top 10 school in karachi, islamic school, karachi school, O/A level School #viral #subscribe
Duniya kay tamam insano ki kamyabi pooray kay pooray
deen may hay or deen zindage may mehnat say ata hay , isi mehnat kay liyay
tableeg ka kam hota hay , Hazrat Adam (A.S) say lay ker Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam)
tak taqreeban 1 Lakh 24 Hazar Paigamber aye , jo her Dor may insano ka taluq
Allah say jornay may lagay rahay , deen Islam ko pehlanay ki koshish kertay
rahay or Deen Islam ko pehlanay kay liyay sakht say sakht taqleefo ka samna
kertay rahay or Islam ko pehlanay kay liyay kisi bhe mushkil or takleef say
nahee ghabraye , Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) Allah kay akhri
Nabi or Rasool hay , Khatam - e - Nabuwat ki barkat say ab islam ko pehlanay ki
zimadari ab hum tamam musalmano ki hay , kiun kay hum akhri ummat hay ab kio
Nabi ya Rasool nahee aye ga , Ab hum musalmano ki zimadari hay kay pehlay hum
khud deen seekhay or phir kis tarah yay deen doosray musalman or insan may
ajaye us ki fikar or us kay liyay koshish karay takay sab insan or musalman
jahanum say bach ker jannat may janay walay ban jaye.
Insan Ko Apna Waqt Zaya Nahee Kerna Chaiyay, Jab Bhee Farig waqt milya Allah Ka Zikar
kertay rehna chaiyay, Ap ka Wazoo ho ya nahee, Her Waqt Allah Ka Zikar Kijyay
or Jo Naimat Allah nay ap ko dee hay her Waqt us ka Shukar Ada Kertay Rahaiyay
, Quran Majeed ki her roz tilawat kijyay or us kay paigham ko samjhnay ki
koshish kerkay ur per amal kernay ki koshish kijyay, Surah Rehman or Surah Yaseen ki tilawat ko apna her roz ka
mamool banalijyay , Raat kay waqt Surah Mulk or Surah Waqiya ki tilawat
kijyay, Subah kay waqt 100 dafa Durood
Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra kalma perhna chaiyay or isi tarah
raat ko bhee yay 3 tasbeeh perhnee chaiyay , isi tarah her waqt Pehla Kalima
perhna chaiyay , Astagfar perhna chaiyay or is kay sath sath SUBHANALLAH ,
ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR perhtay rehna chaiyay , Ayatal Qurse perhnee ka
aihtmam kijyay, Surah Baqra ka akhri Rukoo perhnay ka aihtamam kijyay , 4 Qul
(Surah Ikhlas , Surah Kafiroon , Surah Naas , Surah Falaq) perhnay ka aihtamam
kijyay, surah Fatiha perhnay ka aihtamam kijyay, Masnoon Dua perhnay ka aihtmam
kijyay, garz her waqt Allah kay zikar may mashgool rahiyay.
Quran Majeed ki tilawat ko apni adat banalijyay din may
sirf aik page he sahee ya chand ayat he sahee likin perhnay ka ihtamam kijyay ,
Quran Majeed ki tilawat zada say zada kijyay , isi tarah Surah Yaseen , Surah
Mulk or Surah Rehman ki tilawat rozana kernay ki koshish kijyay. Zikar Azkaar
ki bohat zada fazeelat hay , Insan ko apna waqt zaya nahee kerna chaiyay ,jab
bhee farig ho ya chaltay phirtay , safar may ALLAH ka zikar kertay rehna
chaiyay , subah 100 dafa Durood Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra
kalma perhna chaiyay or isi tarah shaam kaywaqt bhe yay 3 tasbeeh perhnee
chaiyay , Isi tarah her waqt Pehla Kalima perhna chaiyay , Astagfar perhna
chaiyay or is kay sath sath SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR ,
Ayatal Qursi perhtay rehna chaiyayy , 4 Qul (SURAH IKHLAS , SURAH KAFIROON ,
SURAH NAAS , SURAH FALAK) perhnay ka aihtamam kerna chaiyay , Surah Fatiha
perhnee chaiyay , ALLAH kay Zikar may masroof rahiyay , Rat ko sotay waqt Surah
e Fatiha , Surah Mulk , Surah Waqia, Surah Ikhlas , Surah e Kosar , Ayatul
Kursi perhini chaiyay, Her Farz Namaz kay bad Ayatal Kursi perhiyay.
Namaz ki pabanadi kijyay , Safai ka khas khayal
rakhiyay kiun kay safai nisf iman hay, apnay dil or dimag ko positive kam kay
liyay istimal kijyay or is ko galat kam may istimal ker kay apni deen or
akhirat ko barbad na kijyay , haram kam na kijyay , Haram kam kernay say
bachiyay , Haram kamanay say bachiyay , Haram khanay say bachiyay , Fahasi or
uryani say bachiyay , apnay dil o dimag ko ganday or pur ganda khayalat say pak
saaf rakhiyay, Quran Majeed ki tilawat kijyay , behayai kay kam say bachnay or naik
amal kernay ki koshish kijyay , Allah hum sab ko hidayat day , Buray kam kernay
say bachnay or naik amal kernay ki toufeeq ata farmaye (Ameen).
Namaz deen ka sutoon hay , Namaz Momin ki Mairaj hay ,
Namaz Jannat ki Kunji hay , ALLAH nay
hum Musalmano per din may 5 waqt ki Namaz Farz ki hay , Islam may Namaz ki
bohat Aihmiyat hay , Namaz ka ada na kerna , us may suste kerna bohat bara
gunah hay , Namaz insan ko buraee say rokte hay , Achay kam ki taraf Ragib
kerte hay , Mard ko Namaz Bajamat ada Masjid may ja ker kerni chaiyay, QURAN
MAJEED may bar bar Namaz perhnay or Zakat ada kernay ka hukum aya hay , Jo
Namaz nahee perhta woh ALLAH kay hukum ki khilaf warze kerta hay , ALLAH kay
hukum ko nahee manta hay , jis ALLAH nay usay paida kiya hay , us ka hukum na
man na kahan ki Aqalmande hay , is liyay waqt per Namaz ada kerni chaiyay or
bilawaja Namaz perhnay may suste nahee kerni chaiyay.
HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahu Alayhi Wasallam) ALLAH kay
Akhree Nabi or Rasool hay or AP (Sallallahu Alayhi Wasallam) kay bad koi Nabi
is Duniya may nahee aye ga , ab yay hum sab Musalmano ki zimadari hay kay sab
say pehlay hum khud deen seekhain or apnay zindagi Quran o Sunnat kay mutabiq
guzarnay ki koshish karay or phir doosro
ko bhe deen per chalnay or Quran o Sunnat kay mutabiq zindage guzarnay kay
liyay dawat dain , Hamari zindage ka maqsad yay hona chaiyay kay kis tarah
Allah pak hum sab say razi hojain or hum sab kis tarah deen duniya ki bhalai
hasil kertay huway Qabar or Jahanum kay azab say bach kar Jannat may janay
walay ban jaye or yay sab kuch usi waqt mumkin hay jab ap Deen Dari ki mahol
may juraingay or Allah walay logo kay sath apna waqt lagaye gay.
Jab bhe gher may dakhil ho ghar may koi ho ya nahee ho
hamesha buland awaz may Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh keh ker
ghar may dakhil ho , us kay bad Surah Ikhlas Aik Dafa perhain or Durood Shareef
perhain is say ap kay ghar may Rizq ki barkat hogee , sirf ap kay he ghar may
he nahee balkay ap kay neighbour
(Parosi) tak kay ghar may barkat hogee. Her achay kam ka aghaz Bismillah Hir Rahman Nir Raheem say kijyay ,
khana khanay say pehlay Bismillah Hir Rahman Nir Raheem perhaiyay , khanay ka
bad Alhamdolillah perhaiyay or Allah ka shukar ada kijyay , us kay bad Surah
Ikhlas perhaiyay , Pani peena ho Bismillah Hir Rahman Nir Raheem perh ker piyay
, beth ker piyay , Pani ko dekh ker piyay , 3 Sans may piyay , Pani peenay kay
bad Alhamdolillah perhaiyay .
Zindagi ka maqsad kiya hona chaiyay, Allah or us kay
Rasool (Sallallahu Alayhi Wasallam) kay bataye Huway Rastay Per Chalna, Quran O
Sunnat Kay Mutabiq Zindagee Guzarna, Jannat May Janay or Dosakh Say Nijat Hasil
Kernay Ki Koshish kerna, Huqooq ul ibad or Huqooq ul Allah ko sahe say kerna,
insaniyat ki khidmat or deen e Islam yani Allah or us kay Rasool
(Sallallahooalahi-Wasallam) kay paigham ko poorie duniya may pehlana kay kis
tarah insane dosakh say bach kay jannat may janay wala ban jaye, Yay Insan Ki
Zindagi Ka Maqsad Hona Chaiyay , Ab Apni Zindagi Per Nazar Daliyay Kiya Hamaray
Amal Aisay Hay Kay Hum Allah Ko Razi Kerkay, Qabar kay azab or Jahanum kay azab
say bach ker Jannat may janay walay ban jain gay.
Kash kay meri bat un logo ka samajh ajaye jo behayai ,
fahashi Uryani ko pehlanay may masroof hain.
Jis nay koi naiki ka kam kisi ko sikhaya, ya koi aisa
amal kiya jis say log naik kam kernay lagay to jab tak woh naiki ka kam is
duniya may hota rahay ga us ka sawab us insan ko milta rahay ga jis nay woh
naiki ka kam kisi ko sikhaya hoga ya us kay kisi amal say log naiki ka kam
kernay lagay hongay, yahan tak us banday ka intiqal hojaye ga likin us insan ki
naiki may izafay ka amal jari rahay ga jab tak who naiki ka kam is duniya may
hota rahay ga, isi tarah Jis nay koi burai ka kam kisi ko sikhaya ya koi aisa
amal kiya jis say log burai ka kam kernay lagay to jab tak woh burai ka kam is
duniya may hota rahay ga to us ka gunah us insan ko milta rahay ga jis na woh
gunah ka kam kisi ko sikhaya hoga ya us kay kisi amal say log gunah ka kam
kernay lagay hongay, yahan tak kay us banday ka intiqal hojaye ga likin us
insan ki gunah may izafay ka amal jari rahay ga jab woh burai or gunah ka kam
is duniya may hota rahay ga.
Amal ka Daromadar Niyat per hay , hamay jo bhe kam
kerna chaiyay woh sirf or sirf ALLAH ki Raza kay liyay kerna chaiyay , kisi ko
dikhanay kay liyay ibadat nahee kernee chaiyay , kay may Namaz perhoonga to sab
log mujhay Naik samjhay gay , May Zakat doonga to log mujhay bohat Naik or
sakhee samjhay gay , matlab yay kay koi ap jo bhe kam karay woh sirf ALLAH ki
raza kay liyay karay kay ALLAH hum say khush ho jaye bas , yay nahee kay duniya
ko khush kernay kay liyay or duniya may apna nam roshan kernay kay liyay , agar
aisa koi karay ga ya is niyat say jo bhe kam kiya jaye ga to us ka ajar kuch
bhe nahee milay ga balkay sirf or sir nuqsan he hoga , apni Niyat ko saaf
rakhaiyay , jo kam bhe karay sirf or sirf ALLAH ki Raza kay liyay or ALLAH ko
khush kernay kay liyay karay
Allah Say Her Waqt Hidayat Ki Dua Mangiyay Kay Aye
Allah hum sab ko Hidayat day , hum sab ko Naik Rastay Per Chalnay or Burai say bachnay ki toufeeq ata
farmaye. Allah Walay Kay Pass Jana Kiun
Zaroorie Hay Kiun Kay Jab Tak Hamay Pata He Nahee Chalay Ga Kay Zindage Ka
Maqsad Kiya Hay , Zindagee Kis Tarah Guzarne Hay To Kis Tarah Ap Sahee Rastay
Per Chalo Gay , Namaz Ki Pabandi Bohat Zaroorie Hay Is Say Insan Gunah Say
Bachta Hay , Namaz Ba Jamat Ada Kernay Ki Her Mumkin Koshish Kijyay , Huqooq
Allah Or Huqooq Ul Ibad (Allah Kay Banday Kay Haq) Ko Poora Kijyay , Quran
Majeed Ki Tilawat Kijyay , Dua Kijyay Apnay Laiyay , Apnay Maa Baap , Behan
Bhai Kay Liyay , Apnay Liyay Or Sab Kay Liyay Hidayat Ki Dua Mangaiyay , Allah
Per Bharosa Rakhiyay , Allah Ki Rassi Ko Mazbootie Say Tham Ker Rakhiyay , Naik
Kam Karain.
Jis tarah insan duniya may kamyab honay kay liyay
mehnat kerta hay , isi tarah akhirat may kamyabi hasil kernay yani jannat may
janay kay liyay Deen ko seekhnay kay liyay bhe mehnat kerni perhti hay , Deen e
Islam ki taleemat hasil kernay kay liyay hamay mehnat kerni perhay gi , Insan
ko apni Akhirat ki zindagee jo kay na khatam honay wali zindagee hay us ki
fikar kerni chaiyay or yay zindagee Aik Imtihan hay, Naiki kay kam kernay
hongay or gunah say bachna hoga, Halal kam kernay hongay or Haram kam say
bachna hoga, Allah kay hukum ko man na hoga , Huqooq Allah or Huqooq ul Ibad
ada karnay hongay, , ALLAH or us kay
RASOOL (Sallallahu Alayhi Wasallam) kay bataye huway rastay per chalna hoga ,
QURAN or SUNNAT kay mutabiq zindagee guzarna hogaee, Allah kay hukum ko man na
hoga , behayai kay kam say bachna hoga , Halal kamana or Haram say bachna hoga,
Huqooq Allah or Huqooq ul Ibad sahee tariqay say ada kernay hongae, Deen ki
Taleem hasil kerni hogee, Jab tak ap Deen ki taleem hasil kernay ki koshish
nahee karaingay or ALLAH walo kay sath apna taluq nahee joraingay, Quran
perhnay or us kay paigham ko samajhnay ki koshish nahee karain , deen ki mehfil
may nahee baithay gay, Ulma Ikram kay bayanat nahee sunay gay , Mufti, Aalim or
Allah walay logo kay sath apna taluq nahee joraingay , Quran o Hadees kay mutabiq zindagee nahee guzaraingay
, deeni kitabo ko nahee perhaingay to kis tarah ap ki zindagee may deen asakay
ga.
Allah nay taqreeban 1 Lakh 24 Hazar Paigambar is duniya
may bhejay , jo her dor may insano ko Allah kay bataye huway rastay per chalnay
ki talqeen kertay thay , un ko Allah kay bataye huway tariqay per chalnay ka
kehtay , un ka samjhatay kay Allah kay siwa koi ibadat kay laiq nahee hay , un
ko seedhay rastay per chalnay ki talqeen kertay or burai say roktay or
samjhatay kay kis tarah woh Allah ki ibadat kerkay duniya or Akhirat may kamyab
hosaktay hain or jis nay us waqt kay Nabi
kay bataye huway rastay ko ikhtiyar kiya Duniya gawah hay kay woh Duniya
may bhe kamyab huwa or insahaAllah akhirat may bhee un kay liyay Allah nay ajar
e Azeem rakha hay or jis nay waqt kay nabee ko nahee mana woh duniya may bhe
zaleel huwa or akhirat may un kay liyay dard nak Azab hay, ALLAH ki mazre kay bagair koi cheez apni jaga
say hil nahee sakte , Allah he rizq
daynay walay hay , Allah he rozgar daynay walay hay , Allah he sab ko rizq
daytay hay, Allah kitna Raheem o Kareem hay Duniya may jitni bhe makhlooq hay
Insan , charind Parind , Janwar , Samandar ki makhlooq garz jitni bhe jandar
makhlooq hay , jitney bhe Jandar hay Allah sab ko rizq dayta hay or her roz
dayta hay or Allah pak kay khazanay may koi kami nahee ate hay.
Allah rehman hay , Allah raheem hay , Allah kay siwa ki
koi ibadat kay laiq nahee hay , Hazrat
Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam)
ALLAH Kay akhri NABI OR RASOOL
Hay. Jab yay Duniya nahee thee us waqt
bhee ALLAH tha , aj yay Duniya hay jab bhee ALLAH hay or kal jab yay duniya
fana hojayee gee to jab bhe Allah he hoga, ALLAH Nay is kainat ko banaya ,
Allah nay Sooraj ,chand , sitaray, asman banayae , Sooraj her roz Allah kay
muqarar kerda waqt per nikalta hay , poori duniya ko roshan kerta hay or phir
guroob hojata hay , Chand sitaray apnay waqt per hamay asman per nazar atay hay
or phir gayab hojatay hay, ALLAH nay poori duniya banadi , Allah na is duniya
may aisi aisi cheezay banai hay kay insan ki aqal us ko daikh ker dang reh
jatee hay, ALLAH nay baray baray Pahar banadiyay , Allah nay insan ko banaya ,
Farishto ko banaya , Janwar ko banaya , Jin or shayateen ko banaya, Allah nay
insan ko Ashraful Makhlooqat ka derja diya , Allah nay samander banaye or
samandar kay under aisi aisi samandari makhlooq banai kay insani aqal un ko
daikh ker heran o preshan rehjataee hay
, Allah nay is duniya may aisay aisay janwar banaye kay insan daikh ker heran o
preshan rehjata hay , kuch janwar Allah nay halal banaye , jin ko Zibah ker kay
insan apnay khanay kay liyay istimal kerta hay, kuch janwar zehreelay hay ,
kuch janwar masoom hay jo insan ko nuqsan nahee pohanchtay or kuch janwar
Muslamano kay liyay haram karar diyay gaye , ALLAH he nay sab ko paida kiya hay
, Allah he sab ko mot dayga or Allah he qayamat kay din tamam insan ko doobara
zinda karega, Is Duniya may jo kuch bhee hota hay woh sirf or sirf Allah kay
hukum say hota hay , Allah kay hukum kay bagair aik patta bhe hil nahee sakta ,
insan aik sans bhe Allah kay hukum kay bagair nahee lay sakta, Allah jisay
chahay izzat day or Allah jisay chaye zilat day.
Allah ka jitna
bhe shukar ada kiya jaye kam hay kay Allah nay hamay tamam naimat say nawaza
hay , Allah he hay jo hamay Rizq say her roz nawazta hay , Allah ka shukar hay
kay Allah nay hamay daikhnay kay liyay Ankh di hay , Sun nay kay Liyay Kan
diyay hay , Kam kernay kay liyay hath diyay hay , Bolnay kay liyay zaban di hay
, chalnay kay liyay Pair diyay hay , Allah nay hamay Rizq diya hay , Allah he
na hamay Rozgar diya hay, Allah nay hamay sehat or tandurusti wali zindagee ata
farmayee , apnay say oper walo ko daikh ker preshan na ho , shikwa na karay kay
Allah nay un ko kitni cheezo say nawaza hay , hamesha apnay neechay walay logo
ko daikhay or Allah ka shukar ada karay , kisi say hasad na karay , kisi ko
Allah nay agar zada naimato say nawaza hay to un say hasad na karay , un kay
liyay bura na sochay balkay Allah say Dua karay Allah un ko or naimato say nawazay.
Allah per poora poora bharosa rakhiyay , Allah say
apnay gunah ki maafi mangiyay , Allah he
rozgar or rizq kay derwazay apni rehmat say kholnay wala hay , Is Duniya may jo
kuch bhe hota hay woh sirf or sirf Allah kay hukum say hota hay , hamari zindage
ka bhee aik maqsad hay , Allah nay bina kisi maqsad say hamay is duniya may
nahee bheja hay , hamari zindagee kay maqsad Allah or us kay Rasool Hazrat
Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam)
kay bataye huway rastay per chalna or un kay batay huway tariqay kay
mutabiq zindagee guzarna hay , kiya cheez halal hay kiya cheez haram hay is ka
ilm insan ko hona chaiyay, hamay apni zindage Quran or sunnat kay mutabiq
guzarni chaiyay , Allah or us kay Rasool (Sallallahooalahi-Wasallam) kay bataye
huway rastay per chalna chaiyay ,deen e islam ko seekhna hay us per amal kerna hay
or us kay paigham ko poori insaniyat tak pohchana hay , Allah nay insan ko
ashraful makhlooqat banaya hay , achay or buray ki tameez sikhai hay , kiya
sahee hay kiya galat hay is ka shaoor diya , kis rastay per chal ker insan
kamyab hosakta hay , kis tarah kay amal ker kay insan Allah ko razi ker kay
jannat may jasakta hay , jo insan Allah ki nafarmani kerta hay us ko Qabar may
bhee azab milta hay , Qabar ya to jannat kay bagh (Garden of Jannat) may say hay
ya doskh kay gharay may say hay.
ALLAH hum sab ko Hidayat day or ALLAH Hamay seedhay
rastay per chalnay ki taufeeq ata farmaye or ALLAH hum sab ko Sirat e Mustaqeem
Kay rastay per chalnay ki taufeeq ata farmaye or woh Kam Kernay ki toufeeq day
jis say ALLAH Pak razi hojatay hain or woh kam na kernay ki tauqfeeq dain jis
say ALLAH Pak naraz ho Jatay Hay .
Duniya ka kamyab tareen insan, dolat mand insan, duniya
ka ameer tareen insan , kis kay pass
bohat zada bank balance ho ,
bunglow ho, car or duniya ki her asaish
o aram ki cheezay ho , hamesha jeet us ka muqadar bane ho likin zindage Allah
ki nafarmani ker kay guzari ho, jab us insan ka qayamat kay din hisab kitab
kiya jaye or woh us may nakam hokar jahanum may dal diya jaye or aik wo insan
jis nay duniya may zindagee bhar Allah or us kay rasool Hazrat Muhammad Mustafa
(Sallallahooalahi-Wasallam) kay bataye
huway rastay per chala ho , or Allah kay paigham doosro tak pohanchya ho , jis
kay nazdeek duniya ki kamyabi say zada akhirat ki kamyabi ki aihmiyat ho , jis
nay jo kam bhe kiya ho woh Allah ki raza kay liyay kiya ho , jis nay jo kam bhe
kiya ho woh Allah or Rasool Hazrat Muhammad Mustafa
(Sallallahooalahi-Wasallam) kay bataye
huway tareeqay kay mutabiq kiya ho or jab qayamat kay din us kay amal ka hisab
kitab ho to woh us may kamyab hokar jannat may dakhil ho jaye ga to ap kay
nazdeek kon sa insan sab say kamyab tareen or khush Qismat hoga,
“ Allah say hota hay or Allah ki siwa kisi or say nahee
hota “.Tamam Alam kay insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen
zindage may mehnat say or seekhnay say ata hay , behayai fahashi or burai say
pak zindage guzarnay kay liyay Allah kay deen ko seekhiyay , Allah ki taraf
rujoo keray , burai say bachaiyay or Quran Or Sunnat kay mutabiq zindage
guzarnay ki koshish kijyay. Allah hamay hidayat day (Ameen).
Amal ka Daromadar Niyat per hay , hamay jo bhe kam
kerna chaiyay woh ALLAH ki Raza kay liyay kerna chaiyay , kisi ko dikhanay kay
liyay nahee kay may Namaz perhoonga to sab log mujhay Naik samjhay gay , May
Zakat, Khairat, Sadqat ya doosray Falahi kam keroonga ya koi doosra naik amal
kerunga to log mujhay bohat Naik or sakhee samjhay gay , dikhaway ki niyat say
koi kam nahee kerna chaiyay balkay jo bhe kam karain woh sirf or sirf khalis
ALLAH ki raza hasil kernay kay liyay karay , yay nahee kay duniya ko khush
kernay kay liyay or duniya may apna nam roshan kernay kay liyay, Apni Niyat ko
saaf rakhay , jo kam bhe karay sirf or sirf ALLAH ki Raza kay liyay or ALLAH ko
khush kernay kay liyay karay , Her Farz Namaz kay bad Ayatal Kursi perhiyay ,
her waqt Allah say apnay gunah ki maafi mangiyay, Deen or Duniya kay jitney
halal kam hay us may Allah say afiyat or berkat ki dua kijyay or zada say zada
Durood Shareef perhnay ka aihtamam kijyay.
Jab masjid may Namaz perhnay jaye to thora jaldi chalay
jaye or 2 rakat Nafil Namaz Tahiyatul wudhu or 2 Rakat Nafil Nafaz Tahiyatul
Masjid perhlay in dono Namaz ki bohat zada fazeelat hay , isi tarah Magrib ki
Namaz kay bad 2 2 kerkay 6 Rakat Namaz-E-Awabeen perhnay ki koshish kijyay, is
ki bohat zada fazelat hay .
Recite
daily: Surah Yaseen, Surah Rehman, surah Mulk, Surah Fatiha , Surah Kafiroon ,
Surah Naas , Surah Falaq, Surah Ikhlas, Surah Quresh , Surah Feel, Surah Asar,
Surah Kosar. Read Ayatal Kursi after every Farz Namaz,do Astagfar as much as
possible, Recite Durood Shareef as much as possible. Recite
Read Durood Shareef as much as possible ,If any one recites Durood Shareef from
any place, any part of the world from any distance, it actually reaches the
Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallim) immediately. Allah has appointed
several Angels who are given exclusive duty to collect all Durood Shareef and
present the same before the Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallim)
immediately
Aayat-ul-kursi benefits: recite while leaving house, 70,000 angles will protect
you from all side. Recite while entering home, poverty would not enter your
home. Recite after wudhu, it raises your status 70 times. Recite before
sleeping 1 angel will protect you whole night.
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Hawa-o-Hirs wala dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal day Mera rasta dil badal day
Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal day
Hataaloun aankh apni Maa-siwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal day
Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal day
Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Dilay magmoom ko masroor karday
Dil-e-be noor ko purnoor karday
Faroza dil mein sham-e-toor karday
Yay gosha noor say ma’moor karday
Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday
Hay meri ghaat mein khud nafs mera
Khudaya isko dey maqdoor karday
Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday
Ma-e-wahdat Pila maqmoor karday
Mohabbat k nashay main choor karday
Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday
Jaga Ji Lagaanay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
Jahaan Main Hain Ibrat Kay Harr Soo Namunay
Magarr Tujh Kou Andha Kiya Rang-O-Bu Nay
Kabhi Ghaur Se Bhi Yeh Daikh Hai Tu Nay
Jou Aabad Thay Woh Mahal Abb Hain Soonay
Jaga Ji Lagaanay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
Milay Khaak Main Ahl-E-Shaan Kaisay Kaisay
Huay Naamwar Baynishan Kaisay Kaisay
Makeen Hogaye Laamakan Kaisay Kaisay
Zameen Khaa Gayi Naujawaan Kaisay Kaisay
Jaga Ji Lagaanay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
Ajal Nay Hi Chorra Na Kisra Na Daara
Issi Say Sikandar Sa Faatayh Bhi Haara
Parra Reh Gaya Sabb Yunhi Thaat Saara
Harr Ik Lay Kay Kya Kya Na Hasrat Sidhaara
Jaga Ji Lagaanay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
Yahi Tujh Ko Dhun Hai, Rahun Sabb Se Baala
Hou Zeenat Niraali, Hou Fashion Niraala
Jiya Karrta Hai Kya Yunhi Marrnay Waala
Tujhe Husn-E-Zaahir Ne Dhoke Main Daala
Jaga Ji Lagaanay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
Yeh Duniya-e-Faani Hai Mahbub Tujh kou
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujh Kou
Nahin Aqal Itni Bhi "Mazjub" Tujh Kou
Samajh Lena Ab Chaahiyay Khub Tujh Kou
Jaga Ji Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
Tujhe Pehle Bachpan Ne Barsoun Khilaya
Jawaani Ne Phir Tujh Ko Majnun Banaaya
Burrhapay Ne Phir Aake Kya Kya Sataaya
Ajal Tera Karrdegi Bilkul Safaaya
Jaga Ji Lagaanay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai, Tamashah Nahin Hai
click on the following link to see all time best post of sharing is caring
Madni Masjid Karachi, Tableeghi Jamaat, Tableeghi Markaz, Makki Masjid Karachi,Madni Masjid, Karachi, Tableeghi Jamaat, Insan kay dunya akhirat ki kamyabi deen may hay, Tableegh, Tablighi Jamaat, Tableegh e Islam, Insan kay dunya akhirat ki kamyabi deen may hay,Madni Masjid Karachi, Tableeghi Jamaat, Tableeghi Markaz, Makki Masjid Karachi, Madni Masjid Tableeghi Markaz Ayesha Manzil Karachi
Ghar say njikaltay waqt ki dua,meray liyay Allah kafi hay,Bismillah 99,Preshani say nijat,tension, problem, Kisi kay shar say bachnay ki Dua,wold, hereafter,Duniya or akhirat kay her gum,friend, enemy,Dushman say bachao,Hadsat say bachnay kay liyay,enough, Her cheez kay liyay kafi,Her takleef say mehfooz,Ya Hafeezo Ya Salamo,Subah Shaam, morning , evening, ,Surah Baqra last Rukoo,akhri rukoo, Surah Falaq,Surah Fatiha,Surah Hashar ki akhri ayat,Surah Ikhlas,Surah Inam,Surah Kafiroon,Surah Nas,Duniya or akhirat kay kamo ki kifayat ka nabvi nusqa,Hifazat ki dua,Subah zaroor perhiyay bohat faida hoga,Astagfar,ISTAGFAR KE FAZAIL,Astagfar,ISTAGFAR KE FAZAIL,Palanpuri sahab,Astagfar, GUNAH MAAF KARANE KA NABWI NUSKHA,Astagfar english gunah maaf karne ka nabawi nuskha, ASTAGFIRULLAH ALLAZI LA ILAHA ILLA HU ALHAI ALQAYYUM WA ATOOBU ILAIH,Astagfar ,Astagfar ASTAGFIRULLAH ALLAZI LA ILAHA ILLA HU ALHAI ALQAYYUM WA ATOOBU ILAIH,Astagfar ,Astagfirullah,astgfirullah ,Ayatal Kursi ,Durood Shareef,Raat kay waqt,raat ko sotay waqtg,Sonay Say Phleye Kay Amal,Subhanallah,Surah Baqra last Rukoo,surah baqra,Surah Falaq,Surah Fatiha Surah Ikhlas,Surah Kafiroon,surah kosar,Surah Nas,naiki ka paigham dijyay burai say rokiyay, gunah na pehlaiyay naiki ko pehlaiyay or gunah ko rokiyay,hamesha jari rehnay walay gunah gunah na pehlaiyay,Sach ka inam or jhoot ka anjam,naiki ko pehlaiyay or gunah ko rokiyay ,social network facebook whatsapp instagram use kernay kay islami usool,jhoot pehlanay walo ka anjam gunah pehlanay ka zarya na baniyay,naiki ko pehlaiyay or gunah ko rokiyay, post share kernay kay usool gunah pehlanay ka zarya na baniyay,Tableeghi Jamaat , Tableegh ,Paigham naiki ka paigham dijyay burai say rokiyay, gunah na pehlaiyay naiki ko pehlaiyay or gunah ko rokiyay,Qurbani, Qurbani ka Maqsad, Hajj, Zil Hajj, Zilhaj ka Roza, Takbeer e Tashreek, Youm e Arafa ka Roza,talbiyah, fast, fasting, eid ki namaz ka tariqa, way, Allah o akbar , Allah o akbar, eid ki namaz ka tariqa, prayer, salat, namaz, eid ki namaz ka tariqa , Eid Ul Azha K Adab , Hajj Gunnaho Ki Safai, Pilgrim, hajj kab farz hota hay, hajj ki saadat, Hajj Mai Takheer, late, hajj umrah, hajj umray janay Allah kay mehman, hajj roza, Mehboob Amal, mehgay janwar khareednay ka fashion, cattle farming, cattle, gaye, bakray, dumbay, bell, goat, cow, sheep, qurbani fashion Qurbani - Bal or Nakhun, hair, nails, na katain, Qurbani Bageer Aib, Qurbani her bal ka badlay naiki, Qurbani himatain, Qurbani Janwar, Qurbani ka ajar o sawab, Qurbani Ka Ghost Ba-Barkat, meat, Qurbani Ka Ghost Nahi, qurbani ka maqsad, Qurbani ka nisab, qurbani ka tariqa, qurbani kay liyay janwar ka inthikab, qurbani khareedni kay marhala , Qurbani ki hikmatain, Qurbani Nisab, Qurbani, Quran e Majeed, ki roshni may, takbeer e hajj, takbeer e tashreeq, Takbeer e Tashreeq, Allah o Akbar, Takbeer e Tashreeq, takbeer Tashreeq, Wajib Qurbani sab ki alag alag, Yaum-e-ARFA (9th ZilHaj) ka Roza, Youm e Arafa ka roza 9 10 zilhaj ka roza, youm e arfa ka roza zilhaj ka roza, zilhaj takberaat,,madni masjid, tableegh, tabligh, tableeghi jamaat, tablighi jamat, dawat , Naat , junaid jamshed, saeed anwar, shahid afridi, Makkah, Madina, Surah Mulk, Quran Majeed, Allah ,Durood Shareef ,Namaz , Masjid ,Allah ,Subhan Allah ,Islam, Muslim, Islamic, Quran, Mufti, Molana, Moulana, Whatsapp, Telegram, Islamic group, Madni Masjid, Tableeghi jamaat , Zikar Azkaar, Allah ka Zikar, Zikar Allah, Naiki, Sawab, Esaal e Sawab , Khulasa e Quran,taraweeh, Islamic Audios , Islamic Videos , Islamic Books , Quran Dua , dua ,Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam), Surah Hashar ki akhri ayat , Surah Baqra last Rukoo , Imaan Mufasal Imaan Mujamal, Durood e Tanjeena , Surah Inam , Dushman say bachao ,Muharram , Ashura , Ashoora , Roza , Surah Mulk , Molana Tariq Jameel , Takbeer Tashreeq , Zilhaj, Zilhaj ka roza, Qurbani, Surah Rehman , Surah Fatiha , Surah Kosar , Surah Quraish , Quran Majeed ,Bismillah ki barkat, Madni Masjid, Namaz, Tableeghi Jamaat, Sadqa Jariya, Surah Baqra, Surah Inaam, Surah Hashar, Surah Fatiha, Zikar Azkaar, Dushman say hafazat , Waldain, Ghar may khushali, Preshani say bachna, Hadsat say bachna, Her kam may Asani, Olad ki Deendari, Beemari say Hifazat, Hadsat say bachna, Jannat, Tableegh, Masnoon Dua, mufti tariq masood, baitussalam, saeed anwer, saeed anwar, molana tariq jameel, fikreakhirat, islaam, mobile, whatsapp, telegram, photo, video, images, school, colledge, college, university, office, book, software, mobile application, islamic application, islamic app, 4 qul, waldain, parents, preshnai, janat, heaven, la ilaha illallah muhammadur rasulullah, bismillah hir rahman nir raheem, auzu billahi minash shaitanir rajeem, hadsat, namaz, nazar, nazre bad, bacho, bachay, bachi, lerki, larka , mard, orat, child, children, men , women, boy, girl, job, rozi, rizq, rozgar, earth, sky, zameen, asman, ghar, house, safar, journey, halal, haram, sood, zina, fahsahi uryani, mazhab, MashaAllah, kamyabi, sucess, story, kahani, hifazat, safety, clamity, afat, neighbour, parosi, waqt, time , minute, death, died, grave , qabar, azab, marna, zindagi, life, molana younus palanpuri, hazrat feroz memon sahaba, hazrat hakeem akhtar sahab, wasif manzoor sahab, raiwand, karachi ijtima , raiwand ijtima, youtube, facebook, aitakaf, manzoor yousuf sahab, khalid iqbal taib sahab, masjid , mosque, sathi, friend, gussa, ghussal , wazoo, niyat, kapray, clothes, wardrobe, Assalam o Alikum, walikum as salam, badal ,barish, cloud, rain, Surah shams, juma, friday, azaan, mosque, suplication , dua , prayer, madni masjid karachi, tableeghi markaz karachi , maki masjid karachi , maki masjid tableeghi markaz karachi, madni masjid tableeghi markaz karachi, karachi, pakistan, ayesha manzil
#Karachi Ijtima 2020 #Karachi Tableeghi Ijtima 2020 #Karachi Tablighi Ijtima 2020
#Tableegh e Islam , #Tableeghi Jamaat , #Zindagee ka Maqsad Deen ki mehnat, #Deen e Islam hamari zindage may kaisay aye ga , #Deen e Islam ki Dawat dayna
#Karachi Ijtima 2020 Karachi Tableeghi Ijtima 2020 Karachi Tablighi Ijtima 2020
Islamic Album: #Madni Masjid Karachi, #Tableeghi Jamaat, #Tableeghi Markaz, #Makki Masjid Karachi, #Madni Masjid #Tableeghi Markaz #Ayesha Manzil #Karachi
#Islamic Videos: #Madni Masjid Karachi, #Tableeghi Jamaat, Tableeghi Markaz, Makki Masjid Karachi, Madni Masjid Tableeghi Markaz Ayesha Manzil Karachi
#Karachi Ijtima Videos, #Dawat o Tableegh Videos, #Karachi Ijtima 2020 Karachi Tableeghi Ijtima 2020 Karachi Tablighi Ijtima 2020
#Tableegh e Islam , #Tableeghi Jamaat , Tableegi Jamat, Dawat O Tableegh, Zindagee ka Maqsad, #Deen ki mehnat, #Deen e Islam ki Dawat dayna
#Insan ki kamyabi, #Madni Masjid, #Masjid, #Tabeelghi Jammat, #Tableegh, Tablighi Jamaat, #Zindagee ka maqsad, #makki masjid, #Karachi Tableeghi Ijtima, #Karachi Tablighi Ijtima
No comments:
Post a Comment