Tuesday, February 18, 2020

Famous Naat Lyrics, Junaid Jamshed and other famous Naat Khuwan

 Home Page Home Page 1 Home Page 2  All post link of this website/Blog

 Urdu Islamic Article HR Email Ids   All Links: Islamic Videos 

how to create cv in ms word  One Dollar Shop Karachi, Shopping Mall in Karachi 

Latest School jobs   Latest Teaching  jobs  Ramazan Masail Roza Zakat Album

Art & Craft, ASMR Videos      Karachi famous Bazar     Karachi Shopping Places

Karachi famous Parks, Karachi famous Places       Northern areas of Pakistan

Karachi Top Islamic  School           Online Earning Free Course

zindagee kaisay guzarain    zindagee ka maqsad           Quran ki Tilawat Kijyay

Naiki ki dawat dayna   Dua e Anas    The purpose of life / zindage ka maqsad videos

Zikar Azkaar how to create cv in ms word    School HR ID   Ulema Ikram Bayanat

Listen Quran Majeed    Read Quran Majeed   Social Media    Ramzan

Khulasa Quran Majeed   Latest jobs    Karachi School    Free Islamic Gift 

WHATSAPP GROUP    HR Stuff   Tips & Trick for HR Student, Recruiter, Job Seeker    RSMZ Tutor Academy Karachi 

TikTok Video    Dawat o Tableegh   Napaki,Wazoo,Ghussal   QURAN URDU TRANSLATION

Zikar Azkaar Videos   Zikar Azkaar Album   Zikar MOLANA YUNUS PALANPURI

Message for Girls and Boys    Message for  Aurat Lerki Khawateen   Jobs on Facebook

Dua e Anas   MOLANA YUNUS PALANPURI   Quran Majeed Surah   Islamic Reminder

zindage ka maqsad   Raat kay amal   Hadsat say bachnay ki dua    Dua e Qunoot Nazla

Namaz ka tariqa  Namaz Ka Tariqa  Islamic Message  social media   

zikar Azkaar for daily routine    Madni Masjid Karachi   Dawat o Tableegh     Islamic Books

Namaz ka practical tariqa    Karachi Ijtima Videos    Sharam o Haya   Islamic Messages

Karachi famous places  aqwal e zareen  Recite Quran Majeed Surah  

Saas Bahu kay jhagray   Junaid Jamshed Naat    Juniad Jamshed Bayan

Saeed Anwer bayan   Saeed Anwer bayan    Nausheen Konen Bayan     Recite  Quran Majeed

Listen Quran Majeed    Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed   Khulasa Quran Majeed

Khulasa Quran Majeed    What is Islam   Sunnat e Nabvi (SAW)   Sunnat e Nabvi (SAW)

Cancer ka Ilaj   Quran Majeed Message    Namaz kay Masail     Allah ka Azaab    

Allah ka Azaab     Allah ka Azaab    Allah ka Azaab    Namaz Quran & Tableegh

All Links: Islamic Albums (Quran, Namaz, Zakat, Ramzan, Khulasa Quran, Tarjuma Quran)

   All Links: General Islamic Albums  Karachi Bachat Bazar, Itwar Bazar, Lunda Bazar  

Zakat Masail     Zakat Islamic Videos     Qurbani Masail       Qurbani Islamic Videos         

Islamic Reminder, Life changing Islamic Bayan, Most Popular Islamic Bayan on Youtube 

One Dollar Shop Karachi  Karachi Shopping Mall, Branded Shoes, Branded handbags, Makeup  

Karachi Shopping Mall, Famous Shop , Karachi Bachat Bazar, Itwar Bazar, Lunda Bazar 

Best collection of Zikar Azkaar, Best Zikar Azkaar for daily routine Life

  All post link of this website/Blog  Karachi Gaming Channel Youtube Channel    

  Karachi Ladies Shopping , Bazaar, Shop youtube channel    Famous Islamic Youtube Channel 

Qurbani ka maqsad, Qurbani kay Masail, Hajj ka Tariqa, Zil Hajj ki fazilat, Youme Arafa ka Roza




100 Rupees shop in Karachi, household items & Kitchen Gadgets, Whole Sale Shop, RJ Shopping Mall

https://www.youtube.com/watch?v=awgkvpXkwyY




Youtube Channel Name: Explore Karachi with Rahima 
Please subscribe this YouTube channel

For more interesting videos subscribe Explore Karachi with Rahima youtube Channel, 300+ Videos are already uploaded on this channel

1) Karachi famous Parks, amusement Parks, Sindbad,Askari Park, Kashmir Park, Taleemi Bagh, PAF Museum
2) Karachi Bazar, Bachat Bazar, Itwar Bazar, Budh bazar, Lunda Bazar, Landa Bazar, Sunday Market, Sunday Bachat Bazar, Aladdin Sunday bachat Bazar
3) One Dollar Shop Karachi, Shopping Mall in Karachi, Karachi famous shops, Saving World, Frakin Store, Discount World, Branded and Used Items
4) Ladies Branded Suit, Garments Shop, Ladies Suit, Ladies Shoes, Ladies Abaya, Stitched & Unstitched Suit
5) Cow Mandi, Gaye, Birds, Pets Lovers, Adorable Animal, Pets & Animal, Exotic Birds, Bakray, Bakra Eid
6) Karachi School, Islamic schools in karachi, O Level school in karachi , A level school karachi, top 10 school in karachi, O/A level school karachi
7) HR Videos for HR Professional, Jobs in Karachi, How to Find Jobs on Whatsapp, Facebook, Linkedin 
8) Northern areas of Pakistan
10) Entertainment Videos
11) Youtube Shorts (Cow Mandi, Gaye, Birds, Pets Lovers, Adorable Animal, Pets & Animal, Exotic Birds, Bakray, Bakra Eid)
9) Free Online Earning Courses



aqwal e zareen in urdu, Sunheray moti, islamic message of the day, message of the day



https://www.youtube.com/watch?v=mRgM5SUh9c4



aqwal e zareen in urdu, Sunheray moti, islamic message of the day, message of the day



https://www.youtube.com/watch?v=CSI29ukP1fw

aqwal e zareen in urdu, Sunheray moti, islamic message of the day, message of the day




top 10 school in karachi, islamic school, karachi school, O/A level School #viral #subscribe




Jaga Jee Laganay Ki Dunya Nahin Hai Lyrics



Urdu Lyrics, Urdu Roman Lyrics, and English Translation Verse 1:
Anokhi waza hai sare zamane se nirale hain,
Yeh aashiq kaunsi basti ke Ya Rab (SWT) Rehne Wale Hain.
انوکھی وضع سارے زمانے سے نرالے ہیں
یہ عاشق کونسی بستی کے یا رب، رہنے والے ہیں
Strange is the nutrition, (they are) apart from the whole world
These lovers, O Lord, to which town do they belong…

Verse 2:
Jahan mein hain ibrat kay har so namunay,
Maghar tujh ko undha kiya rang-o-buu nay,
Kabhi ghor say bhi yeh dekha hai tunay?
Jo aabad thay woh mahal abb hain sunay.

جہاں میں ہیں عبرت کے ہر سُو نمونے
مگر تجھ کو اندھا کیا رنگ و بُو نے
کبھی غور سے بھی دیکھا ہے تو نے
جو معمور تھے وہ محل اب ہیں سُونے



Many examples are there of taking heed in the world
But the sight and sound has made you blind..
Have you ever pondered on this aspect?
The castles which were once liven in are now deserted Verse 3:
Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai,
Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai.
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of heartly affiliations
This is a place of heed, it is not a jest… Verse 4:
Mile khaak main ahl-e-shaan kaise kaise,
Makeen ho gaye la makaan kesay kesay,
Hue name-war pe nishaan kaise kaise,
Zamin khagayi nojwaan kaisay kaisay.
ملے خاک میں اہلِ شاں کیسے کیسے
مکیں ہو گٔیٔے لا مکاں کیسے کیسے
ھؤے ناموَر بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گٔیٔ نوجواں کیسے کیسے
Many people of status have now mixed with earth
Many with homes are now homeless
Many people of big name have become nameless
Many types of people have been engulfed by earth Verse 5:
Ajal nay na kisra hi choda na dara,
Issi say Sikander safate behara(pe hara),
Har ek leke kya kya na hasrat sidhara,
Pada rehgaya sab yunhi thaat sara.
اجل نے نہ کسریٰ ہی چھوڑا نہ دارا
اسی پہ سکندر فاتح بھی ہارا
ہر ایک چھوڑ کے کیا حسرت سدھارا
پڑا رہ گیا سب یہیں کھاٹ سارا
Time did not leave Kisraa to be!
To this same “time” Alexander got defeated
Every one left behind their wishes and left
All that will be left here (in this world) Verse 6:
Tujhay pehlay bachpan mein barsoon khilaya,
Jawani nay phir tujhko majnu banaya,
Burhapay nay phir aakay kia kia sitaya,
Ajal tera kerday gi bilkul sifaya.
تجھے پہلے بچپن میں برسوں کھلایا
جوانی میں پھر تجھ کو مجنوں بنایا
بڑھاپے نے پھر آ کے کیا کیا ستایا
اجل تیرا کر دے گی بالکل صفایا
First it made you play in the childhood
In the youth it made you a lover
Old age then troubled you so much
“Time” will clear you completely Verse 7:
Yehi tujhko dhun hai rahoon sab say bala,
Ho zeenat nirali ho fashion nirala,
Jiya karta hai kia yoonhi mernay wala?
Tujay husnay zahir nay dhokay main dala.
یہی تجھ کو دھُن ہے رہُوں سب سے بالا
ہو زینت نرالی ہو فیشن نرالا
جیا کرتا ہے کیا یونہی مرنے والا؟
تجھے حسنِ ظاہر نے دھوکے میں ڈالا
You are over concerned that you stay above all
That you have definitive beauty and a definitive fashion
Is this the way anyone lives who (knows) he will die?
You got deceived with the apparent beauty Verse 8:
Woh hau aish-o-eishrat ka koi mahal bhi?
Jahan taak mein har ghari ho ajal bhi,
Bus ab apnay is jehal say tu nikal bhi,
Yeh tarzay maeshat ab apna badal bhi.
وُہ ہے عیش و عشرت کا کؤی محل بھی؟
جہاں ساتھ میں کھڑی ہو اجل بھی
بس اب اس جہالت سے تُو نکل بھی
یہ طرزِ معیشت اب اپنا بدل بھی
Is that castle of lofty life even a castle
When there is “Time” standing next to it
Enough now! Come out of this ignorance
And change this way of earning of yours Verse 9:
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujhko,
Hui wah kya cheez marghub tujhkom,
Nahin aqal itni bhi majzoob tujhko,
Samajh lena ab chahiye khoob tujhko.
یہ دنیأے فانی ہے محبوب تجھ کو
ہؤی واہ کیا چیز مرغوب تجھ کو
نہی عقل اتنی بھی مجزوب تجھ کو
سمجھ لینا چاہیے اب خوب تجھ کو
This finite world is beloved to you
Its amazing what (thing) has become your (means of) pleasure
Do you, O drowned one (in its endeavors) not have intelligence?
You should have understood it by now! Verse 10:
Burr`hapay say paa kar payam-e-qaza bhi,
Na chaunka na cheeta na samnbhla zara bhi,
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhi,
Junoon chor kar apnay hoshon main aa bhi.
بڑھاپے میں پا کے پیامِ قضا بھی
نہ چونکا نہ چیتا نہ سمبھلا ذرا بھی
کؤی تیری غفلت کی ہے انتہا بھی؟
جنون چھوڑ کر اپنے ہوش آ بھی
In the old age, even after realizing your destiny
You didn’t jolted, neither corrected your ways
Is there a limit to your ignorance..?
Leave this obsession and become aware! Verse 11:
Jab is bazm say chal diye dost aksar,
Aur uthtay chalay ja rahay hain baraabar,
Har waqt paish-e-nazar hai yeh manzar,
Yahan par tera dil behelta hai kionkar.
جب اِس بزم سے دوست چل دیے اکثر
اور اُٹھے چلے جا رہے ہیں برابر
ہر وقت پیشِ نظر ہے یہ منظر
یہاں پر تِرا دل بہلتا ہے کیونکر
When all the friends have departed from this world
And continuously they are leaving still,
The view is in front of you as always..
Then (knowing all that) why does your heart is satisfied with it? Verse 12:
Jahan main kahin shor-e-maatam bapa hai,
Kahin fikr-o-faqah say aah-o-baqa hai,
Kahin shikwa`jor-o-makr-o-dawa hai,
Gharz har taraf say yehi bas sada hai.
جہاں میں کہیں شورِ ماتم بپا ہے
کہیں فِکر و فاقہ سے آہ و بکا ہے
کہیں شکوہ جور و مکر و دغا ہے
ہر ہر طرف سے بس یہی صدا ہے
There are screams and cries all around the world
Some cry out of destituteness and some of hunger
Some complain of deceipt and fraud
From all corners, thus is all the calling… Verse 13:
Jaga Ji Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai,
Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai.
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of heartly affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…

Urdu Poetry Information:
Sana Khawan: Owais Raza Qadri Poetry Written By: Khwaja Azizul Hassan Majzoob (Rahmatullahi Alayh) English Translation: Abu Hajira bin Abdul Hameed






Jaga Jee Laganay Ki Dunya Nahi Hai | Nazm | Khwaja AzizUl Hassan Majzoob | Urdu Poetry | Poetry

Tuesday, January 30, 2018



انوکھی وضع ہے سارے زمانے سے نرالے ہیں

یہ عاشق کونسی بستی کے یا رب، رہنے والے ہیں

Strange is the nutrition, (they are) apart from the entire world

These lovers, O Lord, to which town do they belong



جہاں میں ہیں عبرت کے ہر سُو نمونے
مگر تجھ کو اندھا کیا رنگ و بُو نے
کبھی غور سے بھی دیکھا ہے تو نے
جو معمور تھے وہ محل اب ہیں سُونے



Many examples are there of taking heed in the world
But the sight and sound has made you blind..
Have you ever pondered on this aspect?
The castles which were once lived in are now deserted




جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of hearty affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…


ملے خاک میں اہلِ شاں کیسے کیسے
مکیں ہو گٔیٔے لا مکاں کیسے کیسے
ھؤے ناموَر بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گٔیٔ نوجواں کیسے کیسے
Many people of status have now mixed with earth
Many with homes are now homeless
Many people of big name have become nameless
Many types of people have been engulfed by earth




اجل نے نہ کسریٰ ہی چھوڑا نہ دارا
اسی پہ سکندر  سافاتح بھی ہارا
ہر ایک چھوڑ کے کیا حسرت سدھارا
پڑا رہ گیا سب یہیں کھاٹ سارا
Time did not leave Kasara to be!
To this same “time” Alexander got defeated
Everyone left behind their wishes and left
All that will be left here (in this world)




تجھے پہلے بچپن میں برسوں کھلایا
جوانی میں پھر تجھ کو مجنوں بنایا
بڑھاپے نے پھر آ کے کیا کیا ستایا
اجل تیرا کر دے گی بالکل صفایا
First it made you play in the childhood
In the youth it made you a lover
Old age then troubled you so much
“Time” will clear you completely




یہی تجھ کو دھُن ہے رہُوں سب سے بالا
ہو زینت نرالی ہو فیشن نرالا
جیا کرتا ہے کیا یونہی مرنے والا؟
تجھے حسنِ ظاہر نے دھوکے میں ڈالا
You are over concerned that you stay above all
That you have definitive beauty and a definitive fashion
Is this the way anyone lives who (knows) he will die?
You got deceived with the apparent beauty


وُہ ہے عیش و عشرت کا کؤی محل بھی؟
جہاں ساتھ میں کھڑی ہو اجل بھی
بس اب اس جہالت سے تُو نکل بھی
یہ طرزِ معیشت اب اپنا بدل بھی
Is that castle of lofty life even a castle
When there is “Time” standing next to it
Enough now! Come out of this ignorance
And change this way of earning of yours


یہ دنیأے فانی ہے محبوب تجھ کو
ہؤی واہ کیا چیز مرغوب تجھ کو
نہی عقل اتنی بھی مجزوب تجھ کو
سمجھ لینا چاہیے اب خوب تجھ کو
This finite world is beloved to you
Its amazing what (thing) has become your (means of) pleasure
Do you, O drowned one (in its endeavors) not have intelligence?
You should have understood it by now!

بڑھاپے میں پا کے پیامِ قضا بھی
نہ چونکا نہ چیتا نہ سمبھلا ذرا بھی
کؤی تیری غفلت کی ہے انتہا بھی؟
جنون چھوڑ کر اپنے ہوش آ بھی
In the old age, even after realizing your destiny
You didn’t jolted, neither corrected your ways
Is there a limit to your ignorance..?
Leave this obsession and become aware!




جب اِس بزم سے دوست چل دیے اکثر
اور اُٹھے چلے جا رہے ہیں برابر
ہر وقت پیشِ نظر ہے یہ منظر
یہاں پر تِرا دل بہلتا ہے کیونکر
When all the friends have departed from this world
And continuously they are leaving still,
The view is in front of you as always..
Then (knowing all that) why does your heart is satisfied with it?




جہاں میں کہیں شورِ ماتم بپا ہے
کہیں فِکر و فاقہ سے آہ و بکا ہے
کہیں شکوہ جور و مکر و دغا ہے
ہر ہر طرف سے بس یہی صدا ہے
There are screams and cries all around the world
Some cry out of destituteness and some of hunger
Some complain of deceit and fraud
From all corners, thus is all the calling…




جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of hearty affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…





Poet Name: Khawaja Azizul Hassan Majzoob (Rahmatullahi Alayh)

English Translation: Abu Hajira bin Abdul Hameed

Read more at:  http://www.islamiclyrics.net/owais-raza-qadri/jagah-ji-lagane-ki-duniya-nahi-hai/





https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhA-8clYBOpCoomUZT1TLxaVFLYaS2lvPda_gDRI05DalXl3sk7iFNjnV5OkUr9hyphenhyphen-vC-GhLGT-3NqYwKMCXT8nvhZAF8yNzR6oE4mUUzNpqixD7v35iN0bfFHu1gliX7h7UUwD11dmM9k7/s320/Untitled.png




https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEh2OwjDpgE0jMHtyMsnBvwFPNRAm3zuwRy0SH9M9NecSqk7_K2BEayZLe78Y1OMgqT2u7PqBscIThx5uLntQKXRet3jpwpbKscRQPnXe47PfIj7EYBon7xt3ZA90lOHVzzULU8ZzRtm6iU/s640/la+ilaha+illahu+Muhammadur+Rasool+Allah+urdu+kalma+e+tayyeba.jpg




click on the following link to see all time best post of sharing is caring






Click on the following For Islamic Video, Islamic Wazaif and Zikar Azkaar for daily routine life of muslim (All time best post of this blog "Sharing is caring")




♪ Jaga Ji Lagane Ki Duniya ♪ official lyrics

Anokhi Waza Hai Saray Zamanay Say Niralay Hain
Yeh Aashiq Kaunsi Basti Kay Yaa Rab Rehnay Walay Hain
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
Burr'haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya
Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala
Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Burr'hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi
Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai
Kahin Shikwa'Jor-o-Makr-o-Dawa Hai
Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Ha





https://naatepaak.com/urdu-lyrics/


Jab tu paida hua kitna majboor tha
Ye jahan teri sochon se bhi door tha

Haath paaon bhi tab tere apne na the
Teri aakhon me duniya ke sapne na the

Tujh ko aata tha jo sirf rona hi tha
Doodh pi ke tera kaam sona hi tha

Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil me basaya tha maa ne teri

Maa ke saye me parwan chadhne laga
Waqt ke saath qad tera badhne laga

Dheere dheere tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe sara jahan meharban ho gaya

Zor-e-bazu pe tu baat karne laga
Khud hi sajne laga khud sawarne laga

Ek din ek haseena tujhe bha gayi
Ban ke dulhan wo phir tere ghar aa gayi

Farz apne se tu door hone laga
Beej nafrat ka khud hi bone laga

Phir tu maa baap ko bhi bhulane laga
Teer baton ke phir tu chalane laga

Baat-be-baat tu unse ladne laga
Qayeda ek naya phir tu padhne laga

Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Ab hamara guzara nahi tere bin

Sun ke ye baat tu taish me aa gaya
Tera gussa tere aql ko kha gaya

Josh me aake tune ye maa se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha

Aaj kahta hun peechha mera chhor do
Jo hai rishta mera tumse wo tod do

Jaao jaake kahin kaam dhandha karo
Log marte hain tum bhi kahin ja maro

Baith kar aahen bharte the wo raat bhar
Unki aanhon ka tujh pe hua na asar

Ek din baap tera chala rooth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa toot kar

Phir wo bebas ajal ko bulati rahi
Zindagi usko har din satati rahi

Ek din maut ko bhi taras aa gaya
Uska rona bhi taqdeer ko bha gaya

Ashq aankhon me the wo rawana hue
Maut ka ek hichki bahana huye

Ek sukoon uski chehre pe chane laga
Phir tu mayyat ko uski sajane laga

Muddaten ho gayin aaj boodha hai tu
Jo pada tuti khatiya pe kooda hai tu

Tere bacchhe bhi ab tujh se darte nahi
Nafraten hain mohabbat wo karte nahi

Dard me tu pukare ke oh meri maa
Tere dam se hi roshan the dono jahan

Waqt chalta rahe waqt rukta nahi
Toot jata hai wo jo ke jhukta nahi

Ban ke ibrat tu ab nishan rah gaya
Dhoondh le zor tera kahan rah gaya

Tu jo ahkam-e-rabbi bulata raha
Apne maa baap ko tu satata raha

Kaat le ab wohi tune boya tha jo
Tujh ko kaise mile tune khoya tha jo

Yaad kar ke gaya door rone laga
Kal jo tune kiya aaj hone laga

Maut maangi tujhe maut aati nahi
Maa ki soorat nigahon se jati nahi

Tu jo khaanse to aulad daten tujhe
Tu hai naasoor sukh kaun baaten tujhe

Maut aayegi tujhko magar waqt par
Ban hi jayegi teri qabar waqt par

Qadr maa baap ki agar koi jaan le
Apni jannat ko duniya me pehchan le

Aur leta rahe wo badon ki dua
Uske dono jahan uska haami khuda

Yaad rakhna tu Saghar ki is baat ko
Bhool jana na rahmat ki barsat ko

Yaad rakhna tu Anas ki is baat ko
Bhool jana na rahmat ki barsat ko


Aey allah
Iman ko hamare liye mehbub bana de
Or isko hamare dilo me muzayyan farma de
Kufr gunah or na-farmani se humko kahrayyat aata farma de
Or hum ko khamyab logo ke shamil farma de
Mera Dil Badal De, Mera Dil Badal De
Mera Ghaflat Mei Dooba Dil Badal Day
Hawa o Hirs Wala Dil Badal De
Khudaya Fazl Farma Dil Badal Day, Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day
Badal Day Dil Ki Dunya Dil Badal Day, Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day
Gunnah Gari Mein Kab Tak Umr Kaaton, Badal De Mera Rasta Dil Badal Day
Sunoon Main Naam Tera Dharkanon Mein, Maza Ajaye Moula Dil Badal De
Hata Loon Aankh Apni Ma Siwa Se, Jiyoon Mai Teri Khatir Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day
Karoon Qurban Apni Saari Khushiyan, Tu Apna Gham Ata Kar Dil Badal De
Sehel Farma Musalsal Yaad Apni, Khudaya Rehem Farma, Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day
Para Hoon Tere Dar Pe Dil Shikasta, Rahoon
Kiyn Dil Shikasta Dil Badal De
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day
Tera Ho Jaon Itni Aarzoo Hai, Bus Itni Hai Tamanna Dil Badal De
Merai Faryaad Sun Le Mere Maula, Bana Le Apna Banda Dil Badal Day
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day
Dil e Maghmoom Ko Masroor Kar Day, Dil e Pur Noor Ko Pur Noor Kar Day
Mera Zaahir Sanwar Jaaye Ilahi, Mere Baatin Ki Zulmat Door Kar Day
Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day, Maie Wehdat Pila Makhmoor Karde
Mohabbat Ke Nashe Mein Choor Kar De, Mera Ghaflat Main Dooba Dil Badal Day



Urdu Lyrics of  Hasbi Rabbi Jallallah:

حسبی ربی جل اللہ مافی قلبی غیر اللہ نور محمد صلی اللہ لا الہ الا اللہ تیرے صدقے میں آقا سارے جہاں کو دین ملا بے دینوں نے کلمہ پڑھا لا الہ الا اللہ حسبی ربی جل اللہ مافی قلبی غیر اللہ نور محمد صلی اللہ لا الہ الا اللہ سمت نبی ابو جہل گیا آقا سے اس نے یہ کہا اگر ہو نبی بتلاؤ ذرا میری مٹھی میں ہے کیا آقا کا فرمان ہوا اور فضل رحمان ہوا مٹھی سے پتھر بولا لا الہ الا اللہ حسبی ربی جل اللہ مافی قلبی غیر اللہ نور محمد صلی اللہ لا الہ الا اللہ وہ جو بلال حبشی ہے سرور دین کا پیارا ہے دنیا کے ہر عاشق کی آنکھوں کا وہ تارا ہے ظلم ہوئے کتنے اس پر سینے پر رکھا پتھر لب پر پھر بھی جاری تھا لا الہ الا اللہ حسبی ربی جل اللہ مافی قلبی غیر اللہ نور محمد صلی اللہ لا الہ الا اللہ اپنی بہن سے بولے عمر یہ تو بتا کیا کرتی تھی میرے آنے سے پہلے کیا چپکے چپکے پڑھتی تھی بہن نے جب قرآن پڑھا سن کے کلام پاک کے خدا دل یہ عمر کا بول اٹھا لا الہ الاللہ حسبی ربی جل اللہ مافی قلبی غیر اللہ نور محمد صلی اللہ لا الہ الا اللہ دنیا کے انسان سب ہی شرک و بدعت کرتے تھے رب کے تھے بندے پھر بھی بت کی عبادت کرتے تھے بت خانے ہیں تھرائے میرے نبی ہیں جب آئے کہنے لگی مخلوق خدا لاالہ الا اللہ حسبی ربی جل اللہ مافی قلبی غیر اللہ نور محمد صلی اللہ لا الہ الا اللہ

Roman Hindi Urdu Lyrics of  Hasbi Rabbi Jallallah:

Hasbi Rabbi Jallallah, Ma fi Qalbi Ghairullah

Noor-e-Muhammad Sallalla, Laailaha Illallah

Tery sadqy main aaqa sary jahan ko deen mila

Baydeeno ney kalma parha laailaha illallah

Hasbi Rabbi Jallallah, Ma fi Qalbi Ghairullah

Noor-e-Muhammad Sallalla, Laailaha Illallah

Simt-e-nabi Abu Jehal gya aaqa se usne yeh kaha

Agar ho nabi batlao zara, meri mutthi me hai kya

Aaqa ka farmaan hua aur fazl-e-rahman hua

Mutthi se pathar bolay laailaha illallah

Hasbi Rabbi Jallallah, Ma fi Qalbi Ghairullah

Noor-e-Muhammad Sallalla, Laailaha Illallah

Wo jo bilal-e-habshe hai, sarwar-e-deen ka payara hai

Duniya key har aashiq ke aakhon ka wo tara hai

Zulm hue kitne uspar seeny par rakha pathar

Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah

Hasbi Rabbi Jallallah, Ma fi Qalbi Ghairullah

Noor-e-Muhammad Sallalla, Laailaha Illallah

Apni behan se boly Umar (ra) yeh to bata kya karte the

Mery aany sy pahly kya chupke chupke parhti thi

Behan ny jab Quran parha, sun ke kalam-e-pak khuda

Dil yeh umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah

Hasbi Rabbi Jallallah, Ma fi Qalbi Ghairullah

Noor-e-Muhammad Sallalla, Laailaha Illallah

Duniya k insan sabhi shirk-o-bidat karty thy

Rab ky the bandy phir bhi but ki ibadat karty thy

But-khany hain tharaye mery nabi hain jab aaye

Kehny lagi makhlooq-e-khuda laailaha illallah

Hasbi Rabbi Jallallah, Ma fi Qalbi Ghairullah

Noor-e-Muhammad Sallalla, Laailaha Illallah

SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
Ye zameen or asmaa teri qudrat k nishan,
tu hi ibtida tou hi intiha.
Sari duniya k mehawar mai ghonjti hai
teri azaan tu la makaan

SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar

ye sary behr o bar kya hy inka safar ye sari azmatian wusatin hy by karan
wa tuiz o mantasha  wa tuzil o mantasha(quran verse)
jo chaha kardiya kun kaha  or hogaya

SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar

Mohtaj hain tery dar k sab shah ho gada
arsh o zameen par har taraf teri sana
dharkoan ki suntan hy tou hi sada
shah rug sy tou qareeb hy mery khuda

SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar

Ay Allah rahman Rahim Ay Allah tu hi karim
Mohtaj hain tery dar k sab shah ho gada
Khudaya kr nazar hum hain by khabar
shah rug sy tu qareeb hy mery khuda

SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaAllah, Alhamdulilah, La ilaha il lallaho Akbar
SubhaaaanAllaaaah……

One must admit that Junaid is best at what he does. We hope that he will come up such beautiful and spiritual Hamad’s in future as well.

 Junaid Jamshed’s New Hamd “SubhanAllah” :









Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Bhikhari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai
Bhikhari wo jise hirs-o-hawas ne maar dala hai
Mataa-e-deen-o-danish nafs ke hathon se lutwa kar
Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadhwa kar

Luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal me
Sahara lene aya hoon tere kaabe ke aanchal me

Gunahon ki lipat se qaynat-e-qalb afsurda,
Irade muzmahil, himmat shikasta, housle murda

Kahan se laaun taqat dil ki sachhi tarjumani ki
Ke kis jhanjhal me guzri hain ghadiyan zindgani ki

Khulasa ye ke bas jal bhun ke apni roo-siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se

Tere darbar me laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke layaq har amal se hath hain khali

Ye tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula
Sarapa noor hai ek mohabbat-e-anwaar hai maula

Teri chokhat ke jo adaab hain main un se khali hun
Nahi jisko saleeqa mangne ka wo sawaali hoon

Zuban ghalt-e-nadamat dil ki nakas tarjumaani per
Khudaya raham meri iss zabaan-e-ijz-zabani par

Ye aakhen khushk hain, yaa rab inhe rona nahi aata
Sulagte daag hain dil me, jinhe dhona nahi aata

Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon





 Junaid Jamshed Naat - Mai Tu Ummati Hoon Lyrics
Mai Tu Ummati Hoon is a nasheed by Junaid Jamshed which was released on 2016. Its lyrics are as shown below.

Mai Tu Ummati Hoon Aye Shah e Umam
Karden Mere Aaqa Ab Nazr e Karam
Mai Tu Ummati Hoon Aye Shah e Umam
Karden Mere Aaqa Ab Nazr e Karam

Mai Tu Be Sahara Hoon Daman Bhi Hai Khali
Nabiyon Ke Nabi Teri Shan Hai Nirali

Mai Tu Ummati Hoon Aye Shah e Umam
Karden Mere Aaqa Ab Nazr e Karam

Gham Ke Andheron Ne Ghera Hua Hai
Aaqa Dushwar Ab Jeena Mera Hua Hai
Bigri Bana Do Meri Taiba Ke Wali
Nabiyon Ke Nabi Teri Shan Hai Nirali

Mai Tu Ummati Hoon Aye Shah e Umam
Karden Mere Aaqa Ab Nazr e Karam

Jis Ko Bulaya Gaya Wohi Arsh e Bareen Hai
Ap Ke Siwa Aisa Koi Nahi Hai
Jis Ki Na Baat Koi Rab Ne Bhi Taali
Jis Ki Na Baat Koi Rab Ne Bhi Taali
Nabiyon Ke Nabi Teri Shan Hai Nirali

Mai To Ummati Hoon Aye Shah e Umam
Karden Mere Aaqa Ab Nazr e Karam

Mai Tu Be Sahara Hoon Daman Bhi Hai Khali
Nabiyon Ke Nabi Teri Shan Hai Nirali





Muhammad Ka Rozza Kareeb A Raha Hai,
Bulandi Pe Apna Naseeb Araha Hay
Muhammad Kaa Roza Kareeb Araha Hai,
Bulandi Pe Apna Naseeb Araha Hay

Farishto Ye De Do Paighaam Unko,
Khabar Ja Kay Dedo Unko Farishto
Keh Khadim Tumhara Saeed A Raha Hai,
Keh Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hay

Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina
Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina

Wafa Tum Na Dekho Gay Hargiz Kisi
Mein, Zamana Woh Aesa Qareeb Araha Hay
Hifazat Karo Apnay Imaan o Deen Ki,
Zamana Woh Aesa Ajeeb Araha Hay

Muhammad Ka Rozza Qareeb A Raha Hai,
Bulandi Pe Apna Naseeb A Raha Hai

Farishto Ye De Do Paighaam Unko,
Khabar Ja Kay Dedo Unko Farishto
Keh Khadim Tumhara Saeed A Raha Hai,
Keh Khadim Tumhara Saeed Araha Hai

Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina

Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina

Tumhain Kuch Khabar Hai
Kahan Ja Raha Hoon, Rasool e
Khuda Hain Wahan Ja Raha Hun
Tumhain Kuch Khabar Hai Mai
Kiya Paa Raha Hoon, Mohabbat
Ka Unki Maza Pa Raha Hoon

Chalo Jaa Ke Rehna Madinay Mein Ab Tou,
Qayamat Ka Manzar Qareeb Araha Hay

Farishto Ye De Do Paighaam Unko,
Khabar Ja Kay Dedo Unko Farishto
Keh Khadim Tumhara Saeed A Raha Hai,
Keh Khadim Tumhara Saeed Araha Hai

Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina
Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina

Nigaahon Mein Sultaniyat Heech Hogi,
Jo Paaye Ga Dil Mein Payam e Madina
Sukoon e Jahan Tum Kahan Dhoondte Ho,
Woh Sukoon e Jahan Hai Nizam e Madina

Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina
Madina Madina Madina Madina,
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina

Muhammad Kaa Roza Qareeb Araha Hay,
Bulandi Pe Apna Nasib Araha Hai
Muhammad Ka Rozaa Kareeb A Raha Hai,
Bulandi Peh Apna Naseeb A Raha Hai
Farishto Ye De Do Paighaam Unko,
Khabar Ja Kay Dedo Unko Farishto
Keh Khadim Tumhara Saeed A Raha Hai,
Keh Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai

Madina Madina Madina Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam e Madina








Kabe ki Ronak Kabe ka Manzar Naat Lyrics
January 1, 2019 by Hasan Pathan
Kabe ki Ronak Kabe ka Manzar Naat Lyrics

Kabe ki ronak Kabe ka manzar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekhu to dekhe jau barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Hainrat se khud ko kabhi dekhta hu

Aur dekhta hu kabhi mai haram ko

Laya kahan mujhko mera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Hamd e Khuda se tar hain zabane

Kano me rass ghoolti hain azane

Bus ek sada a rahi hain barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Mangi hain maine jitni duae

Manzoor hongi maqbool hongi

Mizab e Rehmat hain mere sar par

Allahu Akbar Allahu Akbar



Tere karam ki kya bat Maula

Tere haram ki kya bat Maula

Ta umr karde ana muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Yad agayi jab apni khataye

Ashko me dhalne lagi iltijae

Roya Gilaf e Kaba pakad kar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha

Rab ke karam ka jalwa bhi dekha

Dekha rawa ek saron ka samandar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Kabe ke upar se jate nahi hain

Kisko sabak yeh sikhate nahi hain

Kitne moadab hain yeh kabutar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Bheja hain jannat se tujhko Khuda ne

Chuma hain tujh ko khud mere Mustafa ne

Aye Hajr e Aswad tera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar



Jis par nabi ke kadam ko sajaya

Apni nishani keh ke bataya

Mehfooz rakha Rab ne yeh patthar

Allahu Akbar Allahu Akbar
Share this:




Amina bibi keh gulshan main, aa’i hai thaza bahaar
Parthay hai Sallallahu wasallam, aaj dar-o-deewar
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Baarah Rabbi ul awwal ko, aayah duur-e-yateem
Maah-e-nabuwwat mehr-e-risalat, saahib-e-khulq-e-azeem
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Hamid-o-Mahmood aur Muhammad , dow jaag ka sardaar
Jaan seh hi pyaara raj dulaara, rahmat ka sarkaar
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Yasin, Ta Ha, kamli waala, Qur’an kii tafseer
Hazir-o-Nazir shahid-o-qaasiim, aaya sirajum munir
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu


pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se
darbare-Nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-Nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se




Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga

Khilafe maashooq kuch huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil, jidhar woh aali maqam hoga

Kiye hi jaoon ga arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi, na yeh fasana tamam hoga

Jo dil se hai ma’il-e-payambar, yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par, durood hoga salam hoga

Isi tawaqqo pe ji raha hoon, yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi, to mujh ko jeena haram hoga

Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga


Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak jaenge

Jaise hi Sabz Gumbad nazar aega, bandagi ka qareenah badal jaega
Sar jhuka ne ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajde se tapak jaenge

Hum Madine me tanha nikal jaenge, aur galiyaun me qasdan bhatak jaenge
Hum wahaan jakay wapas nahi aenge, dhoond te dhoond te log thak jaenge

Naam Inka jahaan bhi liya jaega, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaega
Noor hi Noor seenaun me bhar jaega, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaenge

Ai Madine ke zaer Khuda ke liye, daastanay safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaega, baat badh jaegi, mere muhtaat aansoon chalak jaenge

Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar, kis musafir ko hai kitna shauqe safar

Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AQA ke Darbaar tak jaeng











Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi

Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi
Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi

Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chakari achi lagii

Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par
Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii

Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar
Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii

Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii

Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar
Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi

Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi





Ham Faqiron Ko Madine Ki Gali Achi Lagi

Khus rawi achhi lagi na sarwari achhi lagi,
Khus rawi achhi lagi na sarwari achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,
Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,

Door thae to zindagi be rang thi be kaef thi,
Door thae to zindagi be rang thi be kaef thi,

Un kae kuche mae gayai to,
Un kae kuche mae gayai to,

Zindagi achhi lagi,
Un kae kuche mae gayai to,
Zindagi achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,
Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,

Mae na ja unga ka hi be,
Daar nabi ka chour kar,

Mae na ja unga ka hi be,
Daar nabi ka chour kar,

Muj ko kuwe Mustafa ki,
Muj ko kuwe Mustafa ki,
Jha kari achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,

Naaz kar tu ae Halima sarwarae konane par,
Naaz kar tu ae Halima sarwarae konane par,

Ghar lagi achhi to teri,
Ghar lagi achhi to teri,
Jhoupari achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi
Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,

Rakh deya sarkar kae kadmo pe,
Sultan no ne sar,
Rahk deya sarkar kae kadmo pe,
Sultan no ne sar,

Sarwarae konane maka ki,
Sarwarae konane maka ki,
Sadaaqi achhi lagi,

Sarwarae konane maka ki,
Sadaaqi achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,
Mehro ma ki roshani,
Mana the achhi hai magar,
Mehro ma ki roshani,
Mana the achhi hai magar,

Sab se ghum bad ke mujhe to,
Sab se ghum bad ke mujhe to,
Roshine achhi lagi,

Sab se ghum bad ke mujhe to,
Roshine achhi lagi,

Aage mehfil me niaazi naat jo mane parhi,
Aage mehfil me niaazi naat jo mane parhi,
Asha tanane Mustafa ko,
Asha tanane Mustafa ko,
Wo bari achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,
Khus rawi achhi lagi na sarwari achhi lagi,

Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi,
Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi.
Gunahon ki adat churah meray Mowla,
mujhay naik insaan bana meray Mowla

Meri saabiqa har khatha meray Mowla,
thu Rehmath sey apni mita meray Mowla

Thu qudrath say apni badal naikyon sey,
har ik meri laghzish khata meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla

Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai,
mujhay aisa bandhah bana meray Mowla

Thu Masjood mera mey saajid hu Tera,
Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla

Thu Matloob mera mey talib hu Tera,
mujhay deyday apni wila meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla

Thu leyga agar adal sey kaam apnay,
mey hun mustahik naar ka meray Mowla

Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb,
jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla

Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho,
tikana hey jannath mera meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla

meri tha qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,
ho sab aashiq-e-Mustafah meray Mowla

mujhay bhi dikhaday Thu jalwa Nabi ka
yahi hai meri iltijah meray Mowla

jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,
Thu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla

rula Thu mujhay bas gham-e-Mustafa mey,
na duniya keh gham mey rula meray Mowla

na mohtaaj kar Thu jahan mey kisi ka,
mujhay muflisi sey bacha meray Mowla

hai Ka’bay pay nazray Obaiday Raza ki,
ho maqbool har ik dua meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla



main Madinay chala, Main madinay chala
main Madinay chala, main Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala

saqia may pila, main Madinay chala
mast-o-bay khud bana, main Madinay chala

Kaif sa cha gaya, main Madinay chala
jhoomta jhoomta, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen
larkharata huva, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

mairay Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darr, ho ga paish-e-Nazar,
chahiaye aur kia, main Madinay chala

main Madinay chalamain Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala
phir karam ho gaya, main Madinay chala

mairay ganday qadam, aur unka Haram
Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala

main Madinay chala main Madinay chala

Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udhar
itni jaldee bhee kia, main Madinay chala

phir karam ho gaya,main Madinay chala

Haath uthhte ruhay, mujh ko daitay ruhay
voh talab say siva, main Madinay chala

kia keray ga idhar, bandh rukht-e-safar
chal Ubaid -e-Raza, main Madinay chala

main Madinay chala, main Madinay chala

phir karam ho gaya, main Madinay chala




Mangton ko sultan banaya mere kamli walay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne
Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne

Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain
Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne

Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne
Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne

Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se
Aminah (radi Allahu ‘anha) tera gher chamkaya mere kamli walay ne

Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai
Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne

Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay
Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne



Meh to panj than ka ghulaam hun
Mujhay ishq hain toh Khuda sey hain, mujhay ishq hain toh Rasul hain
Meray mun sey aaey mehak sada, joh main naan lun tera bhool sey

Mujhey ishq sar-o-saman sey hain, mujhay ishq saray chaman sey hain
Mujhay ishq Un ki gali sey hain, mujhay ishq hain Un key wathan sey hai

Mujhay ishq hain toh Ali sey hain, mujhay ishq hain toh Hassan sey hain
Mujhay ishq hain toh Hussain sey, mujhay ishq Shahe Zaman sey hain

Meh toh panj than ka ghulaam hun

Huwa keysay then sey woh sar juda, jahan ishq ho wohein Karbala
Meri baath un hi ki baath hain, meray saamnay wohi zaath hain

Wohi jin ho shayre Khuda kahein, jinhein baabe salli ‘ala kehein
Wohi jin ko aale Nabi kahein, wohi jin ko zaathe Ali kahein

Wohi pukhta hain mey tho khaam hun
Meh toh panjtan ka ghulaam hun



Pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi (Salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se

darbare-Nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se

darbare-Nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

darbar-e-Nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

darbar-e-Nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

darbar-e-Nabi se




Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang
Deta hei karam un ka sada maang aray maang

Aa ja-ai ga ik roz bhi teba se bulawaa
Har waqt madine ki dua maang aray maang

Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi
Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang

Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei
Hei kiss liye khamosh khharra maang aray maang

Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi
Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang



Shahe Madina, shahe madina, shahe madina
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina, shahe madina, shahe madina

Terey liye hi dunya bani hai, neele falak ki chadr tani hai
Tu agar na hota dunya thi khali, sare nabi tere dar ke sawali

Jalwe hai sare terey hi dam se, aabad aalam terey karam se
Baqi har ek shay naqshe khayalo, sare nabi tere dar ke sawali

Tune jahan ki mehfil sajai, taarikyon mein shamma jalai
Kandhe pe tere kamli hai kaali, sare nabi tere dar ke sawali

Mazhab hai tera sab ki bhalai, maslak hai tera mushkil kushai
dekh ke apni umat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali

Hai noor tera shamso qamar mein, tere laboon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khusbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali

Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali

Hain ap dukhyon ke aaqa sahare, Taje shafa at hai sar pe tumhare
Ham ko aata ho roze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali

Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina, shahe madina, shahe madina




YA Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Noor e Mujassam ya Habibi ya Moulai
Taswir e Kamal e Muhabbat Tanwir e Jamal e Khudai

Tera was bayan ho kis se Teri (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kon karega bharai
Nabi ji, Teri kon karega bharai
Is gard e Safar mein gum hai Jibril e Amin ki Rasai

Teri ik nazar ke Talib Tere ik Sukhan par qurban
Yeh sab Tere diwane yeh sab tere sudai
Yeh rang e Bahar e Gulshan yeh gul aur gul ka jouban
Tere Noor e qadam ka dhoban us dhoban ki rounai

Ma ajmalaka Teri surat, ma ahsanaka teri sirat
Ma akmalaka Teri azmat teri zaat mein gum hai Khudai

Tu rayees e Roz e Shafa’at tu Amir e Luft o Inayat
Hai Adib ko tujh se nisbat yeh Ghulam hai, Tu Aqa’i


Madinah Urdu


Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya

Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par
Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya





Karaam maangtey hain’ ataa maangtey hain
Madiine ko jaae’n du’aa maangtey hain
Madiine ke waalii (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Madiine bulaa lo
Madiine main thorhii jagah maangtey hain

Hai shayr-e-Madiinah do’aalam seh pyaara
Jo maskan banaa hai habiib khudaa ka
Hain Ahl-e-Madiinah hamain jaan se pyaarey
Madiinah Madiinah sadaa maangtey hain

Jalaatii hain furqat ki kaalii ghataa’in
Rulaatii hain taybah ki rangeen fazaa’in
Dile muztarib ko kahaan chain aa’ey
Madiine ki thandii hawaa maangtey hain

Nabiyyon ke dulhaa habiib-e-khuda hain
Woh sab ummtoon ke bane paishwa hain
Zamaaney main un kii muhabbat ‘atta ho
Pas-e-marg un ki shafaa maangtey hain

Kalaam-e-khuda hai kalaam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Salaam-e-khudaa hai salaam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki surat main haq jalwahgar hai
Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) khuda maangtey hain

Ilaahii yeh Tahir hai farde yagaanah
Hai bandah tumhaaraa nabii ka diiwaanah
Diiwaney chaley hain jo Tahir ke hamraah
Nigaah-e-habiib-e-khuda maangtey hain

Tere aastaan peh koii jaa rahaa hain
Woh apne muqaddar ko chamkaa rahaa hain
Elaahii dikhaa de Jiilaanii ko taybah
Madiine main ham ghoomnaa maangtey hain




Khuda ki azmateein kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane
Maqame Mustafa kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane

Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di
Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane

Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid
Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane

Meri mathi Madine Paak ki Ra’ah mein poncha dena
Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane

Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai
Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane

Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein
Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane
User Rating: 4.31 ( 57 votes)
Tags
audio nazm
beautiful hamd
beautiful naat
beautiful nasheed
beautiful voice
download mp3 naat
download mp3 nazm
free download naat
free download nazm
islamic nazm
jab tu paida hua kitna majboor tha
maa ki shaan
maulana anas younus
most beautiful nazm
naat with lyrics
naathamd
nazm lyrics
online listen nazm
urdu nazm

 


No comments:

Post a Comment