Home Page Urdu Islamic Article HR Email Ids Zikar Azkaar
how to create cv in ms word School HR ID Ulema Ikram Bayanat
Listen Quran Majeed Read Quran Majeed Social Media Ramzan
Khulasa Quran Majeed Latest jobs Karachi School Free Islamic Gift
WHATSAPP GROUP HR Stuff Tips & Trick for HR Student, Recruiter, Job Seeker RSMZ Tutor Academy Karachi
TikTok Video Dawat o Tableegh Napaki,Wazoo,Ghussal QURAN URDU TRANSLATION
Zikar Azkaar Videos Zikar Azkaar Album Zikar MOLANA YUNUS PALANPURI
Message for Girls and Boys Message for Aurat Lerki Khawateen Jobs on Facebook
Dua e Anas MOLANA YUNUS PALANPURI Quran Majeed Surah Islamic Reminder
zindage ka maqsad Raat kay amal Hadsat say bachnay ki dua Dua e Qunoot Nazla
Namaz ka tariqa Namaz Ka Tariqa Islamic Message social media
zikar Azkaar for daily routine Madni Masjid Karachi Dawat o Tableegh Islamic Books
Namaz ka practical tariqa Karachi Ijtima Videos Sharam o Haya Islamic Messages
Karachi famous places aqwal e zareen Recite Quran Majeed Surah
Saas Bahu kay jhagray Junaid Jamshed Naat Juniad Jamshed Bayan
Saeed Anwer bayan Saeed Anwer bayan Nausheen Konen Bayan Recite Quran Majeed
Listen Quran Majeed Khulasa Quran Majeed Khulasa Quran Majeed Khulasa Quran Majeed
Khulasa Quran Majeed What is Islam Sunnat e Nabvi (SAW) Sunnat e Nabvi (SAW)
Cancer ka Ilaj Quran Majeed Message Namaz kay Masail Allah ka Azaab
Allah ka Azaab Allah ka Azaab Allah ka Azaab Namaz Quran & Tableegh
Click on the following For Islamic Video, Islamic Wazaif and Zikar Azkaar for daily routine life of muslim (All time best post of this blog "Sharing is caring")http://proudpakistaniblogging.blogspot.com/2018/05/all-time-best-post-of-sharing-is-caring.html
Please find the following Islamic books link, Especially for Young Girls and Boys, following books are really very important for every Muslims, every Muslim should know what is permissible in Islam and what is not. Must read and forward to others.
Badnazree kay 14 Nuksanat
http://www.khanqah.org/books/show/badnazri-ke-14-nuqsanat-20071019
Badnazree or Ishaq Mizajee ki Tabahkariyan
http://www.khanqah.org/books/show/badnazri-aur-ishq-e-mijazi-ki-tabah-kariyan-aur-us-ka-ilaj-20071019
Bepardagee ki tabahkariyan
http://www.khanqah.org/books/show/bepardagi-ki-tabah-kariyaan
Aj kal kay nojawan lerkay lerkiyan apas may aik doosray kay sath milnay julnay ko bura nahee samajhtay , lerkiyan perda kiyay bagair bahar nikalnay ko bura nahee samajhtee , films dekhna , ganay sun na , fahashi uryani walay ganay dekhna , filmain dekhna , aj kal ki lerkiya lerko ko dekhnay ko bura nahee samajhtee or aj kal kay lerkay lerkiyo ko daikhnay ko bura nahee samajhtay , lerkiyan lerko kay sath free honay , perda na karnay ko bura nahee samajhtee , chotay chotay kapray or bohat he bareek kapray pehan nay ko bura nahee samjhtee, skin fitting kapray pehan nay ko bura nahee samajhtee , aj kal ka nojawan galiyan baknay , dosto may beth ker lerkiyo kay liyay fahashi ki batain kernay ko bura nahee samajhtay , lerkiyo ko gandi nazar say dekhnay ko bura nahee samajhtay , balkay apnay dosto may jo sab say zada gandi batay kerta hay ,jo sab say zada gandi videos aik doosray kay sath share kerta hay or jo apnay din raat ki story sonata hay kay may nay raat ko woh wali film hay , is channel per raat ko who dekha , or jo sab say zada galiyan dayta hay or fehash batay kerta hay usay utna he acha samjha jata hay kay who outspoken hay , confidence hay us may, bold hay, dost yar us ki bato ko mazay lay lay ker suntay hay or enjoy kertay hay, aisay banday ko sharp minded , taiz , samjha jata hay , akhir kiun ? Kabhee socha hay kay aisa kiun hay kay aj is modren dor may jo sab say buray log hay woh sab say zada izzat dar hotay ja raha hay or jo seedha hay us kay sab say zada mazak uraya jata hay, aisa kiun hay?
yay sab deen e islam say doorie , or deen per na chalnay ki waja say hay , Allah walo kay sath na bethnay ki waja say , or agar koi un ko deen kay baray may batata hay or achai ki tararf bulata hay to us ko mazak banaker us ki bezati kerkay us ko bhaga diya jata hay . aisay logo kay samnay deen ki batay ki jaye or un ko buri batay kernay say roka jaye or un kay samnay deen ki bat ki jaye or un ko achay kam kernay ki targeeb jaye or un kay ganday or fehash guftugoo may un ka sath na diya jaye to us say tanz , bura bhala or us ki bezati kerkay us kay dil ko takleef pohanchai jate hay, jab islam nay kehdiya hay kay nigah ko neechi rakho or apni sharam gaho ki hifazat kero to hum is bat ko kiun nahee samajhtay hay or jo sach bat hay us ko akhir hum kiun accept nahee kertay hay, kay agar hum nay is ko accpet kerliya to her woh gunah ka kam hum jo ker rahay hay woh hamay chornay perh jaingay. islam nay jab khawateen , lerkiyo ko perday ka hukum diya hay , kay jab woh gher say bahar niklay to perda karay , perda her us shaks say kerna hay jo na mehram ho , yahan tak kay ap kay chaha zad cousin , mamu zad cousin say bhe perda kerna hay , or aj kal kiya ho raha hay woh hum sab kay samnay hay , aj kal jo rape hotay hay , ya harassment hote hay ya is tarah kay jitnay bhe cases hotay hay woh sab isi be perdage ka natija hay , jab orat ya lerki bareek skin fitting or gair islami libas pehan kar apnay jisam ko numaya kertay huway or apnay jism ki numaish kertay huway ghar say niklay gee to shaitan kisi ko bhe behka sakta hay , in hi khawateen ki be perdage ki waja say bohat saray logo ka iman kharab ho jata hay or woh galat kam ki taraf un ka dheehan lag jata hay , khawateen lerkiyo ko chaiyay kay awal to gher say bahar na niklay, hamara islam bhe yahee kehta hay kay bilawaja ghar say bahar na nikla jaye or agar bahar nikalna itna he zaroori ho to perday kay sath niklay , apnay satar ko sahee tarah say chupa ker , sharai perda kar kay bahar niklay takay logo un ko ache nazar say dekhay or gandi nazar na dekhain or doosro ka iman kharab na ho , or agar koi mard ya orat is bat ko nahee mantay kay perda to ankh ka hota hay , bas insan kay dil may sharam ho ne chaiyay to is ka matlab yay hay kay ap Quran or hadees may perday kay baray may jo hokum diya hay us ko jhutlatay hay, , yani Allah or Rasool (Sallallahooalahi-Wasallam) kay hokum ki ap kay nazar may koi aihmiyat nahee (Allah maaf farmaye) .
Aj kal kay dor may hum nay her cheez ko mazaq banaya huwa hay , her burai ko acha samajha ja raha hay or her achai ko buraa , jo achai ki taraf bulata hay us ka mazaq uraya jata hay or jo burai ki taraf bulata hay us ki izzat ki jate hay , Allah hamay hidayat naseeb farmaye (Ameen) .
kiun lerkiyo ko dekhtay ho , kiun girls school , college or university kay samnay kharay hyotay ho , kiun lerkiyo ko buri nazar say dekhtay ho , kiun her lerki ko dekh ker tumharay dil may haram kam kernay ki khuwaish paida hoti hay , kiun un say dosti kernay or un say bat kernay un ki tawaja hasil kernay ki koshish kertay ho , may yay bat man he nahee sakta aik nojawan lerkay or lerki kay dermiyan dosti ho or un ka dil may kabhee aik doosray kay liyay feelings develop na ho , ap apnay dil ko jitna samjha lay kay nahee hamari dosti pakeeza hay or hamesha pakeeza rahay ge , hum kabhee galat nahee sochain gay aik doosray kay baray may , aik na aik din yay dosti sari hado ko par kerjatee hay or bad may badnami ka sabab bante hay , her roz media may is tarah ki khabar ate rehtee hay , kiun deen say door hotay ja rahay ho , kiun deen ko nahee seekhtay ho , kiun Allah walo kay sath nahee beth thay ho , kiun badnazree kertay ho , kiun fahashi uryani or chota chotay kapray pehan nay wali khawateen ko dekhtay ho . in hi burai kay kam ki waja say insan haram kam kerna shuroo kerdayta hay or yay sab isi badnazree , gandi gandi cheezain dekhana , gandi gandi film dekhna , chotay chotay kapray may malboos lerkiyo ko dekhna , ganday ganday ganay sun na yay sab ini hi ki nahoosat ki waja say hay , yay insan ko burai ki taraf or buray kam ki taraf dawat dayte hay , isnan ki nafsani khuwaishat ko ubharte hay or jab insan frustrated ho jata hay to woh haram kam ker kay apnay ap ko sukoon dayta hay , yay haram hay , bohat bura kam hay . aj ka her lerka lerki ko pasand kerta hay us kay ishq may pagal huwa wa hay us ki aik jhalak dekhnay kay liyay pagal , gandi gandi film dekhta hay , fahasi uryani wali cheezay dekhta hay , jo shaks is buri lat may perh jata hay woh apni deen duniya dono barbad ker beth tha hay or jo is lat may aik dafa perh jata hay us ka nikalna bohat mushkil hojata hay , chand sikan kay mazay or lazat or sukoon hasil kernay kay badlay woh apni deen or duniya dono barbad ker beth tha hay , apni sehat kharab ker beth tha hay , jis ki waja say namaz perhna , quran perhna or dooray kam karnay say qasir ho jata hay , jo shaks buray kamo may mubtala ho usay chaiyay kay woh burai say apnay ap ko bachaye, gandi film na dekhay , fahashi uryani wali cheezo ko dekhna chorday, apni nigah ko neechi rakhay , khawateen ko na dekhay , na mehram ko na dekhay , Allah say apnay gunah ki mafi mangay, ro ro ker maafi mangay or aindaburay kam na karnay ka irada karay or apnay nafs ko shikast day or shaitan kay tamam mansoobo ko khak may mila day.abhee bhe waqt hay bacho buraay kamo say , choro gandi or fahashi uryani wali cheezay dekhna , werna apni deen o duniya dono barbad ker betho gay , Allah say dua mango kay hum kamzor hay , hum may himat nahee hay gunah say bachnay ki , Ya Allah to mujhay behayai kay kam say nijat dila day , meray gunah maaf kerday , meri nazar ki hifazat farma , mujhay meray nafs kay hawalay na farma , mujhay buray kam ko chornay ki hamesha hamesha kay liyay taufeeq ata farama,agar mera nafs mujhay is taraf ragib karay to meri is say hifazat farma , Ap apni rehmat say apnay fazal say meri hifazat farma or mujh may itni taqat day kay may apnay ap ko buray kam kernay say rok sakoon .
In tamam burai say bachnay ka tariqa yay hay kay Allah walo kay sath bethay , Tableegh jamat kay sath apna waqt lagaiyay , Allah walo ko sath bethay taka ap ko pata chalay gay Insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindagee may mehnat say ata hay , is kay ilawa apnay TV , Computer , mobile say tamam fahasi uryani wali cheezain delete kerday , saray ganay delete kerday , ulma ikram kay bayanat sunay , apna tv or apna computer or apna mobile aisi jaga per rakhay jahan per tamam ghar walay beth thay ho , jo sab kay samnay ho takay buri cheez dekhnay ka tumhay moqa hi na milay , jab buri cheez na dekho gay to khud ba khud buray kam say bachtay chalay jao gay.
yay nafs bohat hi kutti cheez hay is ko kutta he bana ker rakho , yay jab kisi burai ka taqaza karay to is ki bat na mano , berdasht kerlo , himat kero , is kay samnay ghutnay na taiko , himat kay sath is ka muqabla kero or is ko harado , kuch din is ko harao gay to yay nafs khud ba khud kamzor hota chalay jaye or agar is ki bat mano gay to yay tum per hawi hota chalay jaye ga , is nafs ki na suno , insan ko behkanay wali do cheezain hay , aik shaitan , or doosri nafs , shaitan ka business bohat bara hay usay poori duniya kay logo ko behkana hay woh temporary tor per insan per hawi hota hay or agar insan us ko ignore kerday to shaitan ka hamla zaya ho jata hay likin insan ka nafs aisa hay kay jo her waqt insan kay sath laga huwa hay , us ko harana asan kam nahee hay , us say jo lar gaya woh kamyab ho ga or jis nay nafs kay samnay ghutnay taikdiyay woh har gaya , apni nazro ki hifazat kero or apnay sharam gaho ki hifazat kero , mard or khawateen dono ko apni nazar or apnay sharam gaho ki hifazat kerni chaiyay , jis nay apnay nazar or sharam gha ki hifazat ki us ka deen mehfooz ho gaya , badnazree ko hum aihmiyat nahee daytay , likin yay nazar he hay jis ki waja say saray gunah hotay hay .
Allah hum sab ko buari say bachnay ki taufeeq ata farmaye (Ameen)
Islamic Websites (Urdu)
http://www.khanqah.org
http://www.islamicurdubooks.com/download/
http://www.tanzeem.org/
http://islamicurdubooks.wordpress.com
http://www.darsequran.com
Islamic Books (Urdu)
http://www.khanqah.org/books/show/lazzat-e-zikr-aur-lutf-e-tark-e-gunah-20080120
http://www.khanqah.org/books/show/pyare-nabi-saw-ki-pyari-sunnatain
http://www.khanqah.org/books/show/hayat-e-taqwa-20080120
http://www.khanqah.org/books/show/ishq-e-risalat-ka-sahi-mafhum
http://www.khanqah.org/books/show/taslim-o-riza-20071030
http://www.khanqah.org/books/show/tazkia-e-nafs-20071030
http://www.khanqah.org/books/show/istaghfar-ke-samarat-20071004
http://www.khanqah.org/books/show/qafela-e-jannat-ki-alamaat-20071225
http://www.khanqah.org/books/show/iman-per-khatme-ke-7-nuskhay
http://www.khanqah.org/books/show/badgumani-aur-uska-ilaj
Please keep forwarding this email.
Winterland PAF Mueseum Karachi | Snow Fall in Karachi | PAF Amusement Park Karachi | Snow Park
No comments:
Post a Comment