Tuesday, September 13, 2022

HR Email ids, Jobs, Namaz, Zikar Azkaar, Hadsat say Hifazat, Dawat o Tableegh, Quran o Sunnat kay mutabiq zindagi guzarna

 Home Page Home Page 1 Home Page 2  All post link of this website/Blog

 Urdu Islamic Article HR Email Ids   All Links: Islamic Videos 

how to create cv in ms word  One Dollar Shop Karachi, Shopping Mall in Karachi 

Latest School jobs   Latest Teaching  jobs  Ramazan Masail Roza Zakat Album

Art & Craft, ASMR Videos      Karachi famous Bazar     Karachi Shopping Places

Karachi famous Parks, Karachi famous Places       Northern areas of Pakistan

Karachi Top Islamic  School           Online Earning Free Course

zindagee kaisay guzarain    zindagee ka maqsad           Quran ki Tilawat Kijyay

Naiki ki dawat dayna   Dua e Anas    The purpose of life / zindage ka maqsad videos

Zikar Azkaar how to create cv in ms word    School HR ID   Ulema Ikram Bayanat

Listen Quran Majeed    Read Quran Majeed   Social Media    Ramzan

Khulasa Quran Majeed   Latest jobs    Karachi School    Free Islamic Gift 

WHATSAPP GROUP    HR Stuff   Tips & Trick for HR Student, Recruiter, Job Seeker    RSMZ Tutor Academy Karachi 

TikTok Video    Dawat o Tableegh   Napaki,Wazoo,Ghussal   QURAN URDU TRANSLATION

Zikar Azkaar Videos   Zikar Azkaar Album   Zikar MOLANA YUNUS PALANPURI

Message for Girls and Boys    Message for  Aurat Lerki Khawateen   Jobs on Facebook

Dua e Anas   MOLANA YUNUS PALANPURI   Quran Majeed Surah   Islamic Reminder

zindage ka maqsad   Raat kay amal   Hadsat say bachnay ki dua    Dua e Qunoot Nazla

Namaz ka tariqa  Namaz Ka Tariqa  Islamic Message  social media   

zikar Azkaar for daily routine    Madni Masjid Karachi   Dawat o Tableegh     Islamic Books

Namaz ka practical tariqa    Karachi Ijtima Videos    Sharam o Haya   Islamic Messages

Karachi famous places  aqwal e zareen  Recite Quran Majeed Surah  

Saas Bahu kay jhagray   Junaid Jamshed Naat    Juniad Jamshed Bayan

Saeed Anwer bayan   Saeed Anwer bayan    Nausheen Konen Bayan     Recite  Quran Majeed

Listen Quran Majeed    Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed

Khulasa Quran Majeed    What is Islam   Sunnat e Nabvi (SAW)   Sunnat e Nabvi (SAW)

Cancer ka Ilaj   Quran Majeed Message    Namaz kay Masail     Allah ka Azaab    

Allah ka Azaab     Allah ka Azaab    Allah ka Azaab    Namaz Quran & Tableegh

All Links: Islamic Albums (Quran, Namaz, Zakat, Ramzan, Khulasa Quran, Tarjuma Quran)

   All Links: General Islamic Albums  Karachi Bachat Bazar, Itwar Bazar, Lunda Bazar  

Zakat Masail     Zakat Islamic Videos     Qurbani Masail       Qurbani Islamic Videos         

Islamic Reminder, Life changing Islamic Bayan, Most Popular Islamic Bayan on Youtube 

One Dollar Shop Karachi  Karachi Shopping Mall, Branded Shoes, Branded handbags, Makeup  

Karachi Shopping Mall, Famous Shop , Karachi Bachat Bazar, Itwar Bazar, Lunda Bazar 

Best collection of Zikar Azkaar, Best Zikar Azkaar for daily routine Life

  All post link of this website/Blog  Karachi Gaming Channel Youtube Channel    

  Karachi Ladies Shopping , Bazaar, Shop youtube channel    Famous Islamic Youtube Channel 

Qurbani ka maqsad, Qurbani kay Masail, Hajj ka Tariqa, Zil Hajj ki fazilat, Youme Arafa ka Roza




100 Rupees shop in Karachi, household items & Kitchen Gadgets, Whole Sale Shop, RJ Shopping Mall

https://www.youtube.com/watch?v=awgkvpXkwyY




Youtube Channel Name: Explore Karachi with Rahima 
Please subscribe this YouTube channel

For more interesting videos subscribe Explore Karachi with Rahima youtube Channel, 300+ Videos are already uploaded on this channel

1) Karachi famous Parks, amusement Parks, Sindbad,Askari Park, Kashmir Park, Taleemi Bagh, PAF Museum
2) Karachi Bazar, Bachat Bazar, Itwar Bazar, Budh bazar, Lunda Bazar, Landa Bazar, Sunday Market, Sunday Bachat Bazar, Aladdin Sunday bachat Bazar
3) One Dollar Shop Karachi, Shopping Mall in Karachi, Karachi famous shops, Saving World, Frakin Store, Discount World, Branded and Used Items
4) Ladies Branded Suit, Garments Shop, Ladies Suit, Ladies Shoes, Ladies Abaya, Stitched & Unstitched Suit
5) Cow Mandi, Gaye, Birds, Pets Lovers, Adorable Animal, Pets & Animal, Exotic Birds, Bakray, Bakra Eid
6) Karachi School, Islamic schools in karachi, O Level school in karachi , A level school karachi, top 10 school in karachi, O/A level school karachi
7) HR Videos for HR Professional, Jobs in Karachi, How to Find Jobs on Whatsapp, Facebook, Linkedin 
8) Northern areas of Pakistan
10) Entertainment Videos
11) Youtube Shorts (Cow Mandi, Gaye, Birds, Pets Lovers, Adorable Animal, Pets & Animal, Exotic Birds, Bakray, Bakra Eid)
9) Free Online Earning Courses



Assalam o Alaikum Warehmatullah Wabarakatuhu,

Namaz ki pabandi kijyay, Quran Majeed ki Tilawat her roz kijyay, Quran or Sunnat kay mutabiq zindagee guzarain, Tahajud ki Namaz perhnay ki koshish kijyay, apki jo filed hay us ki zada say zada knowledge hsail karain, free time may tution perhanay ki koshish kijyay, Zada say Zada Dua Mangiyay, English communication skills ko zada say zada improve karain.

Namaz kay masail, Big mistake during Namaz

1) Jaga Ka Pak saaf Hona
2) Apki Body / Jisam ka pak saaf Hona
3) Apkay Kapray ka pak saaf hona
4) Wazoo ka Hona
5) Qibla Rukh Hona
6) Namaz ka her rukun aram say ada kerna
7) Taiz Taiz, Jaldi Jaldi Namaz Na Perhna
8) Namaz kay her rukun ko Aram say or Sahee Tariqay say Ada Kerna
9) Namaz kay bad dua mangna
10) Namaz kay faraiz or Namaz kay doosray masail ka khayal rakhnay kay sath sath, important cheez yay hay kay taiz taiz, jaldi jaldi namaz na perhain, kiun ap is tarah karaingay to Namaz ka koi rukun sahi proper tariqay say ada nahee hoga, jis ki waja say apki namaz nahee hogee, jis tarah namaz perhnay kay adab hay,  waisay he namaz perhni chaiyay
11) Namaz hamesha Aram or Sukoon say perhni chaiyay, Namaz kay tamam Rukum sukoon or Itminan kay sath ada kernay chaiyay, Kiun kay Namaz may Hum Allah kay samnay kharay hotay hay, Allah ki ibadat ker rahay hotay hay, Jis nay hamay banaya hay or Jo is Jahan ka Malik or Khalik hay.
12) Namaz kay bad dua mangni chaiyay kay Allah hamay hidayat day, Allah hamari Namaz ibadat ko Qabool Farmaye or Allah hamara Khatma Imaan per Farmye or martay waqt Kalima Perhna naseeb farmaye.

 

****Daily Routine:

*Offer Namaz on Time and always remain in wazoo, Recite Quran Majeed daily with tarjuma and tafseer *In Morning: Recite following Surah & Dua: Surah Yaseen, Surah Rehman, Surah e Fatiha, Last 2 Ayat of Surah Baqra, Ayat ul Kursi, Surah  Ikhlas , Surah Falaq, Surah Naas, Surah Kafiroon, Masnoon Dua and Day/Night Wazaif *At Night: Recite following Surah: Surah e Fatiha , Surah Mulk, Surah Waqiah, Surah Sajdah, Last 2 Ayat of Surah Baqra, Ayat ul Kursi, Surah Ikhlas , Surah Falaq, Surah Naas, Surah Kafiroon, Do Wazoo before sleeping. *On Friday Recite Surah Kahf  Do Zikar Azkaar/ Zikar ullah as much as possible. Morning & Evening: 100 times Durood Shareef, Astagfar & 3rd Kalima, other Azkaar like SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR ,  subhanallah wabihamdihi subhanallahil azeem, Durood Shareef, Read book “Mamoolat Subah or Sham” Kalima Tayyaba, Dua Anas, Dua e Qunoot e Nazla.



Click on the above link to read Namaz Janat ki Kunji , Nafil Namaz ki aihmiyat, Zikar Azkaar, Allah ka zikar, Masnoon Dua , Masail or un ka hal, Paki Napaki, Ghussal or wazoo ka tariqa, Halal or Haram, Sahee or Galat, Quran Majeed, Dawat o Tableegh, Zindagi ka maqsad, Purpose of Life, Duniya may anay ka maqsad, Namaz ka Tariqa, Zakat,Surah Al-Baqra ka last Rukoo, Surah Hashar , Jamia Dua , Mot ki Yad , Surah Fatiha , Astagfar , Durood , Dushman say bachao , Fazail surah, Allah ka Zikar , Fazail Amal , Jahanum say Azadi , Janat ka Soda , Asan Naikiyan , Madni Masjid.

 




Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Har ghar pe nabi leke gaye noor-e-hidayat
Tayef me gaye leke apne deen ki dawat

Ummat ka dard dard me wo dil ki kaifiyat
Ummat meri ummat meri ummat meri

Ummat ke isi fikar mein jalne ka maza dekh
Allah ke raste nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Ek hukm pe ashab-e-makan chhor ke nikle
Baghat jahan the wo wahan chhor ke nikle

Nikle to peechhe sara jahan chhor ke niklen
Hatta ke wapsi ka gumaan chhor ke niklen

Tu bhi to takaazon pe nikalne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Sunnat ke diwanon ko ‘aafiyat ki khbar do
Touheed ke da’ai ko rafaqat ki khabar do

Dawat ki jama’at ko maghfirat ki khabar do
Is kaam ki shoqeen lo jannat k khabar do

Aa chal ke tu bhi dhool me dhulne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Tauheed ki shaheen tera kaam gasht hai
Maidam-e-amal ke liye paigham gasht hai

Mehdood nahi tera sar-e-aam gasht hai
Aaram nahi tujhko subh-o-shaam gasht hai

Aur tol fizaaon se bahlne k maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Zamzam ki tarah kaam hai hijrat ka amal hai
Emaan ki lazzat ka fazeelat ka ‘amal hai

Allah se lene ka maghfirat ka ‘amal hai
‘Amal banane ka hidayat ka ‘amal hai

Is raste me khud ko badlne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Emaan ke maahoul me emaan dekhna
lazzat me kaise jhoomti hai jaan dekhna

Momin ki yahi shan hai ye shan dekhna
Wo gasht lagata hua sultan dekhna

Allah ke baat ke liye milne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Uljha ke museebat me phasa degi ye duniya
Duniya hai daghabaz dagha degi ye duniya

Thokar se zer-e-khaak daba degi ye duniya
Har maal chheen legi mita degi ye dunya

Chal chhor nikal aur nikalne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh



Her Waqt Allah Ka Zikar Kijyay or Jo Naimat Allah nay ap ko dee hay her Waqt us ka
Shukar Ada Kertay Rahain , Namaz ki pabandi kijyay, Quran Majeed ki her roz tilawat kijyay,
Subah kay waqt Surah Rehman  or Surah  Yaseen ki tilawat kijyay, Raat kay waqt Surah
Mulk or Surah Waqiya ki tilawat kijyay,   Subah or sham kay waqt 100 dafa Durood  Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra kalma perhna chaiyay, isi tarah her waqt  Pehla Kalima perhna chaiyay ,Durood Shareef perhtay rahain,  Astagfar zada say zada karain , SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH ,  ALLAH O  AKBAR, subhanallah wabihamdihi
subhanallahil azeem perhain, Ayat ul Qursi perhain, Surah Baqra ki akhri 2 ayat perhain,
Surah Fatiha or 4 Qul (Surah Ikhlas , Surah Kafiroon , Surah Naas , Surah Falaq) perhain,
Masnoon Dua perhnay ka aihtmam kijyay.  Quran Majeed ki tilawat zada say zada kijyay,
Subah kay waqt Surah Yaseen or Surah Rehman ki tilawat karain, Rat kay waqt Surah e Fatiha ,  Surah Mulk , Surah Waqiah, Surah Sajdah, Surah Ikhlas , Surah Falaq, Surah Naas, Ayat ul Kursi, Surah Baqra ka akhri 2 ayat perhain , Her Farz Namaz kay bad bhe Ayat ul Kursi perhain, Subah or Sham 100 dafa Durood Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra kalma perhain , Isi tarah her waqt Pehla Kalima perhain , Astagfar perhain or is kay sath sath SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR , subhanallah wabihamdihi subhanallahil azeem perhain, Durood Shareef zada say zada perhain, Allah ka  zikar zada say zada karain, Jumaa kay din Surah Kahf perhain, Namaz ki pabandi karain, Gunah  say bachain or naik kam karain. 

Jo Waqt Namaz Perhnay, Quran Majeed ki Tilawat kernay, Quran Majeed ka tarjuma  or tafseer perhnay, Allah ka zikar kernay,  Allah kay Deen ko Samajhnay, Seekhnay  or Pehlanay  may Guzray ga, Naik Amal  kernay or Burai say bachnay may guzray ga,  Doosro ko naiki or deen ki dawat daynay may guzray ga, Doosro ko burai say bachanay may gyzray ga , Huqooq Allah or Huqooq ul Ibad pooray kernay may guzray ga, Halal Kamany or Haram kamanay say bachnay may guzray ga, Halal Kam kernay or Haram kam  kernay say bachnay may guzray ga , yahi sab Kuch Mot kay waqt, Qabar may , Hashar kay maidan may, Akhirat may hamaray kam aye ga, Zindagi kay maqsad ko samjhiyay, Duniya ki mohabbat dil say nikal ker, Apni Qabar, Hashar, Akhirat or marnay kay bad na khatam  honay wali zindage ki fikar or tayari kijyay

Quran Majeed ki tilawat her roz kiya karain, aksar  log Quran Majeed Mobile may perhtay hay, Likin jo bat Quran Majeed ko izzat Aihtram kay sath apnay  hath may lay ker , Daikh ker perhnay ka jo maza hay or us ki jo berkatain hay , woh hum soch bhe nahee  saktay hay, isi liyay Quran Majeed ko mobile may may perhnay kay bajaye , Quran Majeed ko usi tarah perhain jaisay Quran Majeed ka Haq hay, Musalman honay ki nisbat say hamay chaiyay,hum Quran Majeed ka Tarjuma bhe perhain, Quran Majeed ki Tafseer bhe perhain, Takay hamay pata chalay Allah pak Quran Majeed may hum say kiya farma rahay or kis bat kay kernay ka hukum day rahay or kisi kam say bachnay ka hukum day rahay hay. Namaz ki pabandi  kijyay, Achay ikhlaq kay malik baniyay, Naik Amal kernay walay or Gunah say bachnay walay baniyay,
Ghar may dakhil ho to Assalam o Alikum buland awaz may boliyay, Her acha kam suroo kernay say pehlay Bismillah perhain, Subah Shaam kay Zikar Azkaar ki pabandi kijyay, Geebat, bohtan or doosro ki zindagi may zehar gholnay say bachaiyay, sab kay liyay acha Sochiyay or sab kay liyay acha kijyay, kisi kay sath  bura na kijyay or kisi ki burai na kijyay.

Namaz ki pabandi kijyay, Namaz perhaingay, Allah kay qalam Quran Majeed ki tilawat  karaingay, Allah ka zikar karaingay, to her  cheez may khair o barkat hogee, Naik kam  kertay rahiyay or burai say bachtay rahaiyay, Allah say dua mangtay rahaiyay kay Allah hamay seedhay rastay per chalnay ki toufeeq ata farmaye, Allah hamaray dil say duniya ki mohabbat ko nikal dain, Allah hamay hamaray  nafs kay hawalay na farma, Allah hamay mot ki sakhti say bacha, Khatma Iman per farma,  Allah hamay qabar kay azab or jahanum ki  aag say bacha.  Please offer 5 times Namaz on time, Recite Durood Shareef as much as possible, Surah Yaseen, Surah Rehman, Surah Mulk, Surah Waqia, Ayatul Kursi, Last 2 ayat of Surah Baqrah, Surah Fatiha, Surah Falaq, Surah Nas, Surah Kafiroon, Surah Ikhlas, Surah Kosar, her roz perhnay ka aihtamam karay.


Namaz ki pabandi kijyay, Quran Majeed ki Tilawat her roz kijyay, Quran or Sunnat kay mutabiq zindagee guzarain, Tahajud ki Namaz perhnay ki koshish kijyay, apki jo filed hay us ki zada say zada knowledge hsail karain, free time may tution perhanay ki koshish kijyay, Zada say Zada Dua Mangiyay, English communication skills ko zada say zada improve karain.

Assalam o Alaikum Warehmatullah Wabarakatuhu,

Tamam Alam kay insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say or seekhnay say ata hay, isi mehnat kay liyay tableeg ka kam hota hay jo Hazrat Adam (A.S) say suroo huwa, Hazrat Adam (A.S) say lay ker Hazrat Muhammad (S.A.W) tak taqreeban 1 Lac 24 Hazar Paigamber aye , jo her Dor may insano ka taluq Allah say jornay may lagay rahay , deen Islam ko pehlanay ki koshish kertay rahay or Deen Islam ko pehlanay kay liyay sakht say sakht taqleefo ka bhe berdasht kertay rahay,likin Islam ko pehlanay kay liyay kisi bhe mushkil or takleef say na gahbraye , Hazrat Muhammad (S.A.W) Allah kay akhri Nabi or Rasool hay, Khatam - e - Nabuwat ki barkat say ab islam ko pehlanay ki zimadari tamam musalmano per hay , kiun kay hum ko pata hay kay hum akhri ummat hay ab koi Nabi ya Rasool nahee aye ga , Ab yay hum musalmano ki zimadari hay kay pehlay hum khud deen seekhay or us per amal keray or deen islam ko seekhnay kay liyay apna waqt Allah ki rah may lagaye or phir is deen e islam ko pehlanay kay liyay poorie duniya may jaye or islam ka bol bala farmaye.

Kapra layna ho kapray bechnay walay kay pass jana perhta hay. Sabzi layna ho to sabzi bechnay walay kay pass jana perhta hay , Agar mobile khareedna ho to mobile bechnay walay kay pass jana perhta hay bilkul isi tarah agar ap ko Deen e Islam seekhna ho to ap ko Allah walo kay pass jana perhay ga.

Allah say hota hay or Allah ki siwa kisi or say nahee hota “.Tamam Alam kay insan ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say or deen e islam seekhnay say ata hay , behayai fahashi or burai say pak zindage guzarnay kay liyay Allah kay deen ko seekhiyay , Allah ki taraf rujoo keray , burai say bachaiyay or Quran Or Sunnat kay mutabiq zindage guzarnay ki koshish kijyay. Allah hamay hidayat day (Ameen). Duniya kay tamam insano ki kamyabi pooray kay pooray deen may hay or deen zindage may mehnat say ata hay , isi mehnat kay liyay tableeg ka kam hota hay jo Hazrat Adam (A.S) say suroo huwa, Hazrat Adam (A.S) say lay ker Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) tak taqreeban 1 Lac 24 Hazar Paigamber aye , jo her Dor may logo ka taluq Allah say jornay may lagay rahay , deen Islam ko pehlanay ki koshish kertay rahay or Deen Islam ko pehlanay kay liyay sakht say sakht taqleefo ka bhe samna kiya likin Islam ko pehlanay kay liyay kisi bhe mushkil or takleef say nahee ghabraye , Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) Allah kay akhri Nabi or Rasool hay, Khatam - e - Nabuwat ki barkat say ab islam ko pehlanay ki zimadari tamam musalmano ki hay , kiun kay hum ko pata hay kay hum akhri ummat hay ab kio Nabi ya Rasool nahee aye ga , Ab yay hum musalmano ki zimadari hay kay pehlay hum khud deen seekhay or us per amal keray or deen islam ko seekhnay kay liyay apna waqt Allah ki rah may lagaye or phir is deen e islam ko pehlanay kay liyay poorie duniya may jaye or islam ka bol bala farmaye.

Jis insan nay koi naik kam ya naik amal kiya or us ko agay pehlaya , to jab tak woh naik amal is duniya may hota rahay ga to us ka sawab us insan ko bhee milta rahay ga jis nay yay naik kam kiya ya ya naik kam kisi ko sikhaya hoga yahan tak us kay intiqal kay bad bhee us ko sawab milnay ka silsila jaree rahay ga, isi tarah agar kisi insan nay koi bura kam ya bura amal kiya or agay kisi ko sikhaya ya us kay buray amal per kisi or nay amal kerna suroo kerdiya  to jab tak woh bura amal ya bura kam is duniya may hota rahay ga, us buray kam ka gunah us insan ko bhee milta rahay ga jis nay yay bura amal ya burai ka kam suroo kiya hoga  yahan tak us kay intiqal honay kay bad bhe .

Namaz deen ka sutoon hay , Namaz Momin ki Mairaj hay , Namaz Jannat ki Kunji hay , Namaz ALLAH nay hum sab Musalman Mard , Orat , Borhay , Jawan , Balig sab per farz kihay , Namaz Deen e Islam ka Aik bohat hi zaroorie rukun hay , ALLAH nay hum Musalmano per din may 5 waqt ki Namaz Farz ki hay , Islam may Namaz ki bohat Aihmiyat hay , Namaz ka ada na kerna , us may suste kerna bohat bara gunah hay , Namaz insan ko buraee say rokte hay , Achay kam ki taraf Ragib kerte hay , Mard ko Namaz Bajamat ada Masjid may ja ker kerni chaiyay ,ha Nafil or Sunnat ap gher may perh saktay hay ,Orat Namaz gher he may perhaingee , QURAN MAJEED may bar bar Namaz perhnay or Zakat ada kernay ka hukum aya hay , Jo Namaz nahee perhta woh ALLAH kay hukum ki khilaf warze kerta hay , ALLAH kay hukum ko nahee manta hay , jis ALLAH nay usay paida kiya hay , us ka hukum na man na kahan ki Aqalmande hay , is liyay Bajamat or waqt per Namaz ada kerni chaiyay or bilawaja Namaz na perhnay may suste nahee kerni chaiyay or Namaz ko Qaza bhee nahee kerna chaiyay , agar kisi ki Namaz qaza ho bheejaye to us say chaiyay kay Qaza Namaz jald az jald perhay , Fajar or Isha ki Namaz khas tor per perhne chaiyay , kiun kay yay Namaz sab per bharee hotee hay or sab say choot jate hay , Din ka aghaz Fajar ki Namaz perh ker kerna chaiyay or Din ka ikhtitam Isha ki Namaz perh ker kerna chaiyay , Tahajud ki Namaz ki bohat fazeelat hay , or her Namaz kay bad khas tor per Dua mangnee chaiyay , kiun kay Dua kay bagair Namaz complete nahee hote hay ,agar kisi insan ko kisi cheez ki zaroorat ho to usay 2 Rakat Nafil (Namaz e Hajat) pernhee chaiyay or us kay bad ALLAH say Dua mangnee chaiyay, ALLAH us ki Dua ko zaroor qabool farmata hay , Fajar ki Namaz kay foren bad sojanay say Rizq may tangi hoti hay , Suraj nikalnay kay bad Sona Afzal hay , Soraj nikalnay kay 10 - 15 minute bad Ishraq ka waqt hota hay , koshish kijyay kay 4 rakat yani 2 Rakat Nafil Namaz e Isharaq or us kay bad phir 2 Rakat Nafil Namaz e Ishraq perhkar sojain is kay baray fazail hay , Jab masjid may Namaz perhnay jaye to thora jaldi chalay jaye or 2 rakat Nafil Namaz Tahiyatul wudhu or 2 Rakat Nafil Namaz Tahiyatul Masjid perhlay in dono Namaz ki bohat zada fazeelat hay , isi tarah Magrib ki Namaz kay bad 2 rakat Namaz-e-Awabeen us kay bad phir 2 rakat Namaz-e-Awabeen us kay bad phir 2 rakat Namaz-e-Awabeen  yani 6 Rakat Nafil Namaz perhni chiyay, Namaz-e-Awabeen perhnay ki bohat zada fazeelat hay,is kay ilawa Fajar or Asar kay bad khas tor per Allah ka zikar kijyay , Namaz ki pabanadi kijyay or saaf sutray rehnay ki koshish kijyay, safai nisf iman hay ap saaf hongay to ap ki koi namaz nahee chootay gee , apnay ap ko or apnay dimag or taqat ko positive kam kay liyay use kijyay or is ko galat kam may use ker kay apni deen or akhirat ko barbad na kijyay , haram kam na kijyay , Haram kam kernay say bachiyay , Haram kamanay say bachiyay , Haram khanay say bachiyay , Fahasi or uryani say bachiyay , apnay dil o dimag ko ganday or pur ganda khayal say pak saaf rakhiyay or islam nay jis kam say roka hay us say ruk jaiyay , jis cheez ko haram karar diyay hay us ko na karain .Quran majeed ki tilawat zaroor kijyay , jin per zakat farz hay mustahik logo ko zakat daynay ka aihtamam kijyay , Her Namaz kay bad Allah say dua zaroor mangiyay , apnay liyay , apnay maa baap , behan bhai , tamam musalmano or khusoosan Pakistan or karachi kay halat ki behtri kay liyay Dua mangiyay ,behayi kay kam say bachnay or naik amal kernay ki koshish kijyay , Allah hum sab ko hidayat day , Buray kam say bachnay or naik amal kernay ki toufeeq ata farmaye (Ameen). Dua Kay Aghaz May Pehlay Allah Ka Zikar Subhanallah E Wabihamdihi , Subhanalahhil Azeem , Subhanallah , Alhamdolillah , Allaah O Akbar , Us Kay Bad Hazrat Muhammad (Sallallahooalahi-Wasallam) Per Durood Behjna Chaiyay Or Us Kay Bad Dua Mangni Chaiyay Or Dua Kay Ikhtitam Per Bhe Durood Shareef Perhna Chaiyay , Kiun Kay Dua Kay Bagair Namaz Complete Nahee Hote Hay.

Zikar Azkaar Ki Bohat Fazeelat Hay , Insan Ko Apna Waqt Zaya Nahee Kerna Chaiyay,Jab Bhee Farig Ho Allah Ka Zikar Kertay Rehna Chaiyay , Zikar Allah Karay Chaiyay Ap Wazoo Ki Halat May Ho Ya Nahee , Chaltay Phirtay , Uthtay Beth Tay , Safar May , Her Waqt Allah Ka Zikar Kijyay , Quran Majeed Ki jo Surah ap  ko Yad Hay Perhtay Rahay , Allah Nay Jo Naimtain De Hay Us Ka Her Waqt Shukar Ada Kertay Rahay , , Quran Majeed ki her roz tilawat kijyay, Quran majeed ko perhaiyay or us ko samajhnay ki bhe koshish kijyay kay Allah nay Quran may insan ko kin cheezo ko kernay ka hukum diya or kin cheezo say Allah nay ruk janay ka hukum diya, Zindagee kaisay guzarni hay or zindagee ka maqsad kiya hay yay sab kuch ap ko maloom hog jab ap Quran ko samajh ker perhaingay, Subah uth ker Surah Rehman ki or Surah Yaseen ki tilawat kijyay , raat ko Surah Mulk or Surah Waqiya ki tilawat kijyay, Zikar Azkaar ki bohat fazeelat hay , Insan ko apna waqt zaya nahee kerna chaiyay jab bhee farig ho ALLAH ka zikar kertay rehna chaiyay , subah 100 dafa Durood Shareef , 100 dafa Astagfar , 100 dafa Teesra kalma perhna chaiyay or isi tarah raat ko bhee yay 3 tasbeeh perhnee chaiyay , isi tarah her waqt Pehla Kalima perhna chaiyay , Astagfar perhna chaiyay or is kay sath sath SUBHANALLAH , ALHAMDOLILLAH , ALLAH O AKBAR , Ayatal Qurse perhnee chaiyay , 4 Qul (SURAH IKHLAS , SURAH KAFIROON , SURAH NAAS , SURAH FALAK) perhnI chaiyay , Surah Fatiha perhnee chaiyay , matlab yay kay jo kuch bhe ap ko yad hay ap perhain, ALLAH kay Zikar may masroof rehna chaiyay , time zaya nahee kerna chaiyay . Amal ka Daromadar Niyat per hay , hamay jo bhe kam kerna chaiyay woh ALLAH ki Raza kay liyay kerna chaiyay , kisi ko dikhanay kay liyay nahee , kay may Namaz perhoonga to sab log mujhay Naik samjhay gay , May Zakat doonga to log mujhay bohat Naik or sakhee samjhay gay , matlab yay kay koi bhe kam jo karay woh sirf ALLAH ki raza kay liyay karay kay ALLAH hum say khush ho jaye bas , yay nahee kay duniya ko khush kernay kay liyay or duniya may apna nam roshan kernay kay liyay agar aisa koi karay ga ya is niyat say jo bhe kam kiya jaye ga to us ka ajar kuch bhe nahee milay ga balkay sirf or sir nuqsan hoga , apni Niyat ko saaf rakhay , jo kam bhe karay sirf or sirf ALLAH ki Raza kay liyay or ALLAH ko khush kernay kay liyay karay . Rat ko sotay waqt , sotay waqt ki Dua perhni chaiyay , Surah e Fatiha , Surah Ikhlas , Surah e Kosar , Ayatul Kursi or Surah Baqra ka akhri Rukoo perhna chaiyay. Surah Fatiha , Surah Kafiroon , Surah Naas , Surah Falaq and Surah Ikhlas ki tilawat kijyay , Her Farz Namaz kay bad Ayatal Kursi perhiyay , her waqt Astagfar or Durood Shareef perhnay ka aihtamam kijyaay. Surah Yaseen , Surah Mulk or Surah Rehman ki tilawat kijyay .

Read Durood Shareef as much as possible ,If any one recites Durood Shareef from any place, any part of the world from any distance, it actually reaches the Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallim) immediately. Allah has appointed several Angels who are given exclusive duty to collect all Durood Shareef and present the same before the Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallim) immediately

Aayat-ul-kursi benefits: recite while leaving house, 70,000 angles will protect you from all side. Recite while entering home, poverty would not enter your home. Recite after wudhu, it raises your status 70 times. Recite before sleeping 1 angel will protect you whole night.



 
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai

Jab se bani hai duniya aaye hazaro laakho
Baaki raha na koi mitti me sab samaye
Iss baat ko na bhulo sabka yahi hashar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Ye aali shan Banglay wahan kaam ka nahin hain
Makhmal main sonay walay maati main so rahay hain
Do Gaz zamin ka tukra mitti ka tera ghar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Mahalo me sone wale mitti me so rahe hai
Shaho gadha yaha sab ek saath so rahe hai
Dono huye barabar yeh maut ka asar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Aankho se tune apni janaze dekhe
Haatho se tune apne dafnaye kitne murde
Anjam se tu apne kyu itna bekhabar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai


Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Jehan main hain ibrat k her so namoonay
Magar tujh ko andha kiya rang-o-boo nay

Kabhi ghor se bhee yeh dekha hai tu nay
Jo mamoor thay who mehal ab hain soonay

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Mile khak main ahl-e-shan kese kese
Makeen ho gaye la-makan kese kese

Huwe naamwar be nishan kese kese
Zamee kha gayee nojawan kese kese

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Zameen k huwe log paiwand kia kia
Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia

Dikhae ga tu chand roz kia kia
Ajal ne picharay tan-o-mand kia kia


Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Ajal ne na kisra hee chora na dara
Isi se sikandar sa fateh bhee hara

Her ek chor k kia kia hasrat se dhara
Para reh gaya sab yahein that sara

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Tujhe pehle bachpan ne barson khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnu banaya

Burhape ne phir aa k kia kia sataya
Ajal tera ker de gi bilkul safaya

Yehi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Ho zeenat nirali, ho fashion nirala

Jiya kerta hai kia yoon hi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokay main dala

Who hai aish-o-ishrat ka koi mehal bhee
Jehan taak main khari ho ajal bhee

Bas ab is jahalat se tu nikal bhee
Yeh tarz-e-mayeeshat ab apna badal bhee

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kia cheze marghoob tujh ko

Nahi aqal itni bhee majzoob tujh ko
Samajh lena ab chahiye khoob tujh ko

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Burhape se pa ker payam-e-kaza bhee
Na chonka na cheetah na sambhla zara bhee

Koi teri ghaflat ki hai inteha bhee
Junoon chor ker ker apnay hosh main aa bhee

Jab is bazm se chal diye dost aksar
Aur uthte chale ja rahe hain barabar

Her waqt paish-e-nazar hai yeh manzar
Yehan per tera dil behelta hai q ker

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai

Jehan main kahein shor-e-matam bapa hai
Kahein fikr-o-faqa se aah-o-baqa hai

Kahein shikwa jor-o-makr-o-dagha hai
Garz her teraf se yehi bas sada hai

Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai


JazakAllahu  Khairan !Remember me in your valuable prayers and also the entire Ummah. May Allah the Almighty bless us Ameen.


If you like it, please share with your contacts and be the part in spreading the knowledge to Ummah

JazakumAllah Khairun,

No comments:

Post a Comment