Gaye, Birds, Pets Lovers, Adorable Animal, Pets & Animal, Exotic Birds, Bakray, Bakra Eid
6) Karachi School, Islamic schools in karachi, O Level school in karachi , A level school karachi, top 10 school in karachi, O/A level school karachi
7) HR Videos for HR Professional, Jobs in Karachi, How to Find Jobs on Whatsapp, Facebook, Linkedin 
8) Northern areas of Pakistan
10) Entertainment Videos
11) Youtube Shorts (Cow Mandi, Gaye, Birds, Pets Lovers, Adorable Animal, Pets & Animal, Exotic Birds, Bakray, Bakra Eid)
9) Free Online Earning Courses










No comments:

Post a Comment